Kafan ka bayan –
Kafan ka bayan – Agar kafan se related koi bhi chhoti badi baat app janna chahte hai to deenitalim.com ke is site par tahe dil se isteqbal hai lihaza is blog post ko fully read kare aur apne ilme-deen me mazeed izafa kare
is post me ham padhenge kafan ke kitne darze hote hai ? aur kafan ke liye kya sawal jayez hai ? , kafan ka kapda kesa hona chahiye aur bhi bahut kuch…
Kafan ke kitne darze hote hai ?
Maiyat ko kafan dena farz ye hai kafan ke 3 darze hai –
- Zarurat
- Kifayat
- Sunnat
Mard ke liye kafan sunnat 3 kapde hai – (1) lifafa , (2) azar , (3) kamiz aur aurat ke liye kafan sunnat 5 kapde hai – (1) lifafa (2) azar (3) kamiz (4) odhni (5) Seena band.
Mard aur aurat ke liye kafan sunnat kya hai ? Kafan ka bayan
Kafan kifayat mard ke liye 2 kapde hai lifafa , azar isi tarah aurat ke liye kafan kifayat 3 kapde hai lifafa , azar
odhni ya lifafa kameez odhni kafan ki zarurat mard aur aurat
dono ke liye jo mayassar aaye aur kam se kam
itna to ho ke sara badan cover ho jaye lifafa yani chadar aesi honi
chahiye ke maiyat ke qad se itni jayada ho
ke dono taraf bandh sake aur azar yani tehband choti se
kadam tak ho yani lifafa se itna chhota ho jo
bandhne ke liye lifafa jayada tha aur kameez jisko kafni kehte hai
gardan (neck) se guthno ke niche tak ki ho
aur kafni aage pichhe dono me na ho mard aurat ki kafni me fark hai
mard ki kafni mundhe par chari aur
aurat ke liye behtar ye hai ke raan tak ho bila jarurat kafan
kifayat se kam karna na jayez aur makrooh hai.
Kab kafan ke liye sawal jayez hai ?
Kafan zarurat ke hote huye kafan masnon ke liye sawal karna jayez nahi
ke bila jarurat sawal na-jayez hai aur
yaha jarurat nahi albatta agar kafan jarurat mayassar na ho to jarurat
bhar ke liye sawal kare jayada ke liye
nahi agar bagair mange musalman khud kafan pura kar de to inshallah pura sawab payege.
Kafan ka kapda kesa hona chahiye ?
Kafan achha hona chahiye yani mard eid aur jumma ke liye jaisa kapda pehanta tha aur aurat jaise Kapde
pehan kar maiyke jati thi us qeemat ka hona chahiye hadees sharif me hai –
mardon ko achha kafan do ke voh
aapas me mulaqat karte hai aur achhe kafan se tafakhur karte hai
yani khush hote hai safed (white) kafan
behtar hai ke rasullallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
apne murde safed kapdon me kafnao kusm ya
jaafran ka ranga hua ya resham ka kafan mard ke liye mana hai
aur aurat ke liye jayez hai yani jo kapda
zindagi me pehan sakta hai uska kafan diya ja sakta hai aur jiska
pehanna zindagi me na-jayez uska kafan bhi na-jayez Jumma ka bayan –
Purane kapde ka bhi kafan de sakte hai.

Kafan pehnane ka tarika kya hai ?
Maiyat ko kafan pehnane ka tarika ye hai ke maiyat ko gusl dene ke bad badan kisi pak kapde se aahista ponchh le taki
kafan tar na ho aur kafan ko ek ya 3 ya 5 ya 7 martaba dhoni de
le isse jayada nahi fir kafan yun bichhaye ke
pehle badi chadar fir tehband fir kafni fir maiyat ko uspar litaye
aur kafni pehnaye dhadhee aur tamam badan
par khushboo male aur mawaza sujud yani mathe , nose , hath ,
ghutne , kadam par kafur lagaye fir azar yani
tehband lapete pehle baye taraf se fir dahini taraf se fir lifafa lapte pehle baye taraf se fir dahini taraf se taki
dahina upar rahe aur sir aur pair ki taraf bandh de ke udne
ka dar na rahe aurat ko kafni pehna kar uske baal
ke do hisse karke kafni ke upar seena par daal de aur odhni aadhi peethh ke niche se bicha kar sir par lakar
munh par masal naqab ke daal de ke seena par rahe ke uski
lambai aadhi peethh se seena tak hai aur widht
ek kaan ki lou se dusre kaan ki lau tak hai aur ye jo log kiya karte hai ke zindagi ki tarah udhate hai ye mahaz
be-ja khilaf sunnat hai fir badsatur azar aur lifafa lipte fir
sabke upar seena band peestan ke upar se raan tak lakar bandh de.
