Ramzan mubarak ki fazilat –
Ramzan mubarak ki fazilat – aaiye jane ki ramjan sharif me ibadat kese kare kaise apne rab ko razi kare roza ke mutalliq aham bate jo app nahi jante honge ramjan ke mahine me kya hota hai iske aur kya naam hai roza rakhne todne aur na rakhne ka reason aur bhi bahut kuch aaiye Jane aur ibarat hasil kare.
Is mahine Qur’an pak nazil hui pure saal ka Bima is mahine ke jariye hota hai mahina sabr ka hai aur sabr ka
sawab jannat hai aehsan us khuda ka jisne hame mahe ramjan jaisi azimussan nemat se sarfaraz farmaya
ramjan ke rojadaro ke liye dariya ki machhaliya iftar tak dua
magfirat karti rehti hai roja ibadat ka darwaja hai.
Mahe ramzan ki tarif –
Jo koi bhi banda is mubarak mahine ki kisi bhi raat me namaz padhta hai
to iske aevaj me uske liye 15 sau
nekiyan likhta hai uske liye jannat me surkh yakoot ka ghar
banata hai mahe ramjan ka pehla roja rakhne
wale ke liye mahine ke aakhir tak ke gunah maaf kar deta hai.
Roza kis par farz hai ?
Deen islam pe iman lane wala tamam jaruriyat ko samajne
wala jis tarah har momin bando pe farz hai usi
tarah roja bhi har aaqil vah balig mard , aurat pe farz hai
isliye roja rakhiye roja ham sabhi par farz hai.

Kya roja se insan bimar ho jata hai ?
Kai log ka kehna hai ki roja rakhne se insan bimar ya kamjor ho
jata hai Islami mahino ki fazilat- jabki aesa
bilkul bhi nahi hai roja rakhne se
banda bimar nahi hota balki aur
uski sehat maintain ho jati hai allah pak roja
rakhne wale ko jism ki sehat ata farmaye.
Shaitan kaid kar liye jaate Hai –
Pyare aaka sallallahu tala alaihi wasallam ne irshad farmaya jab ramzan sharif aata hai to aasman Ke darvaje
khol diye jaate hai aur dojakh Ke darvaje band kar diye jaate hai jiski vajah se is mahine mei gunahgaro balke
kafiro ki kabro per bhi dojakh ke garmi nahi pahunchti iblis ki aulad ko bhi kaid kar liya jata hai rahmat ke
darvaje khol diye jaate hai shaitano ko kaid kar liya jata hai.
Is mahine mei jo koi bhi gunah karta hai vah apne nafs ki shrarat se karta hai na ki shaitan Ke bahakane se.
5 khususi karam in ramjan-
- Jab ramjanul mubarak ki pehli raat
- hoti hai tab allah pak rehmat
- ki nazar farmata hai aur jiske taraf
- farmaye use kabhi bhi ajab na dega
- Sham ke waqt unke munh ki boo ( jo bhook ki wajah se hoti hai )
- allah ke nazdeek mushk ki khushboo se bhi behtar hai
- Farishte din raat inke liye magfirat ki dua karte hai
- Allah pak jannat ko hukm deta hai mere nek bando ke
- liye aa-raasta ho ja taki voh apne ghar
- (jannat ) me rahat ki sans le sake
- Mahe ramjan ki aakhiri raat aate hi khuda
- sabki magfirat farma deta hai
Ramzanul mubarak ke 4 name and meaning –
- Pehla mahe ramjan : mahe ramjan iska name hai
- Dusra mahe sabr : roja sabr hai isliye
- ise mahe sabr kehte hai
- Third mahe muaasat : mahe muaasat means bhalai karna
- sabhi se isliye ise mahe muaasat kehte hai
- Fourth mahe wusate rizq : rizq ki farakhi hoti hai gareeb bhi
- naimat kha lete hai isliye ise
- mahe wusate rizq kehte hai.
Ramzan mubarak ki fazilat –
- Mahe ramjan me har din aur har waqt ibadat hoti hai roja
- ibadat , iftar ibadat , taraweeh ibadat , sehri ibadat
- har shan me nazar aati hai
- Mahe ramjan gunahgaro ko pak karta
- aur nek logo ke darje badhata hai
- Ramjan me nafil ka sawab farz ke barabar aur farz
- ka sawab 70 guna milta hai
- Bad auolmaye farmate hai ki jo ramjan me marta hai
- to usse kabr me sawal nahi hoga
- Is mahine me shabe qadar nazil hui
Ramzan mubarak ki fazilat urdu –
- Apko Ramjan me iblees qaid kar liya jata hai aur dojakh
- ka darwaja band kar diya jata hai
- Ramjan me khane-pine ka koi hisab nahi hota
- Quran majeed me sirf ramjan mahina ka hi zikr hua hai
- aur kisi mahine ka nahi hua
- Iftar , sehri ke waqt dua qubool hoti hai
- isme gunahgaro ki magfirat hoti hai
- Qayamat me namaz quran rojadar ki shafaat karenge.
