Taraweeh in ramadan 2022
Taraweeh in ramadan 2022 taraweeh kya hai ye sunnat hai ya kuch aur kab padhi jati hai isme kya hota hai kaise padhai jati hai aaiye jane ramadan sharif ke shuru hone ke sath hi masjido me padhai jati hai taraweeh sunnate moakkadah hai ramadan sharif me taraweeh padhi jati hai.
Ramadan sharif me taraweeh ki namaz har musalman mard ho ya aurat ko padhna jaruri hai jisse allah
azowazl bahut khush ho jata hai aur hamare liye nekiyo ka jakhira khada kar deta hai aaiye hum sabhi
traweeh ke mutalliq chand aehm bate jane
aur apne ilme deen me ijafa kare –
Taraweeh kya hai ?
What is taraweeh sunnah or nafl
ye ek tarah ki ibadat hai jo masjidon me ba jamaat ada ki jati hai aur gharo me islami behne padha karti hai
taraweeh ki namaz ke
bad quran pak ki tilawat hafiz sahab ke
jariye padhai jati hai aur sabhi baith momin
tilawate quran suna karte hai.
Niyat for taraweeh –
Taraweeh ki niyat is tarah kare ki niyat ki maine namaz sureh taraweeh ki 2 ,2 rakat karke padhe aur jab 4
rakat ho jaye taraweeh ki dua padhe taraweeh khade-khade padhna sunnate moakkadah hai.
Taraweeh bagair uzrat (raqm) padhaye –
Padhne padhane walo ko apne andar ikhlas paida karna jaruri hai
agar hafiz sahab apni taizi dikhane , achhi
awaz ki daw pane aur name chamkane ya kamane ke hawale
se quran pak padhenge to sawab ke badle ulta
reyakari kitabahkari me barbad pad jayenge
aur sath taraweeh padhane
wale uzrat yani majduri na le sawab
ke niyat se padhaye allah sab
dekhta hai agar apki niyat me
uzrat hasil karna ho to app sawab ke
haqdar nahi kehlayenge
apni niyat ko saf rakhe aamaal ka
dawedar niyat par hai Bismillah ki barkat jane –

Tilawat aur zikr naimat ki uzrat haram hai–
Taraweeh in ramadan 2022
Aaqa kareem sallallahu tala alaihe wasalllam ka farman ibrat
nishan hai ke tilawat quran aur zikr ilahi par
uzrat (yani raqm) lena-dena dono haram hai lene aur
dene wale dono hi gunahgar hote hai
aur jab ye kaam hi haram hai to
marne walo ko esale sawab kaise
pahunchayenge gunah par sawab ki ummid
karna jurm hai agar sach me esale sawab
pahunchana chahte hai to ek tarika ye hai –
padhne wale ko ghante do ghante ke liye mulazimaat ke
aehmiyat se rakh le aur uski tankhawa mukarrar kar
de aur phir apne jo padhwana ho
padhwa sakte hai isse
na app gunahgar honge aur na hi padhne wala.
How to taraweeh at home ?
Taraweeh ghar par padhe khas tor par aurte padhe akele me
masjid bait yani jahan voh hamesha namaz
padhti hai us jagah ko masjid bait kehte hai baki muslim bhahiyo
ke liye masjid me ba-jamat padhna achha hai.
Taraweeh ki uzrat ka sharai tarika kya hai ?
Upar aapne jo padha thik wahi bat yaha par bhi lazim hoti hai
maslan masjid ke camettie membar apas sme
milkar faisla kare ki hafiz sahab ko mulazim ke taur par
namaz isha ke liye amamat par rakh le aur is tarah
hafiz sahab namaz taraweeh
ke sath sath taraweeh me
quran pak ki bh tilawat kara denge aur is tarah
mulazimat ke taur par unki raqm bhi canform kar
de is tarah na hi gunah hoga aur na hi reyakari hafiz sahab
ko raqm bhi hasil ho jayegi
aur taraweeh
bhi sahi tarike se ada ho jayegi .
Tilawate quran sahi dhang se ada karna jaruri hai –
Aajkal ke daur me log jaldbazi ke chakkar me sahi tarike
se quran mazeed sahi mayene me khatam nahi kar
pate hai jab ki aesa karna shakht galat hai taraweeh me tilawate
quran jab bhi padhaye to harf ki adayegi sahi
dhang se kare hamesha quran
pak ki tilawat ahista ahista
tehar kar padhna chahiye yad rakhiye tilawate
quran me harf chabana sakht haram hai aur aese bhi is
gunah se bache sahi tarike se quran pak padhe
hadees sahirf me bhi aaya hai ke quran ki tilawat
hamesha ahista -tehar kar hi padhna chahiye.
