Haram maut in islam ?
Haram maut in islam ? Aaiye jane ki hamare mazhab me kya- kya chize haram hai aaj ham kai haram chizon ke bare me ibrat hasil karenge jiske andar is haram to smoke in islam ? is haram to whistle in islam , is it haram to drink alcohol in islam aur bhi bahut kuch is article me padhe.
khudkushi (suicide) karna kesa hai ?
Aaj log duniya ke halaat se mutasir hokar suicide kar rahe hai lekin kya apko malum nhi ki allah ka farman aur
uske rasool ka kya farman hai hadees sharif me nazil hua hai ki jo insan jis andaz se khudkhushi karega to ta-
qayamat tak voh usi ajab me girafatar rahega maslan agar koi phansi se latka ho to qayamat tak voh
hamesha phansi ke fande tak har lamha chadhaya jayega use phansi di jaeygi.
Insan jindagi se har maan kar ya tang aa kar ye qadam uthata
hai ki shayed uska ye gam ya dard kam ho jaye
magar haqiqatan aese hargiz nahi hota balki voh hamesha ke liye apne apko ajab me mubtila kara deta hai na
use duniya se chain milti hai aur na hi marne ke bad sukoon hasil hoti hai.
Khudkhusi (suicide) ka ajab ? Haram maut in islam ?
Jo shakhs suicide karta hai to farishte marne ke bad use har lamhe jis se voh suicide kiya tha maslan jehar
khai ho ya chhat se kuda ho ya fir pankhe se khud ko
latkaya ho vagirah use jehar pilaya jayega har lamhe use
phansi se latkaya jayega aur yahi hal qayamat tak chalta jayega. isi tarha allah ajowazl ne khudkushi karne
walo par jannat haram qarar di hai hadees sharif me najil hai ki khudkhusi karne wale jannat me nahi jayenge.
Insan suicide kyu karta hai ? Haram maut in islam ?
Agar koi musalman khudkushi karta hai to iska matlab ye hai ke use deen – islam ki malumaat nhi hai apne
majhab ki jankari nahi hai suicide karne ki ek wajah ye hai ki log tenstion me ho jate aur tenstion se nijat pane
ke liye unhe ye khudkushi ka hi rasta nazar ata hai lekin ye
jahalat ka rasta unhe shaitan dikhata hai agar koi
tenstion me hai to use chaiye ki kisi se madad talab kare koi naya hal nikale kisi se mashwara le yad rakhiye
agar koi tenstion apke zindagi me hai to sath hi uska hal bhi usi duniya me mauzood hoga allah kisi ko be
sahara nhi chhodta voh sabka palne wala hai duniya me koi aesa masla nahi hai ke jiska hal allah pak ne paida na kiya ho.
Khudkhushi karna ek bahut hi badi bala hai ham sabko isse bachna chaiye suicide karne wala jahunnum Shabe qadr ki fazilat. me jayega.
Kya khudkhusi karne walo ki rooh bhatakti hai ?
Chand logo ke mind me ye bate chlati rehti hai ki jo shakhs suicide karta hai uski rooh yahan-waha firti hai
jabki ye baar sarasar galat hai agar bande ke pas ilm-deen ho aur shariyat ki knowledges ho to voh ye galat
fehmi khud hi dur karega ki ye galat bat hai maslan suicide
karne wala ho ya accident se marne wala ho sabki
roohe aam roohe jahan sabki roohe hoti hai wahi ja kar mil jati hai.
Khudkhusi karna ek haram kam hai hamara islam iski ijazat hargiz nahi deta hai khudkhusi karne wala shakhs
buzdeel hota hai voh kamjor hota hai jo duniya ki taklifon se dar jata hai uski will power loose hoti hai.
Jo banda suicide karta hai uska duniya me bhi kuch nahi
aur na hi aakhirat me khuch hota hai isliye is bala se
khud bhi bache aur apne azizon-aqarib ko bhi bachaye.
