Shabe barat ki fazialt –
Shabe barat ki fazialt – Shaban ki 15 th shabe barat yani ajab se chutkara pane ki rat isme allah azowazl tamam jamin Wale ki tajalli farmata hai aur sabko baksh deta hai magar kafir aur adawat Wale ko nhi bkashta isi mahine sab log ek dusre se mafi talafi krte hai..
shabe barat jahannum ki aag se barat yani chhutkara pane ki raat hai.
Aaiye Shabe barat me jo chaho mang lo :
Farmane Ali raziallaho tala anah se riwayat hai ke jab Shaban ki 15 th rat aa jaye to is rat ko kyam kro aur din
me roza rakho ke rabbul izzat magrib ke waqt se khash tajalli farmate hai ke hain koi mujhse maafi tlab karne
wala, hain koi mujhse rozi talb krne wala , hain koi musibat jdah ke main use aafiyat bkhsu hai koi aesa is
tarah ye silsila farj tak chalta rehta hai.
shabe barat ki tajim –
bad olmaye farmate hain shabe barat me masjid ke andar ijtemai ibadat karna musthab hai hjrte saiyeduna
Khalid woh lukman radiallahu tala anhuma aur digar tabein kram alyhemur rizwan is rat ki tajim ke liye
behtarin kpde jebtan farmate , Surma aur khushbu lagate, masjid me nafil namaj ada karte |
shabe barat me mehrum rhne wale log-
farmane aaqa Karim sallallahu tala alihe wasallam,mere pas jibrail alaihis Salam aaye aur
Kaha ye shaban ki Itikaf ki fazilat –
15 th rat hain isme allah tala jahannum se itno ko ajad farmata
hai jitne nabi kalb ki bakriyon ke bal hai magar
nau logo ki magfirat nahi hoti hai –

- Jadugar
- Qina parast shakhs
- sharabkhor
- Maa-bap ko taklif dene wala
- zani ( zina karne wala )
- Sitar baja rakhne wala
- zulm se mal lene wala
- kafir
- Beraham shakhs
Tujhko shabane muajjam ka khudaya wasta
Bakhsh de rabbe mohammad tu meri har khata
Sallallahu tala alaihe wasallam.
Sal bhar jadu se hifazat ka nuskha – Shabe barat ki fazialt –
Kya aapko malum hai ki yahi woh mahina hai jisme insan jadu-shehar jaisi buri balaon se mehfuz reh sakta hai
wo kya hai aaiye jane shabanul muazzam ki 15 th tarikh yani shabe barat ke din magrib ke waqt beri (yani ber
ke darakht) ke saat patte pani me josh dekar (normal pani milakar) gusal
kare inshallah allah azowazl tamam saal jadu ke asar se mehfuz rahenge |
Shabe barat me gharo me roshni kare –
Is din har musalman apne gharo ko raushan karte hai gharo
me diya ya mombatti ki roshni karte hai diya ya
mombatti ki raushni se sare gharo me har musalman roshni
se pure gharo ko jagmate hai isi din allah har
musalmano ki tazalli farmate hai.
Shabe barat ka roza –
Shabe barat ke agle din ka roza rakhna badi fazilat rakhta hai
lekin sirf ek hi din ka roza na rakhe balki
13,14,15, ko roza rakhe shaban ki niyat se sirf ek hi din ka roza
rakhna munasib nahi balki jitna ho sake aap
roza rakhe app sallallahu tala alihe wasallam is mahine me kasrat se roza rakhte aur
farmate ki is mahine me
roza rakha karo iski badi fazilat hai.
Kya Shabe barat me halwa pakana jaruri hai ?
Shabe barat me halwa pakana na to farz hai na sunnat aur na
hi haram v aur najayez hai balki haq baat to ye
ke shabe barat me dusre tamam khano ki tarah halwa pakana bhi
mubah aur jayez hai agar is nek niyat ke
sath ho ke umdah aur lajiz khana gareeb maskeen aur apne ahlo
ayal ko khila kar sawab hasil kare to ye
sawab ka kam bhi hai ye sila rehmi ki rat hai halwa huzur sallallahu
tala alihe wasallam ko pasand hai isliye is tarah ye ek riwaz ban gayi |
Shabe barat ki hiqmat –
Is din marne walo ki list taiyar ki jati hai ke koun koun marega
nayi faile banai jati hai is din har banda apni
magfirat karwata hai apne rab se aur bargahe ilahi ki taraf se isi din
rozi bhi marhamat farmata hai pure saal
me unke sath paish aane wale waqiaat se apne farishton ko bakhabar karta hai.
