Khajur ke fayde jane –
Khajur ke fayde jane – hamare islam me khajur ki badi hikayate hai voh kya hai aaiye jaane khajur khane se kya hota hai kab khajure nahi khani chahiye kitni khani chahiye aur bhi kuch padhiye aur janiye kya khajur khana sunnat hai aaiye jaane –
Paigambar huzur sallallahu tala alaihi wasallam khajur khana
pasand farmate hai khajur me barkate hai be-
shumaar bimariyon ka bhi ilaaz hai ramjan sharif me sehri v iftar
khajur se hi khola aur rakha karo ye mustafa
jane rehmat pasand farmate hai aur
khajur khana sunnat bhi hai.

Kaun si khajur sabse faydemand hoti hai ?
Ajwa khajur – farmane aaqa Kareem sallallahu tala alaihi wasallam
ka farman sehat nishan hai , sabse azim
khajur ka name ajwa hai jo har bimari
se shifa yaab hai ajwa khajur
jannat ka fal ye jannat se hi hai isme jehar
se bhi shifa hai.
Ajwa khajur ki fazilat – Khajur ke fayde jane –
- Bukhari Sharif ki riwayat ke mutabik
- jisne ajwa khajur ke 7 dane
- kha liye us din use Jadu shehar aur
- jehar bhi nuksan nhi karega.
- Ajwa khajur khas taur par dil ke
- mareejo ke liye mufid hai
- Is Ajwa khajur gambhir bimariyon se bhi nizat ya
- kam karne me madadgar sabit hota hai
Khajur khane ka tarika –
Yun to sabhi achhi beneficial sabit hoti hai aur hame ise apne
khane me jarur shamil karna chahiye lekin iske
kuch tarike bhi hai ki aakhir kab
kitne time iska sevan hamare
liye fayedemand sabit hoga to aaiye jaane-
Khajur kab khana chahiye ?
Iska sabse best timing subah ko hota hai
khajur subah yani morning time nihar
munh khana jyada beneficial hota hai.
khajur Kitna khana chahiye?
Aksar hame maloom hi nahi hota hai Ki aakhir Kitna khajur hame
khana chahie aur Kitna nahi aaiae ham
aapko maloom Karate Hain rojana
subah Jyada se Jyada 4 ya 7 khajur
khana hamare liye behtar sabit hota hai
4 khajur ye roti ke barabar ho jata hai.
Sunnat tarike se khajur khane ka tarika –
Is tarah khajur ko bhigo kar iska pani pina sunnat hai is tarah
hamari sunnato pe amal bhi ho jati hai aur
khajur ko tarbooz ke sath milakar
khane se bhi sunnato pe amal
ho jati hai alhamdulillah hamare amal ke liye
to iska sunnat hona hi kafi
hai hadees Sharif me hai ki khajur
ko makhkhan ke sath
khana bhi sunnat hai isi
tarah khajur purani ho ya taji sabhi
khajure khana sunnat hai.
Kya khajur bimari se shifa deti hai ?
Dekhe khajur kai tarah ke imraz /marz se bhi hame bachata hai
khajur ko bhigo kar iska pani pine se jigar ki
bimariyan dur hoti hai dast ki bimari me bhi ye pani
mufeed hai dama dil , gurda ,
masana , Pitt aur aanto ke
bimari me khajur kaafi mufeed
hai ye balgam khariz karti hai
munh ki khushki dur karti hai iske khane se
jakham jaldi thik ho jate hai jaundice
ke liye bhi behtarin dawa hai.
Khajur ki guthali ke kya fayde Hai ?
Wese to khajur khane ke fayde to ham sabhi log jante hai
aur guthliyan fenk dete hai lekin kya aapko pata hai
ki iske guthliyan bhi mufeed
kar yani faydemand hoti hai
Kai bimariyon mein ise bator ilaaj Ki tarah shamil
kiya jata hai iski guthali ko koot
kar khane se dil Ki bimari
aur kala motiya ke liye bada mufeed hai.
- Is khajur ki guthaliyon ko aag mein
- pakakar iska dua lene
- se ye gambhir bimari bavasir Ke
- masso ko Khushk ( dry ) karta hai.
- Khajur ki guthali yaha- waha na fenke kahi
- side me nahi to dariya mein dal de
- Guthliyo ko pees kar iske powder
- bana le aur manjan ke
- tor per istemal kare isse
- teeth chamakdar ho jaate
- hai aur munh ki badbu bhi dur ho jaati hai.