Quran mukaddas me allah ajowazl ne irshad farmaya hai ki allah ki rehmat se kabhi mayus na ho.
Khudkhusi se kese bache ?

Agar koi banda stress se nijat pana chahta hai bahir nikalna chahta hai to iska sabse behtarin tarika (solution)
ye hai ke jo kuch allah ajowazl ne ata kiya hai hai uspar razi ho jaye
dekha jaye to ham sabke pas koi tenstion
nahi hai bas yahi ek tenstion ki hamari khawahishe puri
nahi ho pa rahi hai mujhe ye chahiye tha nahi mila
sabhi ko mila mujhe kuch nahi milta us itna percent mila mai fail
ho gaya vagirah vagirah kabhi- kabhi insan
sochta hai ki mai itna layek hun lekin fir bhi khali baitha hun kabhi koi sochta hai ki uska shohar itna kamata
hai mera shohar nahi kamata voh itna raees hai aur mai
itna gareeb ye sari batein hamari mind me ghumti
rehti hai aur yahi sari tamnnaye dar-haqiqat hame dipressed kar deti hai hame mayus kar deti hai.
Haram maut in islam ?
Jab banda apne khawahishon ko tark kar de aur allah ki faisle ko dil se taslim kar uski raza me khud ko razi kar
le to kabhi voh mayus nhi hoga voh khud se mutmaeen hoga agar ham sabr aur shukr ka daman tham le to
hame koi gam apne hisar me nahi le sakta aur jaan lijiye hamare
chahne se kuch nahi hoga hoga wahi jo allah chahta hai.
Ye duniya hamare armano ke pura hone ki jagah nhi hai yahan ham sabki arzoo puri nahi hogi ye duniya
armaan pure hone ki jagah hai hi nahi balki aramaan to hamari jannat me puri hogi subhanallah !
.ولكم فيها ما تشتهي أنفسكم ولكم فيها ما تدعون نظلم من غفور رحيم ألم ساجده
tarzuma : agar jannat me apni marzi ki jindagi gujarna chahte ho to is duniya me apne rab ki marzi ki zindagi
guzaro. duniya me jo rab chahta hai voh karo aur jannat me tum jo chaho ge maula tumhe ata karega.
Khudkushi ki wajah kya hai ?
Wese to iski kai wajah hai lekin aham wajohat ke jisme suicide ke chance jyada dekhe jate hai maslan –
- Ishq-mizazi (love affair)
- Tangdasti (gareebi)
- Deppression
1.Ishq-mizazi (love affair) – Haram maut in islam ?
Aaj ke jamane me dekha jaye to sabse dangerous thing ye ishq mizazi ka chakkar hai jiske chungul me aaj
aadhe se jyada log is me pad kar apna future khatm kar dete hai
naubat yahan tak aa jati hai log apni jaan tak
de dete hai talim hasil karne ki umar me aaj kal ke ladke-ladkiyan
love-affair ke chungul me pad kar apni life
ruin ( tabah voh barbad ) kar rahe hai agar koi ladka kisi ko
chahe aur fir voh ladki use na mile to voh banda
itna mayus or depressed ho jata hai ki uske bagair jeena
uske liye na-mumkin sa ho jata hai aur fir voh galat
kadam utha leta hai us ladki ke pyar me pagal ho kar voh suicide kar leta hai.
Log ye kyu nahi samajhte ki allah ne har kisi ka joda jannat
me 50 hajar saal pehle hi mukarrar farma diya hai
aur duniya jahan me wahi uske nikah me aati hai.
Quran -hadees me ye farman hai ki agar tum achha humsafar
chahte ho to sabse pehle khud ko achha karo
kyunki jo jesa hoga use wesa hi sathi milega chahe voh duniya jahan me kitni hi koshish kar le.
Allah ham sabko hidayat de aur is ishq mizazi ke chungul se hame bachaye.
2. Tangdasti (gareebi) – Haram maut in islam ?
Suicide ke ek reason me sabse aham tarin wajah gareebi hai jisse kai log tang aa kar apni jaan de dete hai
aurate apni shohar ki tangi se tang aa kar apni jaan de deti hai
aur gharo me ladai jhagde ka mahaul paida ho jata hai.
Aap sabhi khawateen se guzarish hai ki app apni jindagi television
shows dekh kar film dekh kar apni jindagi
ko na saware otherwise aap kabhi khush nahi reh payenge
aur na hi apke gharo me barkat hogi agar jindagi
guzarni hai to hamare islam me aaqa kareem nabi sallallahu tala alaihi wasallam ki sahebzadi chaheti hazrate
fatima raziallahu tala anhuma ki zindagi se kuch ibrat hasil
kare aur apni zindagi ko khushgawar banaye
Nabi ki beti hone ke bauwazood jannat ki malika hone
ke bawzood bhi unhone apni zindagi bade hi sade
tarike se guzari jiske bare me app sabhi ko malum hi hoga kai-kai dino tak faqe kiye magar kabhi bhi apne lab
par shikayat ka ek lafz bhi apne shohar ke samne na layi.
3.Deppression – Haram maut in islam ?
Kisi ka sadma jise ham dil se laga lete hai aur deppression ka shikar ho jate hai ham apni zindagi se itna
mayus ho jate hai ki ham sochte hai mera koi nahi hai
jabki ham bhul jate hai ki voh rab sabka hai wahi hai
sabko thamne wala agar ek raasta band ho jata hai to fauran
hi dusra raasta khul jata hai allah ki rehmat se
kabhi mayus nahi hona chahiye aur wese bhi mayusi kufr hai to ham kyu deppression me ja rahe hai har kisi
ke jindagi me koi na koi shakhs jarur hota hai jo use samjhta ho
use manta ho to ham usse bhi bate chhupane
lag jate hai aur sari bate dil hi dil rakhne se dil ka bpjh itna badh jata hai ki hame kuch samjh nahi aata siwaye
ek hi raste ke aur voh rasta suicide ka hota hai jispe shaitan hame khinch kar le jata hai.
What is haram in islam ?
Aaiye chand aesi chizon ke bare me jane jise hamare majhab ne hram qarar diya hai maslan to whistle (siti
bajana) isi trah is it haram to smoke in islam and is it haram to
whistle in islam aaiye jane ki iske bare me haquiqat kya hai.
whistel bajana ya isharo-ishare me bate karna ye sab kuch islam me najayez voh haram hai ye sab kamo se
hame parhez karna chahiye.
Is it haram to smoke or dink ?
Yes islam iski izazat hargiz nahi deta hai sabse bada gunah hai nasha karna kyunki yahi voh lat hai jisse banda
tabah ho jata hai uski rozi khatm ho jati hai aur voh nashe me aakar sabki izzat ko pamaal kar jata hai apni
biwi ke sath bura suluk karta hai islam me drink karna or
smoke karna ye sabhi chizon se hame mana farmaya
hai lekin aaj ke daur me to musalman bhahiyon ne smoking
karna drink karna ye sab chizon ko apni zindagi
me is tarah shamil kar liya hai ki bus puchhna hi kya aur fir voh
itne tabah aur barbad ho jate hai ki galat kam
karna unke liye bahut asan ho jata hai voh gunah ko gunah hi nahi samajhte hai khudkhushi-ka-azab-aur-iska-ilaaj
Conclusion :
Aaj hamne sabse aham topic ke bare me ilm hasil ki jiska janna har musalman bhai aur behan ke liye jaruri hai
kyunki ye suicide ka daur aaye din badhta chala ja raha hai jaan
lijiye suicide wahi karte hai jinhe deenitalim ,
deen islam ki jankari nahi hai isliye apne baccho ko sabse pehle
deen ki talim dilaye unhe sahi galat , haram –
halal chizon ke bare me bataye ki hamare majhab me mayusi kufr hai chahe preshani kitni hi badh jaye lekin
hame bharosa us rabbul alemin se nahi todna chahiye.allah hafiz !