Jannat (bahisht) ka bayan –
Jannat (bahisht) ka bayan – jannat ke bare mein aaiye jane ki aakhir jannati logo ke sath kaisa suluq kiya jata hai unhe kin-kin naimaton se nawaja jata hai aur bhi bahut kuch maslan pul seerat se gujarne par kya waiqa
paish kiya jata hai , jannat me dakhile ka marahil , bahist me dakhila , ahle jannat aur didare ilahi ke bare me is article ke jariye ibrat hasil kare.
Jannat me kaun jayega ?
Achhe log jinke aamal behtarin honge unhe jannat ki aashaisho se nawaja jata hai unke naame-aamal right
hand me pakdaye jate hai farishte unhe buzurgi ki
mubarak bad denge , jannati libas pehan kar apne-apne
gharon me chale jayenge , apne-apne ilakon me khushiyan
manayenge wahan apni biwiyon ke pas jayenge
aur wahan aesi chizein dekhenge jo pehle kabhi na dekhi hongi aur
unki tarif bayan karne se aaziz honge ,
aesi chizein dekhenge jo khawabo khayalon me bhi na aayi hogi garaz waha behashti khane khayenge , libas
aur khubsurat zewar se zeenat payenge apni biwiyon
se bagalgeer honge us muddat tak jo allah tala ne
unke liye mukarrir ki hai aish voh tarab ki maze uthayenge ,
jisne hamesha ke liye unka ranjo gham dur karke
aman me rakha aur unka hisab unpar aasan kar diya.
Unhe allah tala ka shukriya ada karne ki taufiq di gayi ,
kyunki allah ne hi unhe sidhi raah dikahi aur naimat ata
farmayi agar voh unhe sidhi
raah na dikhata to ye log
kabhi manzil maqsud tak na pahunchte , unke aanhkon
ko us sabab se thandak nasib hogi ke voh
duniya se apne sath naik tosha laye , allah pak par iman laye , us
par yaqeen kiya , uske khauf voh azab ko saccha jan kar uski taraf rujoo kiya. Neki azab par bhari –
Pul-seerat se gujarna- Jannat (bahisht) ka bayan –
Abu hurera raziallahu tala anha se riwayat hai ke app sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya , dojakh par 7
pul hai har pul ke darmiyan 70 baras ki musafat jitna fasla hai ,
aur pul talwar k idhar jaisa tej hai uske upar
gujarne wale garoho me , pehla garwah
aankh jhapakte hi gujar jayega , dusra garwah is tarah gujrega jis
tarah bizli achak le jati hai , tisra garwah tej hawa ke
manand le jayega , chautha garwah parindo ke manand
teji ke sath gujar jayega , panchwa
garwah paidal chalne walo ke manand guajr jayega..
In sab ke aakhir me ek garwah baki rah jayega jab unhein guzarne
ke liye kaha jayega to apna paaw pul-
seerat par rakhenge magar paaw larazne lagega , jab hi voh guthno ke bal chalne lagenge aur dojakh ki aag
ki chingariyan unke foot aur post tak pahunchne lagenge ,
tab ye log pet ke bal ghaseet te chalenge ,
ladkhadayenge ,dagmagayenge , fir hatho
se pul ke sath lipat jayenge ,
tab aag se chhutkara pane ke liye pet
ke bal hi ghaseetne lagenge is tarah dojakh ko paar kar lenge aur fir kahenge…
Jis allah ne hame is dojakh se paar karaya
hai voh pak hai beshak usne apne lutfo karam se hamare haal par
meharbani farmayi hai aaj tak awwal se
aakhir tak is ne mere siwa kisi par fazal nahi kiya
mujhe apne fazal se pul-seerat ke panja se rihai dilai.
Pul-seerat par karne ke bad kya hoga ?
Iske bad ek farishta aakar kahenge gusl kar !
aur apne badan ko khub mal kar saaf kar , iska pani bhi pee le
aur banda is baat par amal karega bad me bahisht
ki hawa chalegi , jissee uska badan aur rang roop badal kar
chamakne lgega uske bad farishte us
aadmi ko dojakh ke darwaze par le jate hai aur kehte hai , jab tak allah
ka huqm na ho isi jagah khada rah huzur sallallahu tala
alaihi wasallam ne farmaya , us shakhs ko ahle dojakh
ki aawazein , kutton ki
aawazon ki tarah sunai degi ,
jinhe sunkar voh rone lagega , aur arz karega ae allah !
ahle dojakh ki taraf se mera rukh fair de , yahi meri darkhwast hai
fir wahi farishta aayega aur bahisht ki taraf uska munh kar dega.

