Qurbani ka bayan –
Qurbani ka bayan – Aaiye qurbani ( Eid-ul-Adha ) ke mutalliq kai aham chizon ke bare me jane maslan kab manaya jata hai iska sahi tarika kya hai aur qurbani ka sawab kitna hai islam me qurbani ke mutalliq kin baton ko madde-nazar rakha jata hai aur iske kya masail kya hai aur bhi bahut kuch is post me aap padhenge…
Qurbani ki tarif ya kise kehte hai ?
Ye ek maali ibadat hai jo gani par wazib hai khas janwar ko khas din me allah ke liye sawab ki niyat se jabah
karna qurbani hai har aaqil balig muqim musalman mard aurat
malik nesab par qurbani wazib hai aam taur
par riwaz hai ke pure ghar ki taraf se ek bakra qurban kar
diya jata hai jabki sahbe nesab hone ke bina par
ghar ke kai logo par qurbani wazib hoti hai un
sabki taraf se alag-alag qurbani ki jaye. Kafan ka bayan –
qurbani hazrate abul-ambiya saiyedna ibrahim alaihis salam ki sunnat hai.
Islam me qurbani kyu ki jati hai ?
Qurbani ek tarah ki ibadat hai jo ki qurbani allah ke raah me sawab ke waste kiya jata hai sureh haz me allah ajowazl farmata hai ke tumhara gosht (matan) , khun (blood) allah tak nahi pahunchta balki allah tak to tumhari dilon ki niyatein pahunchti hai tumhara taqwa pahunchta hai qurbani ka bakra ya janwar ke har baal ke barabar ka sawab milta hai aur jitna khun jameen par girta hai uske barabar allah ajowazl ham sabke gunah bakhsh (maaf) farma deta hai.
Qurbani kab manaya jata hai ?
10 vi zilhijja ki subah sadiq se 12 vi ke guroob aftab tak hai yani 3 din aur 2 rate lekin 10 vi sab me afzal hai fir
11 vi , 12 vi shahar me qurbani ki jaye to shart hai ye hai ke namaz eid
ke bad ho aur dehat me chunki namaz
eid nahi isliye subah sadiq se ho sakti hai qurbani ke waqt me qurbani
hi karna lazim hai itni qeemat ya itni
qeemat ka janwar sadqa karne se wazib ada na hoga qurbani
ke din gujar jane ke bad qurbani faut ho gai ab
nahi ho sakti lihaza agar koi janwar qurbani ke liye kharid rakha hai
to uska sadqa kare warna ek bakra ki qeemat sadqa kare.
Qurbani kis par wazib hai ? Qurbani ka bayan –
Jis tarah qurbani mard par wazib hai isi tarah aurat par bhi wazib hai haan musafir par qurbani wazib nahi
lekin agar nafil ke taur par kare to kar sakta hai sawab payega malik
nesab hone se murad itna maal hona hai
jitna maal hone se sadqa fitr wazib hota yani hazat aseela ke alawa
200 dirham (yani 52 1/2 tola chandi ) ya 20
deenar ( 7 1/2 tola sona) ka malik ho jo shakhs 200 dirham ya
20 deenar ka malik ho ya hazat ke siwa kisi aesi
chiz ka malik ho jiski qeemat 200 dirham ho to voh gani hai us par qurbani wazib nahi hai.
Kin janwaro ki qurbani ho sakti hai ?
Camel , cow , bakri , lamb (भेड़) , nar-mada khasi gair khasi sabki qurbani ho
sakti hai wehshi janwar jaise hiran
, neel cow barah singha vagirah ki qurbani nahi ho sakti dumba lamb
(bhaid) hi me dakhil hai camel 5 saal गाय
-भैंस 2 saal lamb-bakri ek saal ki ho ya jayada ki isse kam ki
na-jayez hai haan agar dumba ya lamb ka 6
mahine ka baccha itna bada ho ke dur se dekhne me saal bhar ka malum
hota ho to uski qurbani jayez hai is tarah qurbani ka bakra achha aur khubsurat hona chahiye .

Qurbani ka janwar kesa hona chahiye ?
