Islami mahino ki fazilat –
Islami mahino ki fazilat- hamare deen me islamic month 12 hai chhoti se chhoti jankari mahine ki batai gai hai in mahino me ibadat aur jayaf karke bande apni magfirat karwa lete hai.
Wese to har mahina afzal hota hai kis mahine me kya hota hai
aaiye iske bare me padhe aur ibrat hasil kare

Islami mahino ki fazilat aur unke name –
- Muharram
- Safar
- Rabi al avval
- Rabi al aakhir
- Jamadil avval
- Jamadil aakhir
- Rajab
- Shaban
- Ramadaan
- Shawwal
- Dhul Qayedah
- Dhul hizzah
Islami mahino ki fazilat –
Is mahe mubarak se islami saal ka agaaz hota hai hadees
sharif me is mahe mubarak ki bepanah fajilat e
mehfooz hai is mahe mubarak mein
tareekh islam ka jikr shahadat
karna pasandida tarika kaar raha hai isi
mahine me islam ki buniyad
kayam ki gai hai jiske liye ahalebait
imam aali makam syedna hazrat imam
hussain aur unke sathiyon
ko nihayat berahmi ke sath
bhuka voh pyasa yajidi
afwaj ka muqabla karte hue
apni mukaddas jaan vah khoon ki qurbani dekar
shahid hokar deene islam ki hifazat farmai.
Jaane muharram ka fateha-
mohharam ki pahli tarikh se lekar 10 tarikh tak specially
10 tarikh ko jise ashura ka din bhi kaha jata hai
ashura ke din sharbat pilakar khana ya khichda banakar
shohdaae karbla ki fateha dilana aur unki mukaddas
ruhoo ko ishale sawab
pahunchana yah sab jayej aur sawab
ka kam hai ashura ke din gusal karne se tamam
saal inshallah bimariyon se
panah milegi is din aabe jam jam
tamam paniyon mein pahunchata hai is din apne
gharo me fateha jarur karaye.
Muharram ka khichda –
jisne mohharam ke din apne gharo mein khichda pakaya aur
fateha dekar garib aur muflis logon mein taksim
kiya to uske gharo mein
bepanah barkate najil hoti hai aur
sath hi vah ghar faka Kashi se mahfuj Ho jaata hai.
Aasura ki namaje –
- Do rakat namaz nafil ada kare
- jisme sureh fateha ke bad
- 3 martaba sureh ikhlas padhni chahiye
- jisse kabr me qayamat tak raushni hogi.
- 6 rakat nafil namaz , har rakat me ye 6 surate padhe yani
- vashshamsho , inna anjalnahu , ija julje lete ,
- sureh ikhlas , sureh falak , sureh nas , sureh kaferoon ,
- padhe aur bargahe ilahi me is
- namaz ko padhne wala banda
- jo bhi hazat talab karega vo puri hogi
- Dusri namaz ye hai ki 4 rakat
- ada kare har rakat me sureh
- fateha ke bad 50 martaba
- sureh ikhlas padhe allah pak
- uske 50 saal ke pichle agle gunah maaf
- farmayega aur uske liye hajar mehal
- noor ke jannat me banwayega ameen.
- Ashura ki kai namaz hai jo hamare liye
- magfirat ka bayes ban sakti hai.
Aashura ke roje ki fazilat kya hai –
- Ramjan sharif ke bad muhari ka roja afjal hai
- Sarkare Mustafa sallallahu tala alaihi wasallam
- farmate hai ki muharram ke har din ka roja ek
- mah ke rojo ke barabar hota hai
- Aashura ka roja jab bhi rakhe sath me 9 vi aur
- 11vi din ka bhi roja rakhna behtar hai
- Aashura ka roja ek saal jabki gunah Mita deta hai
- Muharram me aashura ke roje ki fazilat ke
- kya kehne kai guna rojo ke barabar hota hai
- Aashura ka roja ek saal
- ke rojo ke barabar hai
- Gujarish ta saalo ke gunaho
- ka kafara ban jata hai
- Aashura ka roja rakhna farz nahi lekin
- rakhne se bahut sawab milta hai
- Hazrat suleman salato assalam
- ko mulke azim ata ki gayi
- Adam alaihis salam ki tauba qubool ki gayi
- Aashura ke din roja rakhe
- aur apni magfirat karwaye
- Is din roja rakhna bahut afjal hai
- Allah ham sabko aashura ki roja rakhne ki taufiq de
- Ramjan ke bad dusra bada roja hai
Aashura ke din ki kya fazilat hai –
- Aashura ke din hi hazrate adam alaihis salam
- ki tauba qubool ki gayi
- Isi din unhe paida kiya gaya
- Jannat me dakhil isi din kiya gaya
- Aaj hi ke din jannat paida kiye gaye
- Isi din firaun ka khatma hua
- Hazrate Ibrahim Khalil Ullah alaihis salam paida
- hue aur isi din unhe aag se nizat mili
- Imam hussain raziallahu tala anha ko
- teen din bhoola rakhne ke
- bad se isi din shahid kiya gaya
- Yusuf alaihis salam ko kunve se nikala gaya
- Machhli ke pet se yunus alaihis
- salam ko isi din nikala gaya
- Hazrate yakub alaihis
- salam ko isi din rihai mili
- Isi din hazrate musa alaihis salam ko firon se nizat mili
- Aasman se jameen per barish isi din najil hui
- Isi din yakub alaihis salam
- ki nabina rafa ki gai
- Isi din arsh
- Kursi
- Jameen
- Aasman
- Chand
- Suraj
- Sitare
- Sab kuchh banaya gaya
- Asura ke din sabhi Ke aankhon
- mein aansu aa jate hai
- Hazrat isha alaihis salam paida hue
- Isi din unhe aasman ke tarf uthaya gaya
- Aaj hi ke din nuh alaihis salam
- ki kashti kinare per aai .