Bachho ka kafan kesa hona chahiye ?
9 baras ya usse jayada umar ki ladki ko aurat ke barabar pura kafan diya jaye aur 12 baras ya usse jayada
umar ke ladke ko mard ke barabar kafan de aur 9 baras se chhoti
ladki ko do kapda aur 12 baras se chhote
ladke ko ek kapda bhi de sakte hai aur ladke ko bhi do kapde
diye jaye to achha hai aur behtar ye hai ke dono ko pura kafan de chahe ek hi din ka bachha ho.
Kafan kiske maal se hona chahiye?
Maiyat ne agar kuch maal chhoda to kafan usi ke maal se hona chahiye deen , wasiyat , meras un sab par
kafan makdam hai yani maiyat ke maal se pehle kafan diya jayega
fir baki se karz ada kiya jayega fir jo baki
bachega uske tihai se wasiyat puri ki jayegi fir baki wariso ko milega
maiyat ne maal na chhoda to kafan uske
zimma hai jiske zimma zindagi me nafqa (jarurui roti kapde ka kharch ) tha aur agar koi aesa nahi jis par nafqa
wazib hota hai ya hai magar nadar hai to baitul maal se diya
jaye aur baitul maal bhi waha na ho jaise yaha
hindustan me to waha ke musalmano par kafan dena farz hai agar malum tha aur na diya to sab gunahgar
honge agar un logon ke pass bhi nahi to ek kapde ke barabar
aur logon se sawal kar le aurat ne bhale hi maal
chhoda lekin uska kafan shohar ke zimma hai ba-shart ke maut
ke waqt koi aesi baat na payi gayi ho jisse
aurat ka nafqa shohar par se saqeet ho jata hai aur agar
shohar mara aur uski aurat maaldar hai jab bhi aurat
par kafan wazib nahi ye jo kaha gaya ke fala par kafan wazib hai
usse murad kafan sharai hai yunhi baki sab
saman tazhez jaise khushboo gusal aur le jane walo ki
azrat aur dafan ke musarif sab me sharai mikdaar
murad hai baki aur bate jo maiyat ke maal se ki gayi agar waris
balig ho aur sab wariso ne ijazat bhi de di ho to jayez hai
warna kharch karne wale ke zimma hai.
Murda bachhe ka kafan-dafan kese karte hai ?
Musalman mard ka bachha ya musalman aurat ka bachha zinda paida hua fir mar gaya to usko gusl vo kafan
denge aur uski namaz padhenge aur agar mara hua paida hua
ho to wese hi nahla kar ek pak kapde me lapet
kar dafan kar denge uske liye na namaz hai aur na hi sunnat tarika
par gusl kafan jo bachha sir ki janib se
paida hua aur seena nikalne tak zinda raha fir mara to zinda mana
jayega aur jo pair ki taraf se paida hua aur
kamar nikalne tak zinda raha fir mara to zinda mana jaye aur agar itna
nikalne se pehle mar jaye agar bhale hi
aawaz di ho mara samjha jaye bachha chahe zinda paida ho
ya mara pura bina ho ya adhura har surat me
uska name rakha jaye aur qayamat ke din uska hashr hoga
musalman ka bachha kafira se paida hua aur voh
uski mankoha na thi yani voh bachha zina ka hai to uski namaz padhi jaye.