Shabe barat me qabro ki jayarat karna kaisa hai-
Is din qabr par jana sunnat hai hum sabki magfirat karne wala rabbul kareem
aakhir kyu kabr walo ki magfirat
nahi karega isliye is din kabr par khastauor par qabr par jaye aur fateha
padhein apne marhumo ki magfirat
karane ke sath-sath unse maafi-talafi jarur kare ho sakta hai
kabhi jindagi me apne unka dil dukhaya ho to
isliye is din qabr par jana unki magfirat
ki dua karna taki badle me wo qabr wale
tumhe maaf kar dein beshak allah reham karne wala hai.
kya qabr par mombatti jalana jaruri hai ?
ye qaul sarasar galat hai kabristan par mombatti
nahi jala sakte haan agar tilawat wagerah karni ho to
jaruratan ujala hasil karne ke liye jala sakte hai qabr par jayein
aur apne aaba b azdad k imagfirat ke liye
khuda pak se dua kare unke name par fateha aur sadqa wagerah kare|
Aatishbazi haram hai –
Hazrate mufti ahmad yar khan alaihe rehmatu rehman farmate hai , “aatishbazi banana ,bechna ,kharidna
,jalana ,aur jalwana sab haram hai “aatishbazi namrood
badshah ne izad ki aur isne hazrate ibrahim
khalillullah alan nabi v alaihis salato salam ko aag me dala jabki
aag gulzar ho gayi aatishbazi balaon se khud
bhi bache aur apne baccho ko bhi bachaye ye sab shaitan ka kam hai |
Shabe barat me mafi-talafi –
Shabe barat ke aane se pehle har koi apno se ya kisi ke sath bhi agar
aapne nainsafi ya dil azari ki ho to maafi-
talafi kar le kyonki is rat usi ki ibadat qubool hoti hai jo qina
se pak hota hai aur allah ki raza ke liye logo ko
razi kare unse husne suluq kare aapas me ikhtelaf ya ber na rakhe |
5 th ba barkat rate koun koun hai ?
Nab qareem sallallaho tala alaihe wasallam ka farmane azim hai ,”panch rate aesi hai jisme koi dua radd nahi
ki jati isliye is dino me khas taur par ibadat kare aur
din inshallah allah azowazl humsab ki magfirat farmayega-
- 15 th shaban yani shabe barat
- Rajab ki pehli rat
- Eidul fitr ki rat
- Jumma aur jumerat ki darmiyani rat
- Eidul azha ki rat
15 Shaban –
Is din har ek musalmano ki duayein suni jati hai|
Rajab k ipehli rat –
Is din bhi jarur ibadat karein aur sath hi roza rakhe.
badi fazilat hai is din ki|
Eidul fitr ki rat –
Yani 29 th shabe qadar is din k iibadat badi aehmiyat
rakhti hai is din ibadat kare aur agle din yani eid ke din roza na rakhein |
Nafil namaz in shabe barat –
Shabe barat ke din magrib ki namaz ke bad do rakat namaz is tarah padhe ki –
har rakat me bad sureh fateha ke sureh hashr ki akhiri
teen ayat ek martaba aur surhe ikhlas teen -teen dafa
padhe aur sath hi sureh yaseen ki tilawat kare inshallah is namaz ko ada
karne se hamari bargahe ilahi me magfirat ho jayegi |
Chand surah jarur padhe –
- Sureh dukhan ki tilawat
- aur sureh yasieen ki tilwat
- और sureh waqia
- taki rizq
- me farakhi paida ho.
Conclusion :
Aaj humne shabe barat ke mutalliq kai sari aehm bate jani is din ki badi fazilat hai ye rat magfirat ki rat hoti hai ibadat kare aur apne rab se magfirat ki talab kare shabe barat yani nizat k irat is din bande ki koi dua khali nahi jati aur sath duaon me yaad rakhe apke duaon ke muntazir|wiki/Shab-e-barat