- Khajur ki guthaliyon ki jali hui rakh lagane se
- jakhm ka khoon band ho jata hai
- Guthliyo se kai fayede kaam me liye ja sakte hai
- Guthliyo ka manjan ya
- pawdar jarur istemal kare
- Isse munh ki badboo ki safai hoti hai
- Guthliyo ko yaha waha hargiz na
- fenke iski be adbi na kare.
Khajur ke fayde jane –
- Saiyedna abu horaira raziallahu tala anha se riwayat hai ki khajur
- khane se badi aant ka dard khatm ho jata hai
- Mustafa jane rehmat hai ki nihaar munh khajur khaya
- karo isse pet ke kide mar jaate hai
- Iske khane se purani kabz dur hoti hai
- Khajur ka sevan dimag ke liye bahut
- faydemand hai Ramjan mubarak ki fazilat –
- Isme calcium , magnisium , phasporas , potassium vagaira
- poshak element haddiyo ko
- majbut banane me madad karte hai
- Khajur me anti oxidents paya jata hai jisse
- immune system ki growth hoti hai
- Hazrate saiyeduna rabi bin khadim raziallahu tala anha
- farmate hai mere najdeek haamla
- (pregnent) ladies ke liye
- shahad se behtar kisi chiz me shifa nahi hai.
Benefits of Eating Dates : Khajur ke fayde jane –
- Jo fakakashe se kamjor ho gaya ho uske
- liye khajur bahut mufeed hai
- kyunki ye gijeeyat se bharpur hai isko khane se jald insan ki
- kamjori ya susti dur ho jati isliye iftar me iska
- sevan karna bahut hi faydemand sabit hota hai
- Roje me fauran thanda pani pine se
- kai khatre bimariyon ki gunjaish
- hoti hai jabki Khajur khakar thanda
- pani peene se nuksan ka khatra
- tal jata hai fir bhi jyada thanda
- pani pine se nuksan hi hota hai
- Khajur ko doodh me ubaal kar sath mila kar
- Khane se kuwat/takat hasil hoti hai
- Taja paki hui khajure acidity ko khatm karta hai
- Jisko khajur Khane se koi nuksan
- ya side effect hota hota ho
- anar ka ras ya kaali mirch ke sath
- istemal kare inshallah fayeda hoga
- Khajur fayde bahut sare hai
- Islam me Khajur ke bare bahut hi hikayat aai hai
- Iske kai fayede hote hai
- Khajur sasti ho ya mehangi sab
- faydemand sabit hote hai
- Khajur kai bimariyon se shifa bakhshati hai
- Is tarah ham khajur ke fayede dekh
- kar use istemal kar sakte hai
- Jannat ka fal khajur hai
- Sehri me khajur se hi roze ki niyat kare
- Iftar khajur se hi kare
- Sham ko khajur kha kar pani pi sakte hai
- Subah khud bhi khaye aur
- baccho ko bhi khilaye
- Khajur se himoglobin badhta hai
- Energy level badhta hai
- Khali pet khajur khaye
Kaisa khajur nukasan pahunchata hai ?
Khajur ke fayde to anek hai lekin iske kuch nuksan bhi hai jise hamare liye
janna bahut jaruri hai niche di gai pe amal kare –
- Adh paki aur jyada purani khajur
- be waqt khana nusan deh hai
- Aankho ki bimari me khajur khana bhi
- nuksan ka bayes ban jata hai
- Bimari se uthte hi fauran jyada khajure
- khane se bhi kai masle paida ho jate hai
- Khajur ko angur , kishmish ya munakka
- jaisi chizo ke sath mila
- kar khane se kai pareshani khadi ho jati hai
- Ek hi waqt me jyada matra me
- khajure khana nuksan ka
- reason ban jata hai–mydawateislami.com/
- Jyada matra me khajur istemal nahi karna chahiye
- Khajur kabhi bhi bina dekhe munh me na dale.
Khajur khaye lekin iske nukasan se bhi bachne ki puri
koshish kare purani khajur ko bina dekhe na khaye –
conclusion-
Khajur ke fayde ke bare me hamne padha sath hi iske hone wale nukasan ko bhi hamne jana iski guthaliyon
ke fayde jaane aur sath khajur ki sunnate kis chiz ke sath khana sunnat hai hamne padha ajwa khajur ke fayde
iski hikayat ke bare me hamne jana inshallah isi tarah ki ek aham
malumat ham apke liye lekar hazir honge
deenitalim.com par ameen apke duaaon ka muntazir Allah Hafiz !