Nafil roze ki fazilat –
Nafl roze ki fazilat – nafil roza rakhne ke kya fayede hai hamare
islam me aaiye jane roza rakhne ki deeni v duniyavi fayede/favayed bahut
hai mazeed favayed me iman ki hifazat ,
jahunnum se nijat ,jannat ka husool
shamil hai allah razi ho jata hai duniyavi me waqt , akharzaat ki bachat ,
pet ki eslaah aur bahut sare marz se bach sakte hai.
Nafil roza rakhne ki fazilat/fajayel –
Aaiye jaane nafil rozi ki fazilat ke bare me jiske fayede hi
fayede hai pure sal me ham agar ek din ka bhi
intekhab kar le to rojo ke liye
pure khulus dil se , to fir kya
kahna niche di gai majid malumat se fayda uthae
aur apne ilm me ijafa Kare.
Hazrate abu ayyub alan ansari raziallahu tala anha se riwayat hai ki
huzur sallallahu tala alaihi wasallam se
riwayat hai ke jo shakhs ramajan ke roze
rakh kar har saal sauwal
me bhi 6 roze rakhe to isse umar bhar ke
roze rakhne ka sawab milta hai
Jannat ka anokha darakht/tree –
Hazrate Syedna qaish bin zaid juhani raziallahu tala anha
se riwayat hai , allah Ke mehboob rasoolallah
sallallahu tala alaihi vasllam
ka farman Jannat nishan hai jisne
ek nafli roja rakha allah uske liye jannat me ek
darkht lagaega jiska fal anar
se chhota aur apple se bada hoga
shehad jaisa meetha aur bahut hi laziz hoga
allah pak kayamat ke din rojdar Ko
Jannat ka fal khilayega subhanallah.

40 sal ki duri dojakh se –
Farmane mustafa sallallahu tala
alehi vasllam hai Ki jisne sawab ki
ummid rakhte hue ek nafil roza rakha to
allah use dojak se 40 sal dur farma dega.
Ek roza rakhne ki fazilat – Nafil roze ki fazilat –
Farman e aaqa Kareem sallallahu
tala alaihi wasallam Jo shakhs
allah ki raja ke liye ek din ka roja rakhta hai
allah azowazl use jahannum se itna dur kar deta hai jitna
fasla ek kauwa bachpan se budha
hokar marne tak
musalsal udate hue taye kar sakta hai.
Nafil roza rakhna ek behtarin amal hai –
Hazrat saiyedna abu emama raziallahu tala anha farmate
hai maine arz kiya ya rasoollallah mujhe koi amal
bata dijiye aapane irshad farmaya
roza rakha karo Kyunki is
jaisa koi amal nahi fir irshad hua roza rakha karo
kyunki is jaisa koi amal nahi.
Nafil roza rakhne ke kya fayede hai ?
- Ek riwayat me aaya hai ki maine mustafa jane rehmat
- ke bargahe ilahi me hazir hokar arz ki
- ya rasoollallah sallallahu tala
- alaihi wasallam mujhe koi aesa
- hukm dijiye jisse allah mujhse razi
- ho jaye aap ne farmaya
- roze ko apne upar lazim kar lo
- kyunki iski koi misal (like) nahi
- Riwayat me hai ki maine arz kiya ya
- rasoollallah mujhe koi aesa
- amal bata dijiye jiske aewaj me mai jannat hasil kar
- saku ya jannat me dakhil ho jaau
- Farmaya roza rakha karo yahi voh
- amal hai jise apna kar tum
- chupke se jannat me chale jaaoge
- Jisne nafil roja rakha to allah pak uske
- aur dojakh ke darmiyan
- ek tez raftar swar ki 50 sala musafat
- ka fasla rabbul izzat farma dega
- Kisi ne ek din ka nafil roza rakha aur
- jameen bhar Sona use
- Us roza ke badle sawab ke naate diya jaaye tab bhi uska
- sawab pura na hoga roze ka sawab to
- Baroz kayamat hi use milega
- Allah ki raah me jis kisi ne bhi ek din
- ka farz roza rakha to badle
- me allah azowazl use jahunnum se
- itna dur kar dega jitna saato
- jamino aur asmano ke mabin
- yani darmiyani fasla hai
- Isi tarah Kisi ne nafil roja ek din
- ke liye bhi rakha to
- Hazrat saiyeduna Abu huraira
- raziallahu tala anha se riwayat
- hai ke sarkare madina sahbe
- moattar pasina sallallahu
- tala alaihi wasallam ne farmaya safar kiya
- karo maaldar ho jaaoge aur roza rakha
- karo tandurust ho jaaoge.