Khatm taraweeh ki dua – (Taraweeh in ramadan 2022)
Jaha taraweeh me ek bar quran pak ki tilawat ki jaye waha behtar yahi hai
ke 27 th shab ko khatm kare aur dil
hi dil me ye aehsas rakhe ki maine sahi mayene me padhaya ya
sunaya nahi , kuch kotahiya bhi hui , dil jamai
bhi na rahi , ikhlas me bhi kami thi wagerah wagerah is tarah
bargahe ilahi me apni galti aur kotahiyo mafi
mange besahk allah maf karne
wala hai khatm taraweeh me dil se dua
kare ho sake to alvida ke waqt roye aur faryad
kare ki allah pak hame agle baras
bhi iski barkat marhamat farmaye.
Khatm taraweeh ke din 3 martaba
sureh ikhlas padhna mustahab hai.
Kya taraweeh padhna jaruri hai –
Why is taraweeh important :-
Taraweeh is important of all muslim religious –
- Taraweeh har aaqil aur balig mard aur aurat ke liye
- sunnate moakkadah hai
- ise chhodna jayez nahi hai
- Agar iski namaz isha ki namaz se pehle
- ada karenge to namaz nahi hogi
- Mustahab ye hai ke taraweeh me tihai rat tak takhir kare
- Agar adhi rat ke bad padhe tab bhi koi harz nahi
- Taraweeh chhut gayi to iski kaza nahi hai
- yad rakhiye taraweeh baithkar bila uzr
- padhna makruh hai Ramjan mubarak ki fazilat –
- Behtar yahi hai ke khade hokar dhi ada kiya jaye
- Taraweeh sharif unchi awaz se padhna sunnat hai
Traweeh ki namaz ada karne ka sahi tarika kya hai ?
Taraweeh ki namaz masjid me ada kare aur aye iske mutalliq chand
aehm bae jane jise janna har musalman ke liye jaruri hai –
- Na-balig imam ke pichhe sirf na-balig hi taraweeh padh sakta hai
- yad rakhe balig ki taraweeh na-balig ke pichhe nahi hoti hai
- Tarika yahi hai ke taraweeh ki 20 rakate das salam
- yani do , do rakat karke das salam ke sath ada kare
- jab do , do rakat karke padhe to har do
- rakat par alag -alag niyat kare
- Agar 20 rakat ki ek sath niyat kare tab
- bhi jayez hai agar 20 rakat ki
- ek sath niyat kare tab bhi jayez hai
- Total taraweeh ki 20 rakate hoti hai
- Taraweeh ki namaz ka waqt namaz
- isha ki farz namaz padhne ke bad
- se subah farz namaz se pehle tak ka waqt hota hai
- Isha ke farz aur witr ke bad bhi taraweeh padhi ja sakti hai
- Imam galti se koi ayat ya surah chhod kar aage
- badh gaya to mustahab ye hai ke use padhkar phir aage badhe
Taraweeh in ramadan 2022 –
- Agar 2 rakat par baithna bhul gaya to jabtak tisri ka sajda na kiya ho
- baith jaye aur aakhir me sajda sahu kar le is taraweeh 20 or 8
- Agar logo ko apas me shak ho ke 20 padhi ya 18 ? to sabse
- achha yahi hai ke do rakat tanha padh le
- Salama pherne ke bad koi kehta hai do hui koi kehta hai
- 3 hui to isme imam ko yad hona chahiye ki kitni hui ya kitni baki
- hai aur hame imam par aitebar karna chahiye
- har 4 rakat par utni der aram lene ke liye baithan
- mustahab hai jitni der me
- 4 rakat padhi hai
- aur jab aram kare to bina bole chup kar ke baithe
- taraweeh ke dauran qeerat sahi se ada kare
- agar aesa nahi kiya to koi harz nahi
- agar kisi wajah se taraweeh ki namaz
- fasid ho jaye to jitna quran pak
- un rakato me padha tha un sab ka aehdah kare taki koi nuksan na ho
Conclusion :
Aaj humne taraweeh ke mutalliq aehm bato ke bare me ibrat hasil ki jisme
humne ye sikha ke taraweeh kya
hai padhne ka sahi tarika mukhlis aur imandar hafiz sahab ke jariye taraweeh padhane ka tarika wagerah
wagerah jiska janna hum sab ke liye ahemtarin hai. taraweeh