Jannat me dakhile ka marhala –
Aaqa kareem sallallahu tala alaihi wasallam ka irshad hai ke uske khada hone ki jagah aur bahisht ke
darmiyan ek qadam ka fasla hoga voh jannat ko dur
se hi dekh lega use waha par uske dost ahbab nazar
aayenge unke uske darmiyan 40 baras ke musafat ka fasla hoga ,
magar parindon ke udne ki musafat ye
sakhs arz karega ae allah tune
mujh par bada aehsan farmaya
mujhe dojakh se nijat di aur uske janib se mera
munh fair kar bahisht ke janib kar
diya aur mere aur bahisht ke darmiyan ek hi qadam ka fasla hai ae allah
apni izzat ke sadqey , mujhe jannat me dakhil farma , mai
iske siwa tujhse aur kuch nahi chahta.
aur fir wahi farishta uske pas
aakar uska hath pakad kar use jannat me dakhil kara dega huzur sallallahu tala
alaihi wasallam ne farmaya voh banda left-right dekhega
uske samne ek saal ki musafat ka fasal hoga gaur
karne par use malum hoga ki darkahton
ki root sone ki hai aur shakhe chandi ke hai aur pattey khubsurat
jewaro ke jaise hai unka mewa makhkhan se jyada mulayam
shehad se jyada mitha aur kasturi se jyada khushboodar hoga.
Isi tarah voh darakht se bhi nikalne ka faryad allah ajowazl
se karega fir fasrishte aayenge aur kahenge tune
kaha tha ab tujhe kuch nahi chahiye tu jhutha hai tab
voh kahega iske bad mai aur
kuch v talab nahi karunga
fir farishte use mahal me le jayenge jaha pahunch kar voh
sabhi chizein dekh kar dang rah jayega aur usse kaha jayega ki ye teri milkiyat hai.
Jannat me dakhila – Jannat (bahisht) ka bayan –
Banda arz karega , ae allah tu mujhse mazak karta hai tu sare jahano ka palne wala hai. allah jawab dega
mujhe har shai par qudrat hasil hai , jo chahte ho
mujhse mango voh arz karega ke ae allah ! mujhe admiyon
me pahuncha de. tab use
hath se pakad kar jannat me pahuncha
diya jayega , waha aesi chizein jo usse kabl
na dekhi hogi na suni hogi , dekhte hi sajda me gir jayega
aur arz karega ae allah !
tune mujhe roshni ata
farmayi , farishta kahega ab apna sar utha ye tere hi rehne
ki jagah hai aur teri jagahon me sabse adna darja
ki jagah hai , fir voh banda kahega ke
agar allah tala meri aankhon ki hifazat na karta to is mahal ko dekh kar
meri aankhein khera ho jati. tab voh mahal me dakhil
hoga , aur dakhil hote hi
ek aese shakhs ko dekhega ,
jiska munh aur libas dekhte hi chup rah jayega. sochega ye farishta hai ,
voh shakhs uske pas aakar kahega
tujh par allah ki salamati aur barkat ho is mahal me
dakhil hone ka waqt aa gaya hai. tab voh banda us shakhs
ke sawal ka jawab dega aur puchhega ke tu
kaun hai voh kahega mai is jagah tera muhafiz hun meri tarah ek
hajar aur bhi tere muhafiz honge ye sab tere mahal ke neegahban hai.
Kya jannat me aurat ka sath milega ?
Har mahal me tere ek hajar khidmat gaar hai aur har ek me
ek haseen hoor teri biwi ke taur par rehti hai ab
tu apne dusre mahal me
dakhil hoga. aur fir fauran hi
ek aalishan mahal me dakhil kar diya jayega ye mahal
white marwaraid se bana hoga , jisme 70 darwaze
honge aur 70 rooms hogi aur har darwaze me marwaraid
ka ek qubba hoga ye unme dakhil hokar unki sair
karenga usse kabl use mahal me aur koi dusra shakhs
dakhil n hoga is jagah use
surkh jawahar ki 70 gaz
lambi barahdari dikhayi degi usme 70 darwaze honge surkh
jawahar ke kamre me har darwaze se ek rasta
hoga har kamre me 70 hi darwaze hoge har kamra surkh rang
ka ek hi jaise jawahar se bana hoga aur har kamre me
saji sajai unki biwiyan takht par baithi hongi voh
kamre me dakhil hote hi us pari paikar ko
Jannat (bahisht) ka bayan –
dekhega jo use salam karegi , salam ka jawab dega aur khada rah
jayega aurat kahegi ki
waqt aa gaya hai ki tu meri jayarat karke meri
sohbat se dil khush kare , kyunki mai teri biwi hun.