janaza lekar chalne tarika – Kafan ka bayan –
Ham sab jante hai ke janaza ko kandha dena ibadat hai har shakhs ko chahiye ke ibadat me kotahi na kare
huzur sallallahu tala alaihi wasallam ne saad bin maaz radiallahu
tala anha ka janaza uthaya sunnat ye hai ke
ek ke bad digar charon payon ko kandha de aur har bar
10-10 kadam chale aur puri sunnat ye hai ke pehle
dahine sarahine ko kandha de fir dahini payenti ,fir baye sarhane fir
baye payenti aur 10-10 kadam chale to
kal 40 kadam huye hadees sharif me hai jo 40 kadam janaza
le kar chale uske liye 40 kabira gunah mita
diye jayenge aur jo janaza ke charon payiyon ko kandha de allah pak uski hatmi magfirat farma dega
janaza le kar chalne me charpai ko hath se pakad kar mundhe par
rakhe asbab ki tarah kardan ya peethh par
padna makrooh hai chaupaya par bhi janaza ladna makrooh hai
Janaza ke sath paidal chalna afzal hai aur sawari par ho to
aage chalna makrooh aur aage ho to janaza se dur
raho janaza lekar chalne me sar khana aage hona
chahiye janaza ke sath aag le jana mana hai.
Janaza ke sath chalne ka sawab kitna hai ?
Maiyat agar padosi ya rishtadar ho ya koi naik shakhs ho to uske janaza ke sath jana nafil namaz padhne
se afzal hai jo shakhs janaza ke sath ho use bagair namaz padhe
wapis na hona chahiye aur namaz ke bad
auliya maiyat se ijazat lekar wapis ho sakta hai aur dafan ke bad
ijazat ki jarurat nahi janaza ke sath chalne
walo ko duniya ki bate karna hasna mana hai.
Aurat ka janaza kaun log utare ?
Aurat ka janaza utarne wale maharim hai (sharan jis par parda nahi)
ye na ho to dusre rishta wale ye bhi na ho
to parhezgar gair mehram ke utarne me koi harz nahi lekin jayada tar ghar ke mard hi apni auraton ko kabr
me utarte hai jinse unka parda nahi hota hai.
Namaj janaza ka tarika kya hai ? Kafan ka bayan –
Janaza ki namaz farz kafa ye hai ke ek ne bhi padh li to sab bari zimma ho gaye warna jis-jisko khabar
pahunchi thi aur na padhi to gunahgar hua uski farziyat ka jo inkaar
kare kafir hai uske liye jamaat shart nahi
ek shakhs bhi padh le farz ada ho gaya namaz janaza ka tarika kuch
is tarah hai ke..sabse pehle namaz janaza
ki niyat kare fir niyat karke kaan tak hath utha kar allah akbar kehta hua hath niche laye aur naaf ke niche
hasb-dastur bandh le aur sana padh le fir bagair hath uthaye allah
akbar kahe aur durood sharif padhe behtar
wahi durood hai ho namaz me padha jata hai agar koi dusra
durood padha jab bhi koi harz nahi fir allah
akbar kah kar apne aur maiyat ke liye aur tamam momenin aur
momenaat ke liye dua padhe.namaj janaza
me rukan yani farz do hai , charon taqbirein ,qayam aur sunnat
makkadah 3 chizein hai…(1) Allah ki sana (2)
durood sharif (3) maiyat ke liye , namaz janaza baith kar nahi padh
sakte agar baith kar padhi to namaz na hogi.
Kin logo ki namaz janaza na padhi jaye ?
Wese to har musalman ki namaz padhi jaye agar cha voh kesa hi gunahgar ho siwaye chand qism ke
gunahgaron ke , kyunki unki namaz nahi jaise – baghi jo imam bar-haq
ke khilaf ladne ko nikle aur usi bagawat
ki halat me mara jaye to uski namaz janaza nahi hogi isi tarah
daku ko daka me mara gaya na unko gusl diya
jaye na unki namaz padhi jaye jisne kai aadmiyon ko gala
ghunt kar mar dala jisne apne maa-bap ko mar dala uski bhi namaz nahi hogi.
Conclusion :
Aaj hamne namaz janaza ke mutalliq aur kafan-dafan ke mutalliq kai sair bate jani is tarah ki ahamtarin post padhne ke liye hamare site deenitalim.com par visit kare aur ho sake to share bhi kare agar apko aur chizon
ke bare me janna hai to hame comment section par apne question puchh sakte hai kafan ka bayan – isme
hamne kafan ke types , iska sahi tarika auraton ke kafan ka kapda vagirah vagirah chizon ke bare me ilm muhaiya karai lihaza ise padhe aur apne deeni talim me mazeed izafa kare Allah nigehban !
You need to be a part of a contest for one of the best blogs on the net. I will highly recommend this blog!