Kabristan se judi malumat –
Kabristan se judi malumat – Marhumo ko jitna ho sake isale sawab pahunchaye murde isale sawab ki raah aese takte hai jaise aane wale mehman ki rah hum takte hai hamare jariye kiya gaya isale sawab ko farishte
thali me noor ki tarah sajakar le jate hai hamara amal hi marhumo ko fayeda pahunchata hai aaiye jane ki kabristan me kya padhna chahiye aur bhi bahut kuch isse judi malumat aaj hum hasil karenge.
Kabristan me kya padhna chahiye ?
Wese to Kabristan me hum isale sawab ke nate kuch bhi padh sakte hai agar banda durud sharif bhi padh kar
iska isale sawab pure qabro ke name kar de tab allah azowazl
sare qabr walo ki magfirat farma deta hai
subahnallah aaiye jane ki hum isale sawab pahunchane
ke hawale se kya-kya padh sakte hai.
- Sureh fateha ek martaba Taraweeh in ramadan 2022
- dusra sureh bakrah alif lam mim se lekar
- Muflehoon tak ek bar
- Ayetul kursi ek dafa
- Sureh yaseen ek martaba
- sureh ikhlas 11 martaba
- (yani kulwalahu ahad )
- Sureh takasur ek martaba

Kabr par sureh yaseen padhne ki fazilat –
Sureh yaseen padhkar agar iska isale sawab hum apne marhumo ko bakhshe
to sureh yaseen harf
ke barabar
iska sawab marhum tak pahunchta hai.
Sureh ikhlas padhne ke fayede –
Hadees sharif me aaya hai jo 11 bar kulwalhu sharif yani sureh ikhlas
padhkar uska sawab murdo ko
pahunchaye to murdo ki ginti ke barabar use sawab
milega subhanallah isse pata
chalta hai ke zindo ka isale
sawab kis shan se kabristan walo ko pahunchta hai
musalman iski aehmiyat samjhe aur ye jari rakhe.
Kabristan me dakhil hone ki dua kya hai ?
Kabristan me dakhil hone se kabl dua jarur
padhe – aaoye jane ki kabristan
me kaun si dua padhni chahiye
Ye dua bahut chhoti si hai ise yad kar le –
“Assalam alaikum ya ahlal qubur yagferullahu lana walkum
antum salfona w nehnu bil asr”
Turzuma :- Ae kabr walo tum par salam hazir hai alalh azowazl
hamari aur tumhari dono ki magfirat farmaye aur humse pehle
pahunch gaye aur hum tumse pichhe aane wale hai.
Kabristan me salam arz karne ka tarika
Kabristan me jaye to bade adab ke sath pehle kabr walo par salam bheje –
“Assalamu alikum ya ahlal qubur “
Kabristan me fateha padhne ka tarika kya hai ?
Kabristan me fateha padhne ka sabse asan tarika , jise koi
bhi padh sakta hai sabse pehle to aaiye jane ki
fateha kise kehte hai ? asal me fateha
ek surat ka name hai agar
kisi ko puri surat yad na ho to woh short me
bhi fateha padh sakta hai hamara
asal maqsad kabr wale par
isale sawab pahunchana hota hai isliye agar aap
sirf sureh fateha ( alhum sharif )
bhi padh kar bakhsh sakte hai aur sath hi
dua kar sakte hai agar ye bhi yad
na ho to koi ek chhoti si surah bhi padh sakte hai.
Agar ye bhi yad na ho to aap sirf ek
martaba sureh quasar
bhi padh kar ise
allah azowazl ki bargah me paish
kare inshallah wo bhi qubool ho jayegi.
Kabr ke liye pehle se hi jagah book karna kaisa hai ?
Aajkal log kabristano mein pahle se hi apni jagah book karke rakh rahe
hain jabki aisa karna sarasar galat hai
is tarah kabr ke liye jagah ka intekhab karna galat
hai agar aapke aamal acche nahi hai aur aap kabre
shandar lambi chaudi
banwale tab bhi aapke
kabro per ajab aane se koi nahi rok sakta hai.