Dojakh se nijat – Ramzan mubarak ki fazilat ka bayan –
Har roj 10 lakh (gunahgaro ) ko jahannum se azad farmata hai
aur jab 29 vi raat hoti hai to mahine bhar me
jitne azad kiye unke mazmuaa ke barabar us ek raat me azad
farmara hai eid ke din sare mahine ke barabar
gunahgaro ki bakhshis ki jati hai.
Roja ke 3 darje hai –
- Awaam ka roja : yani rukna khud khane – pine rok kar rakhna kehlata hai
- Khawas ka roja : Khane- pine ke sath -sath jism ko bhi rok kar rakhna khawas ka roja kehlata hai
- Khasool ka roja : sirf allah ki taraf mutwajjah hona khasool khawas ka roja kehlata hai.
Eja (body) ke roje ki tarif jane –
Jism ka roja yani tamam hisso ko gunaho se bachana ye roje tak ke liye hi mahdud nahi balki puri zindagi in
eja ( body ) ko gunahon se bachana jaruri hai aur yah tabhi mumkin hoga jab ham apne dil mein khauf e
khuda paida karenge aaiae chand eja (body) ke bare me jaane se roze me bachana jaruri hai.
Aankh ka roja –
Hamesha aankh ka roja is tarah rakhna chahie ki jab bhi uthe to sirf aur sirf jayaj chijo ki taraf uthe aankh se
masjid dekhe quran dekhe dargah sharif ki ziyarat Kare nek bando ka didar Kare allah azowazl chahe to kaba
moajjama Ki anvar dekhe makka mukarama ko dekhe madina munawara Ki daro deewar , sunhari jaaliyon ko
nihaare Jannat ki pyari pyari kiyariyon ki dekhe.
Aankh ka roja rakhe –
Nazreen aankh ka roja jarur rakhiye apni aankhon se hargiz hargiz film na dekhe drama na dekhe na mehram
auraton Ko dekhe na hi na mahram mard ko dekhe kisi ka khula hua 70 na dekhe bila wajah apna 70 bhi na
dekhe llah azowazl ki yaad se gafil kar dene wale khel tamashe maslan dance chess taash vagierah is tarah jab
dekhne ki izzat nahi to iska matlab khelne ki izajat hargiz nahi hai.
Kaan (ear) ka roja –
kano ka roja kuch is tarah hai ki sirf aur sirf jayez bate hi sune maslan Kano se tilawat sune nat voh takrir hi
sune sunnato bhare bayan bhi sune acchi v sacchi baat sune azan aqamat sun kar jawab dijiye hargiz dhol
baje music ya shero shayari na sune kisi ki kisi ke khilaf burai hargiz na sune kisi chugli na sune kisi ki baat chhup kar hargiz na sune.
Jaban ka roza –
jaban ka ye hai ki sirf aur sirf nek voh jayaz bate hi kare maslan jaban se tilawat quran kijiye jikr durood ka
wird kijiye naat sharif padhiye nek aur deen hadis ki bate kare deendari baten sabhi ko bataen fijul bakbak se
bachte rahe gaali galoch jhooth geebat chugli vagirise jaban napak na hone de apni jaban ko kabu me rakhe
agar jaban se app kisi ki chugli khaenge to apka roja fasid ho jayega.
yaad rakhiye agar chammach nijasat me dal diya jaaye to do ek gilas pani se vah chammach pak ho jaega
magar be-hayai ki baton se agar jaban napak ho gai to ise saat samander bhi nahi dho sakega.
Hatho ka roja –
Hathon ka roja Is tarah hai ki jab bhi hath uthae sirf nek kamo Ke liye hi uthae maslan ba taharat quran e
majeed ko hath lagaiye nek logo se musafa karte waqt hi hatho ka istemal Kare sallallahu tala alaihi wasallam ki khatir aapas me mohabbat rakhne walo ke sath mile jule aur musafa kare hi sake to kisi yateem ke sar par
hath phere ke hath ke niche jitne bhi baal aayenge har baal ke awaj ek ek neki milegi isi tarah kisi par julman
hath na uthaye rishwat lene dene ke liye hath na chalaye na kisi ka maal churaye na hi na mahram auraton ya
mardo se musafa kare apne hatho se najayaz kam hargiz na kare aur na hi tash chess khele.