Aanh hazrat sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya ,
jab voh sakhs us aurat ko saaf aur pakizah dekhega
to use uske chehre me apna chehra isi
trah nazar aayega jis tarah aaina me nazar aata hai , voh aurat
(women) 70 behashti libas zaib-tan kiye hogi har libas apne
rang aur khubsurti ke lihaz se alag hoga , ye libas
is qadar nafees aur nurani hoge ki
aurat ki haddiyon ke andar ka guda tak unme saaf nazar aayega uski nazar
aesi pewasrt ho jayegi ki
dekhta hi reh jayega kyunki
uske har jalwe me hajar-hajar nazo karishma honge , har
hoor ki yahi kefiyat hogi pas behashti logo ki biwiyan yahi hoore hongi aur yahi unke shohar honge.
Jannati mahal – Jannat (bahisht) ka bayan –
Is mahal me 360 darwaze hai , har darwaza ke upar
marwaraid ke 360 mahal bane hai , ye marwaraid , yaqoot
, laal aur diomand , har qism ke jawahar se honge jannati is
mahal me rah kar maje
karenge aur dher sari sair
-sapate karenge jahan tak unki nigah kaam
karegi apna hi mulk nazar aayega kyunki ye mahal 100 baras ke
raste ke barabar daraz hoga har mahal ke darawaze par
pahunchte waqt farishte aate
aur salam karte , har
farishta allah tala ki taraf se ek tohfa la kar unhe deta hai ,
har tohfa dusre tohfe se alag hoga farishte
rauzana aakhir waqt me bhi tohfe aur hadiye lekar aayenge aur salam kahenge.
Quran pak me nazil hua hai ke allah tala farmata hai ,
har darawaze se farishte aayenge
aur kahenge tumne jo
kuch (duniya me) kiya tha , uske aewaz mai tum par salam
ho aur aakhir me naik badla hai ” fir farmaya unke
liye subah voh shaam unka rizq mauzood hai” !
Jannat me khana kesa milega ? Jannat (bahisht) ka bayan –
Agar bande ko khane ki hajat hogi to khana surkh yaqoot ke
khawancho me iske samne laya jayega , har
khawan ya yaqoot zar se bana hoga
khawanchon me 70 kism ke mukhtalif khane honge jab voh khane
lagenge to 80 khidmat gaar
uske samne khade rahenge har
ek ke hath me khane aur peene ka ek payala hoga
har payale me khane ya peene ke shai ki
shirni aur lazzat dusre se juda hogi rang aur surat me bhi ek dusre
se juda honge jab khana uske samne se uthaya jayega to har
khidmatgaar ko bhi khane me hissa milega.
Aanh hazrat sallallahu tala alaihi wasallam
ne farmaya jab aadmi ek niwala munh me dalega aur us dauran
me dusre khane ki taraf uska dhiyan jayega , to us khane ka lutf bhi munh me rakhe huye nuwale me aa jayega.
Aakhir jannat ki zamin kaisi hongi ?
Huzur sallallahu tala alaihi wasallam se sawal kiya gaya , ya rasullallah ! sallallahu tala alaihi wasallam bahisht
ki zamin kis chiz ki bani hai ? aap sallallahu tala alaihi wasallam
ne farmaya white colour ke narm/mulayam
paththar (stone) aur chandi se hamwar kiya gaya
hai uski khak kasturi ki hai , uske pashte jafraan ke banaye
gaye hai diware marwaraid , yaqoot , sone aur chandi se bani
hai aur voh is qadar saaf aur nurani hai ke bahir
se andar ki taraf dekha jata hai aur andar se
bahir ki taraf bahisht ke sab mahlon ka yahi haal hai ,
ke andar se bahir ki chizein aur bahir se andar ki chizein nazar aayegi.
Jannat ke libas – Jannat (bahisht) ka bayan –
jannat ka libas kuch is tarah ka hoga ki bahashti libas ke upar ek
tang cout hoga jis par raisham ka ek cout
hoga , unme nafees sadriyan lagi hogi , jannat me koi
bhi sakhs aesa na hoga jo azarana pehne aur chadar na
aodhe , ye libas na tarasha hua hoga aur nahi sila hua
hoga har kisi ke pas 70 hajar libas jo ek dusre se
mukhtaif khubsurat honge har libas 70 hajar rang ka hoga.