Kabr ki jagah – Kabristan se judi malumat –
Kabra ki jagah ke bare me soch kar aap fikrmand na hoye agar fikr karni
hai to apne aamaal ki Kare agar
aamaal acche ho to aapko kisi ne gatar ke kinare bhi dafan
kar diya to woh bhi Jannat ke ek bago me se ek
baag ban jayega subhanallah
Kudrat ke samne kisi Ki nahi
chalti isliye apne aamal per tavajjo de.
Kabro ki khudai sunnat tarike se kare –
Yad rakhiye Kabro ki khudai hamesha sunnat tarike se hi kare na jyada
gehra aur na hi jyada chuda kyounki ye
sab chize mayne nahi rakhi jati agar
allah naraz ho to apko koi nahi
bacha sakta aur agar allah razi hai to woh
jannat ka bistar hoga hum apni
manmarziya Kabro ke liye nahi chala sakte.
Kabr ke 3 sawal kya hai ?
Jaise hi hame kabro me lita diya jayega , 40 kadam ke bad hi fauran munkar nakir kabron mein sawal jawab ke liye hajir ho jayenge –
Kabr me puchhe jane wale sawal kuch is tarah hai :–
- Man rabbuka? (Yani tumhara rab koun h ?)
- Ma deenuka ? (Yani tumhara din kya h ?)
- Ma kuntakul fee hazr ? ( Tum is shakhs ke bare me kya kehte ho ?)
Kabr ke sawalo ke jawab koun de sakega ?
Kabr ke sawalo ke jawab to sirf wahi de sakega jo Sunni hoga
farmane Mustafa sallallahu tala alaihi wasallam ,
jo nek hoga wo fauran hi jawab de dega uski jaban khud chalne
lagegi duniya me hum kitni bhi koshish kar le
koi fayeda nahi kyunki allah jise chahega
usi ke jaban par jawab jari hoga.
Sawalo ke jawab kuch is tarah hai –
- Mera rab allah hai
- Mera deen Islam hai
- Allah ke mehboob
- ( Mohammed Mustafa sallallahu tala alaihi wasallam ) hai.
Jo shakhs iman lata hai apne allah par aur uski kitab jo quran sharif par
wo beshak in sab ke jawab ba khoobi
dega allah azowazl hame ilme deen
sikhne ya padhne taufiq ata farmay.
Ajabe kabr kya hai ?
kabr ka din bhi andhere me dooba hua hota hai Haye hum sabhi ko is rat se guzar na hai huzur sallallahu
alaihi wasallam farmate hai jab kabar
insano ko dabati hai dono taraf se , tab hamare jism ki dono pasliya
pees jati hai allah ko naraz karne walo kabr ke ajab se bachne ki
koshish kare , insan ke aamal kabr tak jate
hai isliye duniya me nek kam kare apne rab ko razi kare aur
azabe kabr jaisi bhayanak rat se bachne ki puri
koshish kare insan duniya me jin jin chizo se darta hai
wahi sab chize uske kabr par bheje jate hai aur use
darate hai Banda chokhta hai chillata hai
lekin koi uski madad nahi karta.
Kabristan me Kabro ka aehtram jaruri hai.
Farmane aaqa Kareem sallallahu tala alaihi wasallam , zindo
ko jin chizo se taklif ya pareshani hoti hai isliye
Kabro ka aehtram karna har momin bando ke liye jaruri hai
aaiye jane ki hum Kabro ka aehtram kaise kar
sakte hai aur kin chizo se parhez kare
qabristan-me-dakhil-hone ki dua
- Kabristan me hasne se parhez kare
- Kyunki ye Karo me tarikhee (andhera ) lata hai
- Kabhi bhi kabr par jaye to tek laga kar na baithe
- Kabr ke aspas peshab ya pakhana hargiz na kare
- Momin ke Kabro par per ( leg ) rakhne se kurez kare
- Kabristan se bagair salam kiye hargiz na jay
- Unke liye magfirat ki duaayein kare
- Kabristan ka aehtram karna hamare
- majhab me sikhaya jata hai.
Conclusion :
Aaj humne kabristan se Judi har chhoti badi bato ki malumat hasil Kari jiske andar kabristan par salam karne ka tarika , fateha padhne ka aasan tarika , Kabro par ki jane wai sawal aur jawab aur bhi bahut kuch hum
deenitalim ke is hisse me lekar aaye time nikal kar jarur padhe aur share karna na bhule allah hafiz.
Mashallah great information..!