Ye janna behad jaruri hai- qurbani ka janwar mota-taja aur achha hona chahiye aibi
na hona chahiye agar
thoda sa aib ho to qurbani jayegi magar makrooh
hogi aur agar jayada aib hai to hogi hi nahi isi tarah munda
jiske paidaish singh na ho jayez hai albatta agar singh the aur tut gaye
aur guda tak tut gaye to jayez nahi isse
kam tuta hai to jayez hai andha , langda , kana , behad dubla kan
kata dum kata , be-dant ka , than kata , than
sukha , naak kata , paidaishi be-kaan ka bima vagirah is sabki
qurbani jayez nahi bimari agar khafif hai aur
langda halka hai ke chal-fir sakta hai qurbani gaah tak ja sakta hai ya
kaan-naak dum tihai se jayada nahi kate to jayez hai.
Qurbani ka sawab kitna hai ? Qurbani ka bayan –
Sarkar madina ke tajdar parwardigar do alam ke malik o mukhtar ,
shahanshe ibrar sallallahu tala alaihi
wasallam ka farmane khushbuoodar hai , insan bakrid (eid-ul adha)
ke din koi aesi neki nahi karta jo allah
ajowazl ko khun bahane se jayada payari ho , ye qurbani qayamat me
apne seengo , balon aur khuron ke sath
aayegi aur qurbani ka khun jameen par girne se pehle
allah ajowazl ke yaha qubool ho jata hai lihaza khush dili se qurbani karo
Hazrate saiyudna shah abdul-haq muhaddis
dehlvi rahmatullahi-qawi farmate hai ,
qurbani apne karne wale
ke nekiyon ke palle me rakhi jayegi jisse nekiyan bhari hogi hazrate
mulla ali qari alaihi rahmatul bari farmate
hai , fir uske liye sawari banegi jiske jariye ye shakhs ba-asani
pul-serat se guzrega aur us janwar ka har azu
malik ke har azu ka fidya banega.
Qurbani me kya na kare – Qurbani ka bayan –
Mufti ahmad yar khan alaihi rehmatul hannan isi safa par hadees pak ke
is hisse ke tahat farmate hai balki jo
qurbani na kar sake voh bhi is ashra (yani zilhijja ke iptadai 10 ayiyam)
me hazamat na karaye bakrid ke din
bad namaz eid hazamat karaye to inshallah
allah ajowazl se (qurbani) ka sawab payega.
Qurbani karne wale baal nakhun na kate…
Hadees pak me hai tum me se agar koi qurbani karna chahe to
apne baal o khal ko bilkul bhi hath na lagaye jo
qurbani ka irada kare voh zilhijja ka chand dekhne se qurbani tak nakhun
baal aur apne badan ki khal vagirah
na kate na katwaye taki hajiyon se qadrey mushabahat ho jaye ke
voh log aehram me hazamat nahi kara
sakte taki qurbani har baal nakhun ka fidya ban jaye ye
huqm wazib nahi mustahab hai lihaza qurbani karane
wale ka hazamat na karana behtar hai lazim nahi isse
malum hua ke acchon ki mushabahat bhi acchi hai.