Paon (leg) ka roja –
Paon uthe to sirf nek kamo ke liye hi uthe maslan paon chale to masjid ke taraf chale dargah sharif ki taraf
jayarat ko badhe nem aamal karne ke liye hi uthe neki ki dawat dene ke liye hi uthe neki sohbat ke sath chale
kisi ki madad ke liye hi chale madina munawara ki taraf chale hargiz sinema ghar ke taraf na chale drama dekhne ke taraf na uthe burai ki taraf jane se apne kadam ko roke dosto ki majlis me bathne se khud ko roke.
Ramzan me dua – Ramzan mubarak ki fazilat –
Aap sallallahu tala alaihi wasallam namaz ki kasrat farmate aur
khoob gidgida kar dua mangte aur khofe –
khuda app sallallahu tala alaihi
wasallam par tari rehta ramjan
me har dua qubool hoti hai koi dua khali nahi jati.
Mahe ramzan me marne ki fazilat –
Khush naseeb hai wo shakhs jo ramjan sharif me intekal karta hai
usko sawalaat kabr se nijat mil jati hai ajabe
kabr se bach jata hai aur jannat ka haqdaar hota hai aur
sadqa dene ki halat me hui to voh jannat payega.
jis ne is maah me ki nasha ya kisi momin par bohtan/iljam lagaya ya koi
gunah kiya to allah pak uske ek
saal ke amaal jaya kar dega gunah chhoti ho ya badi gunah
to gunah hota hai isliye gunah karne se daro.
Roje rakhne ki niyat ka tarika –
- Niyat dil ke irade ka name hai jaban se kehna shart
- nahi magar keh lena mustahab hai
- Sehri khana bhi niyat hai ki roje rakhne ke liye kha raha hoo
- Niyat karna bahut jaruri hai
Sehri karna sunnat hai
Kuvat hasil karne ke liye aur ibadat me ji lagane ke liye sehri karna bahut jaruri hai farmane mustafa sallallahu tala alaihi wasallam , sehri khaya karo kyunki isme barkat hai khajur behtarin sehri hai.
Iftar ki fazilat/fajayel – Ramzan mubarak ki fazilat –
- Farmane mustafa sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya ye din
- hamesha galib rahega jabatak log iftar me jaldi karte rahenge
- Hadees pak me bhi iftar me takheer karne par
- na pasandidgi ka ijhar kiya gaya hai
- Mere bando me mujhe sabse jyada pyara wo hai jo iftar me jaldi karta hai
- Khajur se iftar kare ki voh barkat hai ,pani se bhi khol sakte hai pani pak hai
Iftar ke waqt dua –
Kushnaseeb hai voh banda ya bandi jise iftar ke waqt dua karne ki
khushnaseebi ata hoti hai iftar ke waqt jo
bhi dua mangta hai allah use apne fazlo karam se qubool
farmata hai isliye dua jarur kare.
Roja todne wali chize –
- Khane , pine ya hambistari karne se roja jata
- rehta hai jabki rojadaar hona yaad ho
- Hukka ,sigar , sigrate vagiera pine se bhi roja jata rehta hai
- Pan ya sirf tambakoo khane se bhi roja tut jata hai daanto
- ke bich me agar koi chiz fasi hui ho chane ke barabar ya jyada
- agar halak se paar kar gaye to bhi roja tut jayega
- Agar roja yaad ho fir bhi munh bhar ke qe/ulti ki to roja tut jayega
- Kam se kam qe/ulti (vomate ) ki munh bhar na aai to rija nahi tutega
Roja kab tak nahi jata –
- Bhul kar khaya , piye ho to roja nahi tutega
- Gusal kiya aur pani ka thandak mehsus kiya tab bhi roja nahi jayega
- Waju ke dauran pani munh me chala gaya tavb bhi roja nahi jayega
- DAanto se akhoon nikal kar halaq tak pahuncha lekin
- halaq se niche nahi utra to rija nahi gaya
- Makkhi halaq me chali gayi to bhi roja na gaya
Koun roja nahi rakh sakta ?
- Kisi ka roja todne par majbur kiya gaya ho to tod sakta hai
- lekin sabr karega to azar milega
- Saanp (snake ) ne das lilya to roja majburi me tod sakte hai
- Musafir ko roja na rakhne ka ikhtiyar hai.
conclusion –
Is tarah hamne aaj ramjan sharif ki tareef se lekar roja aur fazilat har chhoti badi malumat upar muhaiya karai gayi hai ise padhe aur apne ilme deen me ijafa kare aaj hamne roje ke mutallik maslan roja rakhne ka tarika
iski fazilat roje ka name aur bhi bahut kuch padhe aur ibrat hasil kare apke duaaon ka muntazir allah hafiz ! www.mydawateislami.com/
I read your blog .Having very use full information help me a lot .I will read more Article on your blog .
I reviewed your blog it’s really good. thank you for the information about this blog.I want more information
Via Removals
I read your blog. Having very use full information help me a lot. I will read more articles on your blog.