Safar – Islami mahino ki fazilat –
Is mahine mein Kai balaye najil hoti hai jo khas safar me nujul
karti hai hadis sharif mein aaya hai Ki jo mahe
safar ki gujarne ki khushkhabari suna de to use bahisht me
dakhil kiya jaega hazrate aiyub alaihis salam per isi
mahine bala mein mubtila hue
hazrat aadam alaihis salam par
bala aur musibat isi mahine me najil hui isliye is
mubarak mahine bad namaje
isha nafil namaz jarur ada karni
chahie aur salamati Ki dua hai karni chahie.
Rabi al avval –
Islam ka tisra mahina rabiul avval aata hai is mahine
me sultan e madina munawara , shahenshah e makka
mukarrama mustafa sallallahu tala alaihi wasallam ki paidaish
ka hai 12 rabiul avval ko makka me peer ke
din aap tashrif laye isi din ham isi din ham sab eid miladunnabi
ka jashan manate hai aur charagah karte hain
gali ghar mohalla sajate hain
dhum machate hue sumar juloos
se milad nikale jaate Hain jismein lakhon
aashiqana rasul sharif hote hain isi din aap parda farmae
aur is pak mahine ki bahut fajilat hai.
Rabi al aakhir –
Is mubarak aur muqaddas mahine ka
hujur saiyedna gausul aazam
hazrate saiekh abdul qadir jilani bagdadi
raziallahu tala anha ki zaat pak se
khususi nisbat aur taluq hasil hai
apki wiladat 470 hizri me hui apne 25 saal
bayaban (forest) me khuda k iibadat ki aur 40 saal makhluk
khuda ki hidayat aur nasihat me basar farmaye
app silsila auolaiya qadriya ke
imam barhaq voh auolamaye
ummat ke paishva hai apki shan me ham sabhi 11
vi sharif ko mukaddas mehfil ka
aagaz karte hai unke name
par halwa aur shirni ka fateha dete hai.
Jamadil avval –
Ye islami saal ka 5 va mahina hai jo apne daman me tarikh islam
ki behtarin waqiaat samete hue hai is mahe
mubarak ki pehli raat me 4 rakat
namaz ada kare har rakat me
sureh ikhlas 11 martaba padhe hajar saal ki
neki is namaz ko padhne walo ke hisse me darz
ki jati hai aur unki buraiyan mitai jati hai.
Jamadil aakhir –
Yeh islami saal ka 6 va mahina hai isme
nafil namaz 4 rakat namaz
har rakat me sureh ikhlas 13 martaba
padhe is namaz ko padhne wale ke naam-e amaal me 1 lakh
neki likhi aur ek lakh burai mitai jati hai .
Rajab – Islami mahino ki fazilat –
Ye mubrak mahe rajab badi azmato wala hai app sallallahu tala
alaihi wasallam ke taraf se 27 rajab ko hi
meraj sharif ka mojazah ata
hui aur fir apne pure aasmano
ki sher ki rajab beez bone ka mahina hai is mah
me kisi kauom ko ajab na diya gaya jannat k iek nahar ka
name rajab hai jiska pani milk se jyada safed hai is
mah me tuaba ka bahaw tej ho
jata hai mahe rajab ki 22 vi tarikh
ko hazrat imama jaafar sadiq raziallahu tala
anha ke fateha ka ihtemam badi
pakeezgi ke sath ada ki jati hai
jise kunde ki fateha ke name se jana jata hai.
