Shabe qadr ki fazilat.
Shabe qadr ki fazilat – Aaiye jane shab e qadr ki kya fazilate quran-hadees me nazil hui hai kaun-kaun si rate hai what is shab e qadr , which day is shab e qadr , mahe-ramjan mubarak ke akhiri ashra ki taak raton yani
21 vi , 23 vi , 25 vi , 27 vi , 29 vi , shab ya ramjan ke aakhiri shab me hai to jo koi iman ke sath ba-niyat sawab is
mubarak raat me ibadat kare , uske tamam guzarishta gunah bakhash diye jate hai.
Shab e qadr badalti rehti hai.
Saiyedna imam malik rehmatullahe tala alaihe ke najdik shabe qadr
ramjanul mubarak ke akhiri ashra ki taak raton me ho
hoti hai magar iske liye koi ek raat makhsoos
nahi , har saal in taak raton me ghumti rehti hai
yani kabhi 21 vi , shab me lailatul qadr ho jati hai to kabhi
23 vi , kabhi 25 vi to kabhi 27 vi , aur kabhi-kabhi 29
vi shab me bhi shabe qadr ho jaya karti hai.
Shab e qadr me kya padhe ?
Amirulmomenin hazrate molaye qayenat ali murtuza shere
khuda karim allah tala wazuhal kareem farmate
hai , “jo koi shab e qadr me sureh qadr 7 martaba padhta hai
allah ajowazl use har bala se mehfuz farma
deta hai aur 70 hajar farishte is ke liye jannat ki dua karte hai
aur jo koi ( saal bhar me jab kabhi ) jumma ke
roj namaj e jumma se kabl 3 martaba padhta hai allah
ajowazl us roj ke tamam namaz padhne walo
ki tadad ke barabar nekiyan likhta hai.
Kaun si dua shab e qadr me padhe ?
Ummul momonin hazrate saiyetuna aiyesha siddiqua razi allahu
tala anha riwayat farmati hai , maine apne
sartaj , sahbe meraj sallallahu tala alaihi wasallam ki
khidmat e ba-barkat me arz kiya , “ya rasullallah ! ajowazl
sallallahu tala alaihi wasallam ! agar mujhe shab e qadr
ka ilm ho jaye to us mai kya padhu ? aaqa kareem
sallallahu tala alaihi wasallam ne irshad farmaya ” is tarah dua mango – yani ae allah beshak tu
maaf farmane wala hai aur maafi dene ko pasand bhi
karta hai lihaza mujhe bhi maaf farma de
Yaad rakhiye 27 vi shab to is dua ko bar-bar padhna
chahiye iske alawa bhi 27 vi shab ko durood -salam kasrat
se padha kare aur sath hi taub voh astagfar padhe.

Shab e qadr me kiski tauba qubool nahi hoti hai ?
Hazrate jibreel alaihi salato wassalam farmate hai
“allah ajowazl ne 4 qism ke logo ke alawa tamam logo ko
maaf farma diya sahaba karaam alaihimur rizwan ne arz ki
“ya rasullallah sallallahu tala alaihi wasallam
voh 4 log kaun hai ?” irshad farmaya :
- Ek to aadi sharabi
- Dusra walidain ke na-farmaan
- Qita rehmi karne wale
- (yani rishtedaron se taluqat todne wale )
- Wo log jo aapas me bugz
- qeena rakhte hai.
Shab e qadr ki fazilat jane –
Farmane mustafa sallallahu tala alaihi wasallam , tum par
ek aesa mahina aaya hai jisme ek rat aesi hai jo
hajar mahino se behtar hai jo is rat se mehrum reh gaya
voh puri bhalai se mehrum reh gaya aesi rehmato
aur barkato wali raat ko gawana
bahut bade mehrum hone
ki dalil hai lihaza sab ko chahiye ke shab e qadr ki
pure ramjanu sharif me talash
kare warna kam se kam 27 vi
shab ko to jarur ibadat me gujare shab e qadr ki
fazilat be-shumar hai .Haram maut in islam ?
Jadugar ka jadu nakaam : Shabe qadr ki fazilat.
Hazrate saiyedna ismail haqqi rehmatullahe tala
alaihe naqal farmate hai , “ye rat salamati wali rat hai yani
isme bahut si chizon se salamati hai maslan-
- Is rat me bimari shar aur afat se salamati hai
- Aur andhi-tufan , bizli vagerah
- se mehfuz rehta hai
- Jin baton se dar paida hota hai
- unse v salamati hai
- Shab e ki rat me jo kuch bhi
- najil hota hai voh
- sab salamati aur nafa bakhsh sabit hota hai
- Is raat me na hi shaitan burai
- karwane ki taqat rakhta hai
- Aur na hi jadugar ka
- jadu is me chalta hai
- Is rat me salamati hi salamati hai.
- Samandar ka khara pani
- bhi mitha ho jata hai.
