Masjid ki fazilat –
Masjid ki fazilat -Masjide voh jagah hai jinhe allah pak ne apni rehmato ko utarne ke liye chuna hai masjido me hi azane di jati hai hamare deen islam me masjid ki kya ya kitni badi fazilat hai aaiye jaane masjide vah
jagah hai jaha namaze ada ki jati hai sath hi taraweeh , itikaf ,namaze jumma vagairah ada ki jati hai aur neki
kamai jati hai masjid ka aehtaram karna har musalmano par farz hai masjid khuda ka ghar hai aaiye masjid ke
mutalliq bate jane aur ibrat hasil kare.
Masjid ko khushbudaar rakhna chahiye –
Ummul momenin hazrate saiyedana ayesha siddiqa raziallahu
tala anhuma se riwayat farmati hai “huzur
purnoor shafea noor sallallahu tala alaihi wasallam ne muhallo
me masjide banane ka hukm diya aur ye ke
voh saaf aur hamesha use
khushbudaar rakhi jayen Khajur ke fayde jane –
Masjid se mohabbat ki fazilat kya hai ?
Hazrate aboo saees khudri raziallahu tala anha riwayat karte hai
ke nabi kareem sallallahu tala alaihi ka
farman ulfat nishan hai
” jo masjid se ulfat (Mohabbat) rakhta hai
allah tala usse mohabbat rakhta hai aur
allah pak ka us bande se
mohabbat karna is tarah hai
ke allah pak usko apne saaye
me rehmat me jagah ata
farmata aur usko apni hifazat
me dakhil farmata hai subhanallah.

Masjid ki jayarat ki fazilat jane –
Farmane rasool sallallahu tala alaihi wasallam ka irshad rehmat
bunyad hai ke beshak masjide zameen me
allah pak ke ghar hai aur allah pak
par haq hai ke voh ( apne ghar ki )
jayarat kare masjid allah ka ghar ibadat
ka maqam hai.
Aham bate masjid se mutalliq
(jinse parhez kare ) –
- Masjido me jo log baith kar duniya ki
- bate karte hai yaha – waha ki
- chugaliya karte hai in sab baton ko allah pak
- ne shakht na pasand farmaya hai
- Jo log geebat karte hai
- ( jo ki shakht haram v zina se bhi ashadd )
- Dusro ki buarai karte hai unke munh
- se gandi badboo nikalti hai
- jisse farishte allah pak se shikayat karte hai
- Darzi ki izazat nahi ke voh
- masjid me baithkar silai kare
- Haan agar ,asjid ki hifazat ke liye aur bacho
- ko unke shararat
- se rokne ke liye
- baithe to koi baat nahi
- Masjid ke andar kisi kism ka
- kuda – karkat hargiz na fenke
- Isse masjid ko eza ( taklif ) pahunchti hai
- Masjid ki diwar , iske farsh , chatai ya dari
- ke upar ya iske niche thookna ,
- naak ya kaan me mail anikal kar lagana
- Ye sabhi chizo se parhez kare ye sab
- mamnua ( mana ) hai
- Haan jarurat ke hisab se aap apne
- rumal se naak saf kar sakte hai
Masjid se judi aehtiyat jarur apnaye –
- Hamesha masjid ka kachra aesi jagah bilkul mat fenkiye
- jisse beadbi hone ka andesha ho
- Masjid me dakhil hone se pehle apne
- pairo ki safai jarur kar le
- Dakhil hone se pehle wazu achchhi tarah kar le
- Bila wajah masjid me daudna , kudna , jor se
- chillana ya chahal kadmi karna
- Ye sari bato se parhez kare
- Wazu ke chhinte masjid ke farsh par na giraye
- Masjid me dakhil hone ke liye hamesha apna
- sidha pair hi pehle andar kare
- Aur masjid se utre to bhi sidha kadam hi rakhe
- Masjid me chhink aa jaye to aahista se
- koshish kare awaz na nikle
- Isi tarah khansi vagirah aehtiyat barte
- Huzur aesi baato ko shakht na pasand farmate hai
- Agar masjid me dakaar aaye to use
- japt karne ki koshish kare
Masjid ki fazilat –
- Masjid ho ya kisi mehfil me ye
- sabhi chize be-tehzeebi failati hai
- Isi tarah jamai aaye to isme kabhi bhi awaz na nikale
- ye shaitan ka kehkaha hota hai khawa masjid
- se bahir ho ya andar ise roke
- Jamai ke dauran shaitan munh me thook
- deta hai isse parhez kare
- Na ruke to apne danto ko honto
- se dabate huye niche le
- Tab bhi na ruke apne hatho se munh par hatj rakhe
- Masjid ke farsh pe koi chiz na fenke
- Salike v adab se masjid me baithe.
Masjido ko saf rakhe –
Masjido ko hamesha pak saaf
rakhna chahiye , waha gandagi aur
badbudaar chize nahi le jani chahiye iska
adbo aehtaram karna hum sab
musalmaan bhaiyo ke liye farz hai masjid
khuda ka ghar hai isme allah
azowazl ki rehmat barasti hai.
Kya masjid me khana kha sakte hai ?
Jaan lijiye masjid me khane – pine aur sone ki sharan izazat nahi hai
masjide ibadat ilahi ke liye banai gayi hai
masjid me momin sawab kamane
ke hesiyat se jate hai aesa na
ho ke aap masjid ki be-adbi
karke apni nekiya jaya kar de .
Kya masjid me hasna jayez hai ?
Masjid khuda ka ghar hai ibadat ka
maqam hai yaha aakar kisi bhi tarah
ki koi be -adbi karna gunah ka bayes
ban jata hai kai logo ki aadate hoti hai ki voh masjid me
baithkar aapas me hansi
majak karte hai ye sab baate
masjid ke khilaf hai farmane
rasool sallallahu tala alaihi wasallam
ka farman ibrat
nishan hai , masjid me
hasna kabr me andhera lata hai.
Kab masjid me jana haram hai ?
Masjido me jana kab haram hai aaiye jane pyare aaqa aala hazrat
rehmatullahe tala anha farmate hai ” jiske
badan me badboo ho ke usse
namaziyon ko eza (taklif ) ho maslan
maazallah ganda jehan ( yani jiske munh se
badoo aati ho ) , ganda bagal
( yani jiske bagal se badboo aati ho )
ya gandhak vagirah masjid me aese logo ko
aane se roke hamesha masjid
me naha – dhokar khushbo
laga kar hi jaye aesi
halat me namaz bhi jayez hai.
Masjid me bachhe ko lane ki manahi –
Pyare aaqa farmate hai ki masjido ko baccho , paglo aur jhagdalu
kism ke logo se bachao taki masjid me kisi
bhi tarah ki koi be-tehzeebi na ho paye aesa
baccha jisse nizasat ka
khatra ho to sese baccho ko masjid me
lana haram karar diya gaya hai.
Conclusion :-
Is tarah aaj hamne masjid se judi kai bate sikhi aap sabhi se guzarish hai ke ise jyada se jyada share kare taki
logo tak sahi aur asal baat pahunch sake masjid me to har musalmaan bhaiyo ka jana hota hai isliye ye bate
bhi janna ham sab ke liye behad jaruri hai ki masjid me hasne se kya hota hai
ya bccho ko masjid me kyu nahi
laya ja sakta vagirah aap sabhi ke
duaao ka muntazir allah hafiz. wiki/मस्जिद