Rajab ki 27vi ka roza rakhna kesa hai ?
100 saal ke roje ka sawab milta hai agar koi 27 vi shab ko roza
rakhe to is roze ki badi fazilat hai hmare islam
me is shab me nek amal
karne walo ko 100 baras ki neki
karne ka sawab hasil hota hai is din roza rakhe aur
iftar me apni gunaho ki magfirat karwaye
inshallah 10 saal ke gunaho ka kaffara ho jayega.
Rajab me ek roze ki fazilat kya hai ?
Agar koi shakhs rajab rajab me ek roza rkhe aur use prhejgari
se pura to use ek saal roze ki tarah sawab mile
ga dekha aapne rajab ki kitni
ajmat hai hamare islam me isliye rajab
me ibadat jarur kare aur iski barkate lute.
Jannati mahal –
hazrate saiyedna abu kilaba raziallahu tala anha farmate hai rajab ke
rojedaaro ke liye jannat me ek mahal hai
jiska name jannati mahal hai is
mehal me rojedar rahenge
Fatiha khwaja garib nawaj –
Mahe rajab ki 6 tarikh ko sultane alhind khwaja garib nawaj alihi
rehmatul rizwan ka ursh mubarak aur inka
fateha nihayat dhom dham aur
safai se puri duniya ke akidat mand
musalman islam me manate hai aur iske
barkat se mala mal hote hai.
Shaban-
Aaqa sallallahu tala alaihe wasallam farmate
hai shaban mera mahina hai
aur ramjan allah ka mahina hai 14
shaban ko shabe barat manaya jata hai gharo me roshni
failai jati hai magfirat ki rat hai kabro ki jayarat hoti
hai voh mahina jisme nekiyo ka darwaja khol diya jata hai ,
khataye tark kar di jati hai
gunaho ka kaffara hota
hai. is mahine me durud sharif kasrat ke sath bheji jati hai
huzur par durud bhejne ka mahina shaban ko kaha
jata hai shaban ke roje rakhna sunnat hai.
Ramadan –
Allah pak ka bahut- bahut aehsan jisne hame mahe ramjan jaisi
azimussaan naimat se nawaja , rehmat aur ba
barkat ka mahina ramjan sharif hai is
mahine me azr aur sawab bahut
badh jata hai farz ka sawab 70 guna
badh jata hai ramjan sharif ka mahina sab mahino se
afzal voh aala hai.Ramjan mubarak ki fazilat –
Shawwal –
Hadees sharif me nazil hua hai ki pehli raat me jiski subah ko eid
hoti hai hajaro ke tadad me farishte nazil
hote hai aur voh nida karte hai ki
ae allah Eidul fitar ki fazilat – ke bando
khushkhabri ho tum ne 6 shawwal ko
roja rakh kar apne saare saal ke
roje rakhne ka sawab hasil kiya.
Dhul Qayedah –
Ye mahina badi fazilat wala hai is mahine
me ibadat karne ka sawab bahut
jyada hai is mahine me peer ke din
roja rakhna hajar nekiyo ka sawab milta hai.
Dhul hijjah –
Hadees sharif me aaya hai ki duniya ke dino me sabse bujurgane
deeb 10 din dhul hijjah ke hai sabse jyada
aarzuwe rehmat dhul hijjah ke
hai is mahina ka ek roja pure mahine
ke barabar hai is mahine me hazrate
ibrahim alaihis salam ne apna
sab khuda ki raza ke liye un par
qurban kar diya yaha tak ke apne bete ismail
alaihis salam ko qurban karne ka faisla
kiya aur apni jaan aag ke liye apna
dil rehman ke liye kharch kiya unhi
dino ismail alaihis
salam ne baitullah
sharif ki bunyad dali isi mahine haji
haz par jate hai
bakrid jise eidul adha
ke name se jana jata hai is din gusl
karna aesa hai jaisa mano usne
dariyae rehmat me gota lagaya ho tamam
gunah maaf ho jate ocmic.org.uk/12-islamic-months/
hai naye kapde pehne purane
kapde fakeer ko de aur sawab hasil kare.
Conclusion :
Aaj hamne sikha ki islamic month jo ki 12 hai iske har mahine ki fazilat aur ahmiyat aur is mahine me koun-
koun se festival kis month me aate hai aur kiske hawale se manai jati hai aur bhi bahut kuch maslan rajab ki
barkate ya bahare rabiul awwal maane ka maksad vagierah ki
malumat deenitalim ke is hisse me ham lekar
aaye hai ise pura padhe aur ibrat hasil kare aone ilme deen
me ijafa kare apke duaao ka muntazir allah hafiz .