“Allah ajowazl ne is din Tuloo aftab ke sath shaitan ko nikalne se rok diya hai”
Shab e qadr ke nawafil jane
“Jo shab e qadr me ikhlas niyat se nawafil padhega
uske agle-pichhle gunah maaf ho jayenge” sarkar do
alam sallallahu tala alaihi wasallam jab ramjanul mubarak
ke akhiri 10 din aate hi ibadat
par kamr bandh lete
aur inme rato ko jag kar apne sath -sath ahal ko bhi jagaya karte.
5 shab e qadr ki nafil namaz ka trika :
Farmane mustafa sallallahu tala alaihi wasallam ke meri
ummat me se jo mard aurat ye khawahish kare ke
uski qabr noor ki roshni se manuwwar ho to use chahiye
ke mahe ramjan ki shab e qadro
me kasrat se sath
ibadat kare is ibadat ke sdqe allah ajowazl uske naam e aamal
se buraiyan mita kar nekiyon
ka sawab ata farmayega .
5 shab e qadr me pure dil se ibadat kare nafil namaj padhe aur
shab e qadr ki barkat se malamal ho jaye 21 vi
, 23 vi , 25 vi , 27 vi , 29 vi in pancho rat me nafil namaz kese
padhe kitni rakat padhe aaiye jane aur ibrat hasil kare –
(1) Pehli 21 vi shab e qadr – Shabe qadr ki fazilat.
21 vi shab ko 4 rakat namaj 2 salam se padhe , har rakat me bad
sureh fateha ke sureh qadr ( yani inna anjalna fee lailatul qadr )
ek-ek martaba aur 1-1 martaba
sureh ikhlas (yani kulwalahu ahad ) padhe bad
salam ke 70 martaba durood sharif padhe.
Inshallah is namaj ko padhne wale ke haq me
farishte duaayein magfirat karenge.
21 vi shab ko 2 rakat namaz padhe , har rakat me sureh
fateha ke bad sureh qadr 1-1 martaba , sureh ikhlas
3-3 martaba padhni hai aur bad salam ke
namaz khatm karke 70 martaba astagfar padhe.
21 vi shab ko 21 martaba sureh qadr padhna bhi bahut afzal hai.
Inshallah tala is namaj aur shab e qadr ki
barkat se allah pak uski bakhshish farmayega.
(2) Dusri 23 vi shab e qadr –
Mahe ramjan mubarak ke is mahine me 23 vi shab ko 4 rakat namaz 2 salam se padhe ,
aur har rakat me bad
sureh fateha ke sureh qadr ( yani inna anjalna fee lailatul qadr )
1-1 martaba ,sureh ikhlas (yani kulwalahu ahad ) 3-3 martaba padhe.
Inshallah tala waste magfirat gunah ke ,
ye namaz bahut afzal hai.
23 vi shab e qadr ko 8 rakat namaz 4 salam se padhni hai ,har
rakat me bad sureh fateha ke sureh qadr 1-1
dafa aur sureh ikhlas bhi 1-1 martaba padhe , bad salam
ke 70 martaba kalma tamzeed ( tisra kalma) padhe
aur allah ajowazl se apne gunaho ki bakhshish talab kare.
23 vi shab ko sureh yasin ek martaba , sureh
rehman ek martaba padhni bahut afzal hai.
Allah pak uske gunah maaf farma kar inshallah tala uski magfirat farmayega.
(3) Tisri 25 vi shab e qadr –
Isi tarah 25 vi tarikh ki shab ko 4 rakat namaz 2 salam se padhe ,
bad sureh fateha ke sureh qadr
( yani inna anjalna fee lailatul qadr ) 1-1 martaba aur sureh ikhlas
(yani kulwalahu ahad ) 5-5 martaba har rakat me padhe
, bad salam ke kalma taiyeb (yani pehla kalma ) 100 martaba padhe
bargahe ilahi se inshallah be-shumar
ibadat ka sawab ata farmayega.
25 vi shab ko 4 rakat namaz 2 salam se padhe , har rakat me bad
sureh fateha ke sureh qadr 3-3 martaba aur
sureh ikhlas 3 martaba padhe bad salam ke 70 martaba astagfar
padhe ye namaz bakhshish gunah
ke liye bahut hi mufeed hai.
25 vi shab ko 2 rakat namaz padhe har rakat me bad sureh
fateha ke sureh qadr 1-1 martaba , sureh ikhlas
15-15 martaba padhe bad salam ke 70 dafa kalma shahadat
( yani dusra kalma ) padhe.
Ye namaz waste nijat ajabe qabr bahut afzal hai.
25 vi shab ko 7 martaba sureh dukhan
padhe inshallah is surah ke padhne
ke bayes ajabe qabr se mehfuz rahega.
25 vi shab ko 7 martaba sureh fateh padhna
waste har murad ke bahut afzal hai.
(4) Fourth 27 vi shab e qadr – Shabe qadr ki fazilat.
27 vi shab ko 12 rakat namaz 3 salam padhe , har rakat me
bad sureh fateha ke sureh qadr ( yani inna anjalna
fee lailatul qadr ) 1-1 martaba , sureh ikhlas 15-15 martaba
padhni hai bad salam ke 70 martaba astagfar padhe.
Allah ajowazl is namaz padhne wale ko nabiyon
ki ibadat ka sawab ata farmayega inshallah.
