Ishq Mohabbat in islam :
Ishq Mohabbat in islam : hamare Islam me mohabbat ki badi fazilat hai hamara to Islam mohabbat par hai Qur’an sharif bhi ham sab ko mohabbat ki talim deta hai hamare mazhab me mohabbat ki kya ahmiyat hai
aaiye Jane aur sath ye Jane ki hame kisse mohabbat karni
chaiye aur shadi yani nikah se pehle ki mohabbat kya jayez hoti hai aaiye padhe..!
Sacchi mohabbat kise kehte hai ? (Ishq Mohabbat in islam)
sacchi mohabbat to use kehte hai jise dekh khuda ki yaad aa jayein mohabbat to itni ba gairat hoti hai ke isme

dusra ka tassuwar bhi nahi hota hai yani isme dusre shakhs ka
gawara hi nahi hota jahan mohabbat hoti hai
waha shirkat nahi hoti hai asal mohabbat to nikah ke bad hi hoti
hai yaad rakhiye Ishq mizazee haram hai
agar mohabbat karni hai to allah aur uske rasool se karein jahan
bewafai ka tassuwar hi nahi hota hai allah
hum sabke dilon me ishqe rasool paida kar dein ameen summa ameen.
Mohabbat ki kisme (types of mohabbat)
wese to mohabbat ki kai kisme hoti hai maslan allah ki mohabbat
apne bandon se ,huzur ki mohabbat apne
ummatiyon se ,nek bande ki mohabbat apne rasool yani (aaqa sallallaho tala alihe wasallam) se ,maa bap ki
mohabbat apni aulad se , miyan biwi ki mohabbat
ek dusre se ,bhai behen ki mohabbat apas me wagerah
wagerah is tarah duniya jahan
me koi kisi n kisi se mohabbat karta hai.
Mohabbat ke bagair iman hi nhi hai
Kyunki mohabbat ka name hi iman hai
Farmane Mustafa …
Allah ki mohabbat apne bando ke liye :
Allah humse sabse jayada mohabbat Karta hai woh humse nafrat nahi karta hai Musalman ho ya kafir , nek ho
ya badkar ,wo sabse mohabbat karta hai allah apne bando se sattar
maaon se jyada chahta hai jis din allah ki
mohabbat apke dil me Ghar kar gayi to samjhiye apka duniya aur aakhirat dono ho sawar gaya.
Huzur ki mohabbat apne bando se-
Qurban us nabi par jisne ye farmaya ae allah bande nek hai woh
tere hai aur jo gunahgar hai woh mere hai
subhanallah..! Huzur ki mohabbat apne bando se itni jayada hai ke woh hum gunahgar ke liye duaayein
magfirat karte hai agar humsab milkar bhi unse mohabbat ka dawa karein
tab bhi unki mohabbat bki barabari
nahi kar sakte hai woh hum sabse pure qoum ke tadad me ek akele bande
se mohabbat karte hai to sochiye
humsab se wo kitni mohabbat karte honge huzur ki mohabbat me Wafa hi Wafa hoti hai
bewafai ka to sawal
hi paida nahi uthta hai.
Miyan biwi ka rishta kesa hai ?
Islam me miyan biwi ka rishta itna muqaddas aur aala hai ke allah
pak ne Inka rishta jannat me qayem Kiya
hai jabki sabhi rishte zameen par banaya gaya hai maslan
hazrate adam alaihis salam
aur Bibi huwwa ka
rishta allah azowazl ne dono ka nikah jannat me karaya is tarah miyan biwi ka
rishta pak aur bada azim hota hai.
Sohar Biwi ka rishta in Islam-
Quran Sharif mein Irshad hai ke mard aur aurat yani shohar aur biwi
ek dusre ka libas hai shohar biwi ka libas
aur biwi shohar ka libas hai yahan libas se mutalliq ye
hai ke jis tarah insan ba libas
me ba izzat ba haya nazar
aata hai thik isi tary Bina libas yani be libas zaleel aur be izzat hota hai isliye
kaha gaya hai ke wafadar biwi
wahi hai jo apne shohar bke sare aebon ko chhupa lein, aur wafadar ya
nek shohar wahi hai jo apni biwi ki
sare aebon ko chhup lein
ek accha shohar wahi hai jo apni biwi ke sath narmi se
paish aaye aur uski har naaz nakhre bade hi
pyar se utahye
biwi ka ruth jana aur shohar ka fauran hi use mana lena
ye bahut hi aala tarze ki bat hai
behtarin shohar wahi hai jo apne biwi ke kamo me
hath bataye aur use mare pite na
nikah ke bad puri jimmedari shohar ki hoti hai.
ek aurat par uske shohar ka sabse jayada haq hota hai
jabki shohar par sbse jyada haq uske
walidain maa-bap ka hota hai.
Shohar biwi ke huquk ek dusre ke liye kya hai ?
Aaiye jaane Ki ek shohar apni biwi se kaisa sulook Karen aur biwi Apne shohar ke sath kaise rahe.
- Agar kisi ne apne biwi ka haq ada na kiya uspe zulm kiya ya uski haq
- to allah use tab tak maf nahi karega jab tak ek biwi maf na kar dein
- Jis tarah namaz na padhne par gunah padta hai thik isi tarah biwi ka
- haq na ada karne par bhi gunah padta hai
- Agar miyan biwi me pura pura milap aur sath hi
- khush ikhlaqi raha to isse badhkar
- koi neamat nahi hai
- Isi tarah agar dono ke bich ikhtelaf , jhagde fasad ki nuabat aa
- gayi to samajh lijiye
- Isse badi koi musibat nahi
- Har aurat ko chahiye ke woh apne shohar ke mizaaj ko pehchan
- le aur koun kaun si batein na pasand hai
Ishq Mohabbat in islam :
- Aur kin kin baton se khush aur kin baton
- se naraz hota hai ye sabhi chizein Jan le
- Jab ek gusse me ho to dusra
- khamosh rahe agar dono hi gussa
- karne lagenge to bat aur bhi badh sakti hai bigad sakti hai
- Isliye ek dusre ko samjhe aur samjahiye
- Ek dusre ki burai kabhi bhi na karein aesa karne se apke
- dil me badgumani Ghar kar jati hai
- aur mohabbat
- khatam ho jati hai
- Shohar ki ye jimmedari hai ki woh apne hasiyat
- ke mutabik apne biwi
- ke kharche uthaye
- Aur uski jaruraton ka pura pura khayal kare
- Yad rakhiye agar aurat yani biwi Apne shohar
- se khush aur mutmaeen
- hogi to
- apke kamai aur rozi me frakhi yani barkat hogi
- Agar miyan biwi sath milkar ibadat bka Kam maslan namaz
- padhna roza rakhna tilawat e Qur’an pak padhna wagerah
- kare to allah azowazl unhe
- dekh khush hota hai.
Aaqa Kareem sallallahu alaihi wasallam farmate hai ke tum sab kitne bhi achhe yani tahuzzud gujar
ibadat gujar ban jao tab bhi tum sab me se koi nek nahi ban sakta
kyounki jab tak
tum apne biwi ke sath
husne suluq aur behtar na ban jao.
Kya pyar karna gunah hai islam me ?
Yad rakhiye Islam iski ijazat hargij nahin deta ke ek ladka yah ladki aapas mein taluk rakhe kisi Na mehram se
taluq rakhna aaram hua Najayez karar diya gaya hai hamare
Islam me kisi dusre shakhs Na mehram yahan
tak ke apne cousins bhaiyo
se bhi bila jarurat bat chit ya hasi
mazak karna mana hai afsos aaj ke is jamane me
bedhdak ladki ladke apas me bat
yaha tak ke milna julna bhi
laga rakha hai allah unhe nek hidayat de.
Mangni ho jane ke bad bat karna kesa hai ?
Hamare deen me to rishta fix ho jane ke bad bhi yani engagement
ho jane ke bad bhi ladka ladki ka apas me
bat karna mamnu (mana) samjha
jata hai aur na hi Milne julne ki
izzat deta hai kitni hi sacchi mohabbat kyu
na hi apni mohabbat ko
sabse pehle jayez
banaye aur halal banaye tab hi kuch kare.
Hame mohabbat kin logo se karni chahiye ?
Mohabbat to sabhi karte hai lekin kisse kare kis tarah
ke logo se mohabbat karni chahiye acche logo se
mohabbat kare jo nek ho dildar sakhi ho khubseerat ho
isse mutalliq aaiye Jane ki acche logo se mohabbat
karne ke kya fayede hai…
Acche logo se mohabbat karne ke
fayede -Ishq Mohabbat in islam :
Hame hamesha acchi sohbat ikhtiyar karni chahiye aur achhi se
pyar mohabbat rakhni chahiye – Taraweeh in ramadan 2022
- Accha sathu wah hai ke jab hum use dekhe
- to khuda ki yad aa jayein
- aur jub hum gumrah ho jayein to usme
- woh hamari madad kare
- Jab hum khuda ko bhul gumrahi
- aur burai beimani ki rah me chal pade to
- Woh hame hamare dil me khofe khuda
- jagaye aur hame hamari kotahiyo
- par nidamat ka aehsas karayein
- Accha humnashi (yani Humsafar) wahi
- hai jise dekh hame
- allah azowazl ki
- yad dilaye aur uska Amal tume
- Aakhirat ki yad dilaye aur tumhe
- dekh woh bhi sambhal jayein
- Agar apka humsafar accha aur saccha hoga
- yani deendar hoga to samajh lijiye ki
- Duniya ka sabse nayab tohfa aapne
- hasil kar liya aur
- Is tarah apki zindagi bhi khushnuma ho jayegi.
Accha sathi ka natiza accha hota hai –
Amirul momenin hazrate saiyeduna Umar faruq azam radiallahu tala anha ne
farmaya , aesi chiz me na pado
jo tumhare haq me behtar nahi aur hamesha dushmano
se bachte raho aur aese logo ke sohbat me raho ya
aese logo ko dost banao, jiske dil
me khofe khuda mauzud ho
aur woh tumhe bure v najayez kamo se roke
aur apne kam ke mutalliq
unhi logo se
mashwara lo jo sahi mayne me nek v parhezgar ho.
Kya ap allah ki mohabbat pana chahte hai ?
Agar ap allah se mohabbat pana chahte hai to Jan lein allah
azowazl tak pahunchne ka rasta logo ke dilo se
hokar guzarta hai allah tabhi razi hoga jab
uske bande apse razi honge
yani apke haq me behtar gawahi
denge agy ap logo ke dil me nafrat paida karenge
unki dil azari karenge unka dil dikhayenge to bataiye kese
khuda apse razi hoga agar ap logo se apne liye
baddua ka zakhira karwaenge unhein rulayenge to Jan lijiye
agar ap ibadat bhi karenge to wo bhi qubool
nahi hogi aaiye Chand
padhein ke allah ke liye apas me
mohabbat rakhne ki kya fazilat v fazayel hai
Aapas me mohabbat rakhne se allah razi ho jata hai.
- Allah tala qayamat ke din farmayega kaha hai jo mere jalal ki wajah se apas
- me mohabbat rakhte the
- Aaj mai unko apne saye me rakhunga aaj
- mere saye ke siwa uspar koi saya nahi
- Allah azowazl ne farmaya jo log meri wajah se aapas me
- mohabbat rakhte hai
- Aur meri wajah se ek dusre ke pas baithte hai aur
- apas me milte julte hai
- aur maal kharch
- karte hai
- to unse meri mohabbat wazib ho gayi
- Is tarah allah pak faramata hai jo log khouf ki wajah
- se aapas me mohabbat rakhte hai
- unke liye noor ke mimbar honge aur sabhi
- unhe dekh kar rashk karenge
- do shakhs ne allah ke liye aapas me
- mohabbat rakhi aur ek mashrik ke
- taraf aur dusra magrib ke taraf
- to qayamat ke din allah tala dono ko pas bulayega
- aur farmayega yahi
- woh hai jisse
- tune mere liye mohabbat ki thi
- jo kisi se allah ke liye mohabbat rakhe ,allah ke liye
- hi dushmani rakhe to alllah unse razi ho jayega
- aur jo shakhs allah ke liye aapas me len-den
- kare to usne apna iman kamil kar liya
- allah ke liye mohabbat rakhne wale arsh ke
- gird yaqoot ki kursi par baithe honge
Jannat me umdah thikana -Ishq Mohabbat in islam :
Jannat me yaqoot ke sutun hai un par jabr zad ke balakhane hai
woh balakhane aese roushan hai jaise
chamakdar sitare , logo ne aap sallallaho tala alaihe wasallam se
arz kiya ya rasullallah inme koun rahega
apne farmaya , woh log jo allah ke liye aapas me mohabbat rakhte
hai ek jagah baithte v aapas me miljul kar
rehte hai subhanallah. pyar-ishq-aur-mohabbat
Conclusion :
Aaj humne mohabbat ke mutalliq kai sari malumat hasil ki jiske andar aapas me mohabbat karne ya rakhne ki
fazilat , achhi sohbat ke mutalliq batein aur miyan-biwi ki mohabbat shadi se pehle ki mohabbat kaise hi
wagerah sabhi chizon ke bare me malumat hasil ki jiske bare
me janna hum sab ke liye bahut hi aehm hai.