Farmane mustafa sallallahu tala alaihi wasallam , jannat ke
sabhi log chahe voh kisi bhi
darze ke ho , lambai
me hazrate aadam ke qad (hieght) yani 60 gaz ke barabar
honge sab log jawan aur be-raish honge aankhein
aur sal ke hair black honge , sabki auratein ek hi tadad ki
hogi jab sab saazo saman unhein muhaiyan kar diya
jayega , to ek pukarne wala pukarega ,
jiski aawaz sab suenge voh kahenge ab tum log apne gharon me khush
aur khurram raho fir sabhi
log jawab denge allah pak ne hame
bhi achhi aur buzurgon ki jagah utara hai ham
yahan khush hai aur dusri jagah nahi jana chahte ab
hamari aarzoo hai ki tera norani chehra dekhe , kyunki
tere chehre ki jayarat sabse bada sawab hai.
Ahle jannat aur deedare ilahi –
Aaqa qareem sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya ,
ya allah tala bahisht me azlas karega aur bandon ko
sharf mulaqat bakhshega us bahisht ya maqam ka name darul islam hai
allah tala use huqm dega apne ko
khud sawaar mere bandon ki jayarat ke liye khud ko
taiyar kar lo aur voh tameel karengi , aur ban sawar kar
taiyar ho jayegi , tab allah tala apne farishton ko huqm dega ,
ke mere bandon ko meri jayarat ke liye aao tab
farishte buland aawaz se
pukarenge ae khuda ke doston aur
mehbubon ! aao aur allah ki jayarat kar lo ! log
unton aur horse par sawaar ho kar pashtiyon ke saye me
aa khade honge jannati log darwaze par aakar sar
jhuka kar salam karenge , aur andar jane ka irada karenge
izajat mil jane par andar aa jayenge jaise hi andar
jaen ka irada karenge arsh tale bahari chalenge
is hawa ko mashida kahte hai ye hawaye jafraan aur kasturi
ki root ko utha legi aur unhe lekar behashtiyon ke geerebano ja dakhil ho ja dakhil ho jayegi…
Allah tala ka irshad hai ke – فوقهم لله شر جالك ليوم والقهوم نضرت و سرورا khuda ne unhe is din ki burai se nigah me rakha
, aur unke liye khushi aur tazgee laya..
Nigah me lane ka matlab ye hai ke allah pak qayamat ke roj
unhe hisab ki sakhti aur dojakh ke dar se bachayega.
Jannat (bahisht) ka bayan –
Us waqt behashti log apne rab ke arsh voh kursi ke taraf uthenge
jahan unhein chamakta hua noor najar
aayega ye noor allah ki tajalli ke bagair hoga fir behashti log
arz karenge ke ae allah ! tu pak hai farishton aur
roohon ka parwardigar hai sab kuch tere liye hi hai hamari
aankhon ko quwat ata farma aur apna deedar ata
farma. tab allah pak huqm dega noor ke
parde uthaye jaye aur is tarah noor ke parde uthne lagenge is tarah
70 parde uthenge har parda
pehle parde se noor me 70 guna
jayada hoga aakhiri pardah uthne par allah ka
jalwa nazar aayega jaise hi jalwe ka aks padega sabhi log sajdah
me gir jayenge jab tak allah
chahega sajde me
rahenge sajda ki halat me arz karenge ke ae khuda ! sab kuch
tasbih aur sataish tere hi liye hai tune hame
dojakh se bacha kar bahisht me dakhil kiya ,
kya hi umdah ghar hai , ham isme bilkul khush hai ae allah ! ham
razi hai tu bhi hamse razi ho ja allah tala farmayega mai
tumse razi hua ye tumhare kaam karne ka waqt nahi
hai balki tajah naimate hasil karne ke liye hai kuch mangna hai
to mango mai tumhe aur jayada ata karunga…
Jannati log jaban se kuch nahi keh sakenge
magar dil me kahenge jo kuch hame ata hai ye hamesha pas rahe
tab allah farmaeyga ye naimatein hamesha ke liye ata
ki gayi hai balki mai inme aur izafa karunga aur fir sabhi
haste huye sar uthayenge , magar noore khudawandi
ke samne unki aankhein na uth sakengi
noor unki aankhon me chaka-chondh paida karega.
