Pani peene ka bayan –
Pani peene ka bayan – jis tarah hamara majhab khana khane ka sunnat tarika jiske bare me kai hadees sharif me iska zikr mauzood hai thik isi tarah islam me pani peene ke bare me bhi kai hadeese hai aaiye jane ki pani
peene ka sahi tarika kya hai , kitne sans me piye , chullu se pani peene ke masayel , aur bhi bahut kuch jiske bare me aaj ham is article me padhenge.
Pani peene ka sahi tarika in islam ?
Jab bhi pani piye sabse pehle bismillah sharif padhe uske bad pani apne right hand se peena shuru kare aur
3 sans me piye , har martaba bartan ko munh se hata kar sans le
pehli aur dusri martaba ek-ek ghunt piye aur
tisri sans me jitna chahe pee dale is tarah peene se payas bhujh jati hai aur pani ko choosh kar piye gat-gat
bade-bade ghunt na piye jab pee chuke to allahamdullillah kahe is zamana me bad log left hand me katora
galass le kar pani peete hai jayadatar khane ke waqt
right hand se peene ko khilaf tehzeeb jante hai unki ye
tehzeeb , tehzeeb nasra hai islami tehzeeb right hand se
peena hai aaj kal ek tehzeeb ye bhi hai ke galass me
peene ke bad jo pani bacha use fenk dete hai ke ab voh pani jutha ho gaya jo dusre ko nahi pilaya jayega ye
hinduoon se sikha hai islam me chhut-chhat nahi musalman ke juthe se bachne ke koi mani nahi aur is illat
se pani ko fenkna israff hai mushk ke dahane me munh lagakar
pani peena makrooh hai kya malum koi mazr
chiz uske halq me chal jaye is tarah lote ki totee se pani peena magar jabki lote ko dekh liya ho ke usme koi
chiz nahi hai surahee me munh lagakar pani peene ka bhi yahi huqm hai. Libas ka bayan :
Sunnat tarika pani peene ka –
- Sabse pehle bismillah sahrif padhe.
- Apne right hand se pani peena shuru kare.
- Pani ko 3 sans me lekar piye.
- Hamesha baith kar pani piye.
- Galass ke andar apni sans hargiz na chhode.
- Peene ke bad alhamdullillah jarur kahe.
Kitne sans me pani piye ? Pani peene ka bayan –
Rasullallah sallallahu tala alaihi wasallam pani me 3 bar sans lete the , farmate ke is tarah peene me jayada
serabi hoti hai aur sehat ke liye mufeed aur khushgawar hai.
Aur farmaya ke ek sans me pani na piyo jaise camel peeta hai balki 2 aur 3
martaba me piyo aur jab piyo to
bismillah keh lo aur peene ke chizon me funkne se mana farmaya
ek shakhs ne arz kiya ke bartan me kabhi
kachra dikhayi deta hai farmaya use gira do usne arz kiya
ke ek sans me seraab nahi hota hun farmaya bartan
ko munh se alag karke sans lo aur mushk ke dahane se peene ko
mana farmaya apne farmaya khade hokar
hargiz koi shakhs pani na piye aur jo bhul kar aesa kar guzre voh qey (vomate) kar de.
Hazrat ibne abbas radiallahu tala anha kehte hai mai abe-zamzam ka ek dol nabi qareem sallallahu alaihi
wasallam ki khidmat me hazir laya huzur ne khade-khade use piya
hazrat kabsha radiallahu tala anha kehti
hai mere yahan rasullallah sallallahu alaihi wasallam tashrif
laye mushk latki hui thi uske right se khade hokar
pani piya , maine mushk ke dahane se ko kaat
kar rakh liya unka kaat kar rakh lena tabarruk ke liye tha
chunke usse huzur ka dahan aqdas laga hai ye barkat ki chiz hai aur isse bimariyon ko shifa hogi.

Chullu se pani peene ke masayel –
Abdullah ibne umar se riwayat hai ke rasullallah sallallahu alaihi wasallam ne pet ke bal jhuk kar pani me
munh dal kar peene se mana farmaya aur ye farmaya ke
kutte ki tarah pani me munh na dale aur na ek hath
se chullu lekar piye jaise voh log pite hai jin par khuda naraz hai
aur night me jab kisi bartan me pani piye to
use hila le magar jabki voh bartan dhaka ho to hilane ki jarurat nahi aur jo shakhs bartan se peene par qadir
hai aur tawaza ke taur par hath se peeta hai allah pak uske
liye nekiyan likhta hai jitni uske hath me ungliyan
hai hazrat isha alaihis salam ka bartan hath tha ke unhone
apna payala bhi fenk diya aur ye kaha ke duniya ki
chiz hai aur ek riwayat me hai ke farmaya hatho ko dhouoo aur unme pani piyo ke hath se jayada pakiza koi
bartan nahi aur farmaya ki saki ( jo logo ko pani pila raha hai )
voh sabke aakhir me piyega isi tarah farmaya
pani ko choosh kar piyo ke ye khushgawar aur zodhajam hai aur bimari se bachao hai.
Pani pilane ki hiqmat- Pani peene ka bayan –
Hazrate ayesha radiallahu tala anha ne kaha ya rasullallah kis chiz
ka mana karna halal nahi , farmaya pani
aur namak aur aag kehti hai maine arz ki ya rasullallah pani ko
to hamne samajh liya magar namak aur aag ka
mana karna kyu halal nahi farmaya tab apne farmaya ae
humera jisne aag di goya usne us pure ko sadqa kiya
jo aag se pakaya gaya aur jisne
namak diya goya usne tamam us khane ko
sadqa kiya jo us namak se durust
kiya gaya aur jisne musalman ko is jagah pani ka ghunt pilaya jahan
pani milta hai to goya gardan (neck) ko
azad kiya aur jisne muslim ko aesi jagah pani ka
ghunt pilaya jahan pani nahi milta hai to goya use zinda kar diya.
Kisi ko pani peelana ye sabse bada sawab
ka kaam hai agar kisi ke ghar
pani nahi to beshak app use apne
ghar se pani de jisse uski jarurat puru ho sake bad dafa kai
log to kisi ko ek galass pani pilane me bhi ye
sochte hai ki galass ko fenkna padega isliye pani na pila kar
use taal dete hai maazallah ! aesa hargiz na kare
kyunki kisi ko pani pilana aur tab jab uske pass
mangne ke alawa aur dusra koi chara na ho to aese shakhs ko
jarur pani pilaye aur sadqey jariya karne ka sawab pane khate me le. pani-peene-ki-dua/
Conclusion :
Aaj hamne pani (water) se mutalliq har chhoti-badi chizon ke bare me ilme-deen hasil ki jisse hame ye malum
ho saka ke ek sans me pani nahi peena chahiye aur chullu se pani peene se kya hota hai aur pani peene ka
sahi voh jayez tarika hamare deen-islam me kaisa mauzood hai hame use apne zati zindagi me shamil jarur
karna chahiye agar deenitalim.com ke is article me apko ye ilm acchi lagi to ise jarur share kare apke duaaon ka muntazir…Allah hafiz !