- Kayamat me
- Rojadaro ke
- Bakshish
- Ke ware nyare
- Ho jayenge Garibi/tangdasti ke asbab –
Nafil rojon ke name kya hai ?
- 27 vi rajab ka roza
- Ashura ka roja
- 12 vi sharif ka roja
- Shaban ka
- Arfa ka
- Jumma aur jumeraat ka
- Sauwwal ka
- Aaiyame baiz ka roja
- Eid ke 6 roze rakhna
- Budh ka roja
- Shabe barat ka roja
- Aashura ke bad ka roja
- 11 vi ka roja bhi nafil roza hai
Nafil roza kab tod sakte hain ?
- Shohar ki izazat ke bagair biwi
- nafil roza nahi rakh sakti hai
- Maa baap agar mana Kare to man le
- agar koi jayez reason se
- Billa wajah roja todna na jayez hai
- Walidain ki agar narazgi ho to roza
- asar bad tod sakte hai
- Mehman ki maujudgi mein tod sakte hai.
Roje mehshar me rojedaro ke marne ki hikayat –
Hazrat Syedna anas raziallahu tala anha
ne farmaya ke kayamat
ke din rojedar kabro se nikalenge to vah roje
ki boo se pahchane jaenge aur pani ke kauze zan par
mushq se mohar hogi unhe kaha jayega khaao kal tum
bhooke the , piyo kal tum pyase
the , aaram karo kal tum thake
hue the ps vah khaenge aur aaram karenge
halanki log hisab ki mashakkat
aur pyas me mubtila honge.
Sone ke dastarkhan – Nafil roze ki fazilat –
Baroje kayamat ke niche rojedaron ke liye motiyon aur
Jawahar se juda huwa sone ka aisa dastarkhan
bichhaya jaega Jo duniya Ke barabar
hoga is per Kai kism ke lazeez
jayqedar khane , fal vagera honge aur vah
sab nosh farmaenge pienge
aesho Ishrat me honge jabki
log sakht hisab me honge jo roja nahi rakhte hai.
Roja ki halat me marne ki fazilat –
umal mominin hazrat saiyedna ayesha raziallahu tala anhuma
se riwayat hai , sarkare mustafa sallallahu tala
alaihi wasallam ne farmaya jo roze
ki halat me mra , allah azowazl
kayamat tak ke liye uske hisab me roje likh
dega subhanallah.
Dusro ko khata dekh kar sabar karne wale rojedar –
- Farmane mustafa jane rehmat , jab tak rojedar
- ke samne khana khaya jata hai
- Tab tak farishte us rojedar ke liye
- duaayein magfirat karte rehte hai
- Ek riwayat me hai khane wala jabtak pet bhar le
- Jitni der tak rojedar ke samne khana
- khaya hai to utni der tak
- Uski haddiya tasbih karti hai aur hure malaika iske
- liye istagfaar karte rehte hai
- Beshak sabr ke badle jannat hai
- Khane ke dauran sabr karne wale
- se afzal koi shakhs nahi
Sakht garmi me roje ki fazilat –
Jo shadid garmi ke din apne apko allah azowazl
ki raza ke liye khud ko pyasa
rakhe to allah pak use sakht pyas
wale din yani baroje kayamat ke din use pani pilaega subhanallah.
Kayamat ke din roja daro ke dastarkhan
ka kya kehna har tarah ki
umda fal maujud hongewikipedia.org/wiki/नफिल_रोज़ा
Conclusion –
Is tarah aaj hamne nafil roza rakhne ki fazilat bayan ki jiske andar kai aham chizo ke bare me hai ise padhe
aur apne ilme deen me ijafa kare roza ki fazilat Islam me kai
sari hai quran hadees me deenitalim me iske
bare me malumat lekar aaye hai ise padhe
aur apne ilm me izafa kare