Jannat ki naimate jane –
Is tarah deedare ilahi ke bad allah azowazl sabhi naik
bandon ko dawat par bulayega aur kusri ke mimbar par
baith ird gird kursiyon par
ambiyein karam voh paigamber
baithe honge niche farsh par naik band tashreef
rakhenge aur fir unhe ek-ek karke khana mewa jewarat
aur sharbat pilayi jayegi jo unhonne pehli dafa khaya
hoga aur voh wapis apne mehlon me aa jayenge unki
biwiyan puchhegi ki ye
jewarat aur tumhara chehra is
qadar noor se jagmaga raha hai tabhi farishte aayenge
aur sath kai tohfe layenge aur kahenge ki tum
hamesha isme rahoge aur taja naimatein tumhein di jayegi
har darwaje se farishte aakar kahenge ki jo duniya
me tumne ranj or takleef uthai hai uske aewaz ab tum par salamti rahegi.
Mustafa sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya ,
bahisht me 100 darje honge har darjo ke darmiyan ek
amir hoga jannat ke log khayenge ,
piyenge magar unhe pakhane ki hajat nahi hogi na hi peshab ki jarurat
hogi na thukenge aur na hi unke nose se pani aayega ,
na unke sar me dard hoga aur na kabhi koi dusri bimari la haq hogi.
Adna behashti (jannat) –
Bahisht me din-raat bhi hogi raat ki tariqui duniya ke din se jayada raushan hogi , farmane rasool akram
sallallahu tala alaihi wasallam , sabse kam darja
ka jannati voh hoga jiske ghar me kursiyon , farsh aur takiyon
ki itni tadad hogi ke agar tamam insan aur jin uske
mehman bane to unpar
baith sakenge , unke liye khane ,
sharbat , aur khidmat gaar har waqt taiyyar
rehte hai use itne jayada mehmano ke aane se itni takleef bhi na
hogi jitni ek mehman ke aane se ho sakti hai.
Deedare ilahi – Jannat (bahisht) ka bayan –
Rasoollalah sallallahu tala alaihi wasallam farmate hai ki ahle bahisht (jannat) har jumma ko allah tala ka
deedar karenge farmaya jannat ka ek taj agar aasman
ke sath latka diya jaye to uski raushni aftab ki raushni
ko jayel kar degi , farmaya jannat me mithe pani honge ,
milk , honey ki 4 nehre behti hongi jab jannati is me
se pee chuke honge to
nehron par mushk ki mohar
laga di jayegi har nahar me bahisht ke chasmo ki milawat hogi.
Farmaya bahisht 3 hai ek ka name jannat hai , dusri adan ,
tisri ka name darul-islam hai
jannat , adan se 70
arab hisse kam hai , jannat ke tamam mahal sone ke aur
andar se zabr-zad ke bane hai inke briz surkh yaqoot
ke bane hai unke bala khane motiyon ke bane hai.
huzur sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya , jo log sirf
allah ek liye aapas me dosti karte hai , allah tala
unhein ‘adan’ ke balakhane par le jayega jo surkh
yaqoot ka bana hua hai uski motai 70 hajar baras ka rasta
hogi is balkhane par 70 hajar ghar honge , ghar me ek mahal
hoga ye ahle bahisht ke gharon ke upar hoga un
gharon ke darwazon par noor se likha
hoga ke ye un logo ke ghar hai jo sirf allah ki khatir ek dusre ke dost the.
Is tarah jo banda duniya me sbar aur shukr ka daman thame allah ki ibadat karta hai har gham voh takleef ko
dar gujar kar us pak zaat par bharosha karta hai to beshak
hamara rab jo ki rabbul-alemin hai use mayus nhi
hone deta use jannat me
pahuncha kar har ranjo gham
ka badle me use voh sari aashaiyshe ata ki jati hai
jispar kabhi usne sabr kiya allah ham sab ko janant me thikana naseeb ata farmaye ameen ! jannat-aur-maraatib-ehle-jannat-
Conclusion :
Aaj bahist ke bare me hamne ibrat hasil kar ye jana ki kis tarah hame apne har neki ka badla ata kiya jayega
aesi-aesi naimaton se nawaja jayega jiska hamne tasavwar bhi na kiya hoga koshish kare ki allah ham sab se razi ho jaye aur ham duniya me uski raza par khud ko razi kar le allah hafiz !