Qurbani ke mutalliq chand bate – Qurbani ka bayan –
- Camel aur buffalo vagirah me 7 qurbaniya ho sakti hai
- Na-balig ki taraf se bhale hi wazib nahi magar kar dena behtar hai
- aur izajat bhi jaruri nahi balig aulad ya biwi ki tarf se qurbani karna
- chahe to unse izajat talab kare agar
- unse izajat liye bagair kar di to unke taraf se wazib ada nahi hoga
- Qurbani ke waqt me qurbani karna hi lazim hai kai dusri chiz uske
- qayem makam nahi ho sakti maslan bajaye qurbani ke bakra ya uski
- qeemat sadqa kar di jaye ye na kafi hai
- yaad rakhiye qurbani ke janwar ki umar camel 5 saal ka , buffalo
- vagirah 2 saal ki , bakra vagirah me 1 saal ka ,isse kam umar ho to
- qurbani jayez nahi jayada ho to jayez
- balki afzal hai ha dumba ya baidh ka 6 mahine ka baccha agar itna
- bada ho ke dur se dekhne me saal
- bhar ka malum hota ho to uski qurbani jayez hai
- Qurbani ka janwar be-aib hona jaruri hai
- Behtar ye hai ke apni qurbani apne hath se kare jabki achhi tarah
- jabah karna janta ho aur agar achhi tarah na janta ho to
- dusre ko jabah karne ka huqm de magar
- is surat me behtar ye hai ke waqt qurbani waha hazir ho
- Dusre se jabah karwaya aur khud apna hath bhi chhuri par rakh
- diya ke dono ne mil kar jabah kiya to dono par bismillah kehna
- wazib hai ek ne bhi jaan bujh kar allah
- ajowazl ka name tark kar diya ya ye khayal karke chhod diya ke
- dusre ne kah liya hai mujhe kehne ki
- jarurat nahi to dono suraton me janwar halal nahi hua
Qurbani ka tarika kya hai ? Qurbani ka bayan –
Chahe qurbani ho ya yunhi jabah karna ho sunnat yahi chali aa rahi hai
ke jabah karne wala aur janwar dono
qibla ki rukh ho , hamare ilaqa ( yani hindustan , pakistan )
me qibla magrib me hai , isliye janwar ka sar junub
ki taraf hona chahiye taki janwar baye (ulte) pehlu leta ho aur uski
peethh mashrik ki taraf hota ke uska munh
kibla ki taraf ho jaye , aur jabah karne wala apna dayaan pair janwar
ki gardan ke daye (yani sidhi taraf ke sath
wale) ke hisse par rakhe aur jabah kare aur khud apna ya janwar ka
munh kibla ki taraf karna tark kiya to makrooh hai
Isi tarah fir qurbani ka janwar jabah karne se pehle qurbani ki dua padhe
aur fir janwar ki gardan ke kareeb
pehlu par apna sidha pair rakh karاللهم لكا و منك بسم الله الله أكبر padh kar
tej chhuri se jald jabah kar de qurbani apni
taraf se ho to jabah ke bad ye dua padhe اللهم تقبل مني كما تقبلت من خليلكا سيدنا ابراهيم عليه أسلام و من حبيبك سيدنا محمد صلى لله عليه
وسلم agar dusre ki taraf se qurbani kare to مني ke bajaye من kah kar uska name lijiye.
Janwar par raham karne ke sawab kya hai ?
Har kisi se narmi se paish aana chahiye chahe voh janwar ho ya insan – qurbani
ke janwar ko girane se pehle
hi qibla rukh ka taeen kar liya jaye litane ke bad bil-khasus pathrili
par ghasit kar qibla rukh karna ye jaban
janwar ke liye aziyat ka bayes hai jabah karne me 4 rge kat jaye ya kam
se kam 3 rge kat jaye isse jayada na
kate ke chhuri gardan ke muhar tak pahunch jaye ke ye be-wajah ki takleef hai
fir jab tak janwar mukammal
taur par thanda na ho jaye na uske pair kate na hi khaal utare , jabah
kar lene ke bad jab tak rooh na nikal
jaye chhuri bilkul mis na kare kai log janwar ko jald thanda karne ke liye
jabah ke bad gardan ki khaal utar kar
chhuri ghonp kar dil ki rge kat te hai isi tarah bakre ko jabah karne
ke fauran bad gardan chatkha dete hai ,
be-jabano par is tarah muzalim na kiye jaye jisse ban pade uske liye jaruri hai
ke janwar ko bila wajah nuksan pahunchane wale ko roke.
Qurbani ke waqt tamasha dekhna kesa hai ?