27 vi shab ko 2 rakat namaz padhe har rakat me sureh
fateha ke bad sureh qadr 3-3 dafa , sureh ikhlas 27
27 vi shab ko 4 rakat namaz 2 salam se padhni hai ,
har rakat me bad sureh
fateha ke sureh takasur
( alhakumuttakasur) 1-1 bar , sureh ikhlas 3-3 bar padhe.
Is namaz padhne wale par se allah pak maut ki sakhti asan
karega , inshallah tala is par
se ajab qabr bhi maf ho jayega.
Isi tarah 27 vi shab ko 2 rakat namaz padhe har rakat me bad
sureh fateha ke sureh ikhlas 7-7 martaba padhe ,
bad salam ke 70 dafa ye tasbih muazzim padhni hai –
Shabe qadr ki fazilat.
Inshallah tala is namaz ko padhne wale apne musalle se na
uthenge ke allah pak uske aur uske walidain ke
gunah maf farma kar magfirat farmaeyga aur allah tala
farishton ko hukm dega ke uske liye jannat aa-rasta
karo aur farmaya ke voh jab tak tamam jannat ki naimatein
apni aankh se na dekh le ga , us waqt tak maut na
aayegi waste magfirat ye
namaz bahut hi afzal hai.
27 vi shab e qadr ko 2 rakat namaz padhe , har rakat
me bad sureh fateha ke sureh alam nasrah 1-1 bar ,
sureh ikhlas 3-3 martaba padhe , bad salam
ke 27 martaba sureh qadr padhe.
waste sawab be-shumar ibadat
ke ye namaz bahut afzal hai.
27 vi shab e qadr ko 4 rakat namaz padhe , har rakat
me bad syreh fateha ke sureh qadr 3-3 dafa aur sureh
ikhlas 50-50 martaba
padhe , bad salam sajdah
me sir rakh kar 1 martaba ye kalmaat padhe –
Uske bad jo hajat dunyavi ya deeni talab kare voh
inshallah tala bargahe ialhi me qubool vah maqbool hogi.
27 vi shab e qadr ko sureh mulk 7 martaba padhni hai
waste magfirat gunah bahut fazilat wali hai.
Isi tarah 27 vi shab e qadr
ko 7 haamim padhe ye 7
haamim ajab qabr se nijat aur magfirat gunah ke liye bahut afzal hai.
(5) Fifth or 29 vi shab e qadr – Shabe qadr ki fazilat.
29 vi shab ko 4 rakat namaz 2 salam se padhe ,
har rakat me bad sureh fateha ke sureh qadr
( yani inna anjalna fee lailatul qadr ) 1-1 bar , sureh ikhlas ( yani kulwalho ahad )
3-3 martaba padhe bad salam ke sureh
alam nasrah 70 martaba padhe , ye
namaz waste kamil iman ke bahut afzal hai.
Inshallah tala allah tabarak tala is namaz ke padhne wale ko
duniya se mukammal iman ke sath uthayega.
Mahe ramjan ki 29 vi shab
ko 4 rakat namaz 2 salam
se padhe har rakat me bad sureh fateha ke sureh qadr 1-
1 bar , sureh ikhlas 5-5 martaba padhe ,
bad salam ke durood sharif 100 dafa padhe.
Inshallah tala is namaz ke
padhne wale ko darbar
khudawandi se bakhshish aur magfirat ata ki jayegi.
29 vi shab ko 7 martaba sureh waqia padhe inshallah
tala tarakki rizq ke liye bahut afzal hai.
Lalatul qadr paushidah hai – Shabe qadr ki fazilat.
In pancho raton me se kisi ek rat me lalatul qadr ki
rat aati hai ise paushida rakha gaya hai isliye bande in
pancho rat me hi ibadat karte
hai allah azowajl ham
sabhi ko in pancho rat me ibadat karne ki
taufiq ata farmaye shab-e-qadr-ki-raat-ki-namaz
Is tarah shabe qadr ki fazilat hamare majhab me bahut hi ahmiyat hai.
is tarah lailatul qadr se hi har namaz
bhi ada ki jati chahe voh namaz pehli shabe
qadr ki ho ya dusri shabe qadr ki.
aaiye jane ki lalatul qadr kise kehte hai
“Inna anjalnahu fee lailatul qadr maa adraka
lailatul qadr kheru meen alfe shere
tanazzalul malaiyekatahu va ruh feeha beijnehi rabbehi
min kulle amre salamu hiya haatta matlail fazr
Conclusion :
Is tarah aaj hamne ek aham topic ke bare me ibrat hasil ki agar
apko ye malumat pasand aai to ise share
karna na bhule shab e qadr har musalman ke liye ek aham
tarin hai jo ramjan mubarak ke aakhiri ashra me
ata hai 2i vi , 23 vi , aur roji milne ki raat kab hoti hai abhi
chizon ke bare me is article ke jariye pahunchane ki
koshish hai lihaza ise padhe aur dua kare sath hi duaaon
me yad rakhe apke duaaon ka muntazir allah hafiz. jazakallah !