Eidul fitr ki fazilat –
Eidul fitr ki fazilat – eidul fitar mahe ramzan ke fauran bad hi eidul fitr ki naimat azim se sarfaraz farmaya is din khushi ka izhar karna mustahab hai eid jiski aehmiyat hamare islam me kahi jayada hai hame allah azowazl ke fazal o rehmat par jarur izhar musarrat karna chahiye eid ki behad fazilat hai hamare islam me.
Eidul fitr ki fazilat –
Hazrate saiyedna abdullah ibne abbas raziallahu tala anhuma ki riwayat me hai ki jab eidul fitr ki mubarak rat
tashrif lati hai to use lailatul jayejