Khane ka islamic tarika –
Khane ka islamic tarika hamare mazhab me khana khana bhi ek ibadat hai Khane wala shukr guzar wesa hi hai jaisa sabr karne wala rozadar , khana allah azowazl ki bahut hi pyari naimat hai achhi niyato ke sath
shariyat aur sunnato ke mutabik halal khana sawab hai jo shakhs bhuk hadtal karke bhookh se jaan de de
woh haram maut marega Khana khane ka sahi tarika kya hai aaiye jane…
Luqma halal ki fazilat. Khane ka islamic tarika –
Hum agar allah azowazl ke pyare habib sallallahu tala alaihi
wasallam ki sunnat ke mutabik khana khaye to
isme hamare liye barkate hi barkate hai
Musalman jab halal khane ka pehla
luqma khata hai , uske pehle ke
gunah maaf kar diye jate hai.
Khane ki niyat kis tarah kare ?
Yad rakhiye khate waqt bhook lagi hona sunnat hai khane
me ye niyat kare ki allah rabbul izzat ki ibadat par
kuwat hasil karne ke liye kha raha/rahi
hu kam khane ki niyat kare ki
ibadat par kuwat hasil karne ki niyat
tabhi sacchi hogi kyunki pet bhar
khane se ibadat me ji nahi lagta.

Khane ki niyat is tarah kare –
- Niyat kare ki Khane se kabl aur bad ka wazu
- karunga(yani hath munh ka agla hissa
- dhounga aur kulliya karaunga)
- Khana kha kar ibadat , tilawat
- Farsh par baith kar khana
- Acchi tarah chaba kar khaunga
- Bhook se kam khaunga
Khane ki wazu ki barkate –
jante Hai khane ka wazu mohtaji dur karta hai –
khane se pahle aur bad mein wazu karna mohtaji ko dur
karta hai audio sunnaton mein se ek hai –
khana Khane ka wazu ghar mein bhalai badhata hai –
Allah tala uske ghar me khair ( yani bhalai )
jyada kare to jab khana
hajir kiya jaaye , wazu kare aur jab uthaya
jaaye us waqt bhi wazu Kare.
khane ke wazu ki nekiya –
ummul momeneen Hazrat saiyeduna ayesha siddiqa
razi allahu tala anha se riwayat hai
ke sarkare madina
sallallahu tala alaihi wasallam ne Irshad farmaya ,
khane se pahle waju karna
ek neki aur khane ke bad karna do nekiya hai –
Shaitan se hifajat hoti hai –
Aaqa Kareem sallallahu tala alaihi
vasllam ka Farman ibrat nishan hai ,
khane se pahle aur bad ka waju yani
hath munh dhona rizq mein kushadgee Karta aur
Shaitan ko dur karta hai Kabristan se judi malumat –
Khane ke mutalliq aham bate – Khane ka islamic tarika –
- khana khane se kabl bismillah jor se padhiye
- taki dusron ko bhi yad a jaaye
- Salan ya chatni Ki pyali roti per mat rakhiye
- Hath ya churi ko roti se na pochhiye
- Jameen per dastarkhan bichha
- kar khana sunnat hai
- Avval v aakhir me namkin se khana
- shuru Kare isse 70 bimariyan dur hoti hai
- Roti ko hath se na todiye
- ke yeh magruro ka tarika hai
- Roti ulte hath me pakad kar sidhe
- hath se todiye ke yeh sunnat hai
- Sidhe hath se khaye ulte hath se khana
- pina , Lena , Dena Shaitan ka tarika hai
- Yad rakhe khana khane wale ke lukme
- mat tadiye yeh buri aadat hai
- Roti ulte hath me pakad kar sidhe
- hath se todiye ke ye sunnat hai
- Khana ya salan wagerah
- bich me se mat khaiye
- Kyunki bich barkat nazil hoti hai
- Ek ungli se khana Shaitan ka aur
- do ungli se khana magruro
- ka aur teen ungli se khana
- sunnat e ambiya alaihis salam
- ka aur panch ungaliyon
- se ganvaron ka tarika haiK
Khana kitna khana chahiye?
- Khana khane ke bad agar app thodi
- si gud kha le to apne badhazmi nahi hogi
- Isi tarah agar app khana khane ke bad nimbu ka ras
- normal pani me milakar piyenge
- to isse bhi aapne kabhi badhajami nahi hogi
- Agar app khana kam khayenge to bhi app bimar nahi
- honge na hi kabhi badhajami hogi
- Jab bhook lage to hi khana khaye aur kam hi
- kha kar uth jaye agar app bina
- bhook ke khayenge to
- jarur badhajami ho jayegi
Tak laga kar khan mat khao –
Jan lijiyeTake lagakar khana sunnat
nahi hai huzoor akram shahe
nabi sallallahu tala alaihi wasallam ne irshad
farmaya tum take laga kar khana mat khao.
Take laga kar khane ki 4 types –
- Ek tarika jameen ki taraf yani left right jhuke baithna
- Char jaano yani choukdi mar kar baithna
- Ek hath jameen par rakh kar take laga kar baithna
- Deewar ya kursi ki pusht vagierah se take laga kar baithna.
ye charo surat e munasib nahi hai is tarah baithkar
khana galat hai isse parhez kare.