Qurbani ka janwar apne hath se jabah karna sunnat aur jabah ba-niyat
sawab aakhirat waha hazir rehna bhi
sunnat hai baki mahaz hazze nafs ki khatir batur tafrih jabah hone wale
janwar ke gird ghera dalna , uske
chillane aur tadapne fadakne se lutf andoz hona , hasna kahkahe
buland karna aur uska tamasha banana
sarasar gaflat ki alamat hai jabah karte waqt ya apni qurbani ho
rahi ho uske pas hazir rahte waqt adaye
sunnat ki niyat honi chahiye aur sath hi ye bhi niyat kare ke mai
rahe khuda ajowazl me jis tarah aaj janwar
qurban kar raha ho ba-waqte jarurat apni jaan bhi qurban kar dunga
nej ye bhi niyat ho ke janwar jabah karke
apne nafs ammarah ko bhi jabah kar raha hun aue aaindah gunaho
se bachunga jabah hone wale janwar par
raham khaye aur gaur kare ke agar is ki jagah mujhe jabah kiya ja raha hota to
meri kya kefiyat hoti ba-waqte
jabah janwar par raham khana kare sawab hai jaisa ke ek
sahabi radiallahu tala anha ne bargahe resalat me
arz ki ya rasullallah sallallahu tala alaihi wasallam mujhe bakri jabah
karne par raham aata hai farmaya agar is
par raham karo ge allah ajowazl bhi tum par raham farmayega.
Gosht taqseem karne ke 2 tarike hai ? Qurbani ka bayan –
Agar buffalo vagirah ki qurbani ki to jaruri hai ke gosht wazan karke taqseem kiya jaye , andaze se taqseem
karna jayez nahi haan ba-khushi ek-dusre ko kam-jayada maaf
kar dena bhi kafi nahi haan agar sab ek hi ghar
me rahte hai ke mil kar hi bantenge aur khayenge ya shur ka apna-apna
hissa lena nahi chahte , aesi surat me wazan karne ki hazat nahi ,
Agar shur ka apna-apna hissa le jana chahte ho to wazan karne ki
mushakkat se bachne ke liye ye do tarike
aazma sakte hai jabah ke bad us janwar ka sara gosht ek aese
balig musalman ko tohfa malik kar de jo unki
qurbani me sharik na ho aur ab voh andaze se sab me taqseem kar sakta hai
Isi tarah dusra tarika usse se bhi aasan hai jaisa ke faukhaye
karam rahimullah tala farmate hai , gosht
taqseem karte waqt isme koi dusri jins (maslan kalezi , magaz vagirah )
shamil ki jaye to bhi andaze se
taqseem kar sakte hai urfe aam me kalezi , tilli , siri paye vagirah ko gosht nahi kaha jata yun ye gosht ke
alawa ki jens hui lihaza agar kalezi ya dil ya paye vagirah
koi ek chiz bhi tukde karke ya yun hi gosht me shamil
kar denge to andaze se taqseem karna jayez ho jayega aur ab ye bhi koi jaruri nahi ke har hissedar ko
taqseem karne me kalezi vagirah mile .
Kitne hisse me gosht ko taqseem kare ?
Qurbani ke gosht me kam-se-kam 3 hisse lagaye jisme ek hissa apne liye rakhe aur dusra hissa apne
rishtedaron aur azizon-aqarib voh padosiyon me taqseem kare
aur aakhiri hissa garibon me taqseem kar de
aur taqseem itna kare ki ek gareeb ke ghar sabhi log ser
hokar khaye jinke ghar qurbani na hua ho unke ghar
jarur se gosht pahunchaye aur qurbani me garibon ka hissa hargiz na
mare unhe jarur unka hissa un tak pahunchaye qurbani karna ek bahut hi accha amal hai jo hamare liye
aakhirat me nekiyon ka zakhira liye khada hoga.
Conclusion :
Aaj hamne qurbani ke mutalliq kai sari bate padhi jo hamare liye kafi fayedemand sabit hogi maslan qurabni
karne ka sahi tarika kya hai , kin logo par qurbani wazib hai ? aur qurbani karne ke kya-kya fayede hai aur bhi
bahut kuch is post me padhe aur apne ilme-deen me izafa kare is tarah ki aur ahamtarin post padhne ke liye hamare site deenitalim.com par visit kare Allah nigehban !
Aapka bahut shukriya deeni talim ko ham sab tak pahuchane ke liye aur aaj ke muslim bhai log to gafil ho gaye h ye jankari jaruri h Allah pak hamesha aapko aur aapki family ko hamesha khush aur aabad rakhe aur kamyabi ki bulandi hasil ho aameen summa aameen jazaak allha
Thanks for appreciating me..!
You need to be a part of a contest for one of the best blogs on the net. I will highly recommend this blog!