Take lagakar khane ke nuksanaat –
- Khana acchi tarah chabaya nahin ja sakega aur
- hazma bhi sahi tarike se hajam nahi hi payega
- Take lagakar khane se aanto aur jigar ko
- nuksan pahunchata hai
- Hazma bhi kharab hota hai
Isi tarah take lagakar pani peene bhi maide ke liye nukasan deh hai.
khana khane me (fruit) phal pehle khana chahiye –
Hazrat Syedna imam muhammad ghazali alaihi
rahmathullah wali farmate hai
agar phal ho to vah pahle pesh
kiye jaye ke inka pahle khana
jyada mawafik ( faydemand ) hai
ye jald hazam ho jate hai aur quran sharif se
bhi phal ke muqaddam
(pehle ) hone par
aagahi hasil hotihai jo 27 parah
sureh waqia ki ayat number 20 21 me irshad hoti hai.
Aur khane se pehle tarbuj khana
pet ko khoob dho deta hai
aur bimari ko jad se khatam kar deta hai .
khane ko aeb mat lagaiye –
Khane me kisi kism ka aeb lagana buri aadat hai maslan jayeka
nahi hai , kaccha hai , tikha bahut hai , fika hai
wagerah wagerah pasand aaye
to khaye warna chhod de khane
me nuks nikalna buri baat hai haan banane
wale ko narmi se hidayat de sakte hai.
Ungliya chatne ke tarike -Khane ka islamic tarika –
huzur sallallahu tala alaihi wasallam jab bhi khana nosh
farmate to teen ungliyon se khana khate aur fir
ungliya ko chat liye sabse pehle darmiyani fir shahadat
wali aur fir angutha sharif chata wese
ungliya teen martaba chatna sunnat hai.
Bartan chatna sunnat hai ?
Sultane madina munawara sallallahu tala alaihi wasallam
ka farman barkat nishan hai jo rekabhi aur apni
ungaliyon ko chat leta hai allah azowazl
usko duniya vah aakhirat me ser rakhta hai.
Khane ke aakhir me barkat
jyada hoti hai kyunki khane ke
aakhir me ungliya chat le aur bartan ko bhi acchi
tarah chat le sarkare madina
munawara sallallahu tala
alaihi wasallam ne irshad farmaya jo khane ke bad
bartan ko chat lega voh bartan uske liye istagfaar karte rahega.
Gire hue dane kha lene Ke fazayel –
- khane ke dauran koi dana ya lukma
- vagairah gir jaaye to uthakar
- kha lijiye ke magfirat ki basharat hai
- Hadees Sharif mein hai jo khane
- ke gire huye tukde ko utha kar
- khaye woh farakhi ( yani khushhali )
- ki zindagi guzarta hai aur uske
- aulad aur aulad ki aulad kam akli se mehfooz rehti hai
- Giri hui roti ko uthakar chumna jayez hai
khane mein funk marna mana hai –
khana ya chai wagera ko thanda
karne ke liye funk mat mariye
Ke bebarkati hogi , jayada garam khana mat
khaiye khane ke kabil ho jaye tab khaye
garam khane me barkat nahi hoti hai.
Garam khane ke nuksanaat –
Khana thanda karke khana chahiye kam se kam itna thanda ki
usme se bhaap nikalna band ho jaye itna
thanda ke funkon se thanda na
karna bayes barkat hai is tarah
tej garam khane ya khoob garma garam khana
se munh aur jaban jalne ka bhi
khatra hota hai munh me chhale
bhi pad jate hai aur fir fauran hi thanda pani
peene se mashudon aur maide
ko nuksan pahunchata hai.
Khana khane se pehle pani jarur piye –
Huzur sallallahu tala alaihe wasallam farmate hai khana khane se
pehle pani jarur piye pehle pani pine se
allah rabbul izzat tumhe har bimariyo se
mehfooz rakhega aur ye sunnat bhi hai.
Barkat udane wale aamal –
- jis bartan mein khana khaya ho
- phir usi me hath dhona ya hath
- dho kar kurte , daman ya Aanchal se pochhna yeh
- sab kam karne se barkat chali jaati hai
- Mehfil me baith kar khane ke
- dauran fauran uth jaane se
- Dastarkhan ke bagair khana khana.
khane ke dauran yeh amal jarur apnaye –
- khane se pahle bismillah jarur padhen agar bhul
- jaaye to bich mein bhi kar sakte hai.
- Hamesha khane Ki dua jarur padhen
- khane ke dauran allah ka jikr bhi Karen
- Khane ko Puri tarah chaba kar khana
- chahiye.khana-khane-ka-tarika-in-islam
conclusion :
Aaj humne kya sikha aaiye padhte Hain khana khane ka Sahi tarika kya hai khane ke dauran sunnato pe amal
Karen aur neki kamaye agar ham khana sunnat tarike se
khaenge to har bla se mahfuj rahenge maslan khane
ka waju jisse hath saaf ho jaenge aur bimari se mehfooz rahenge|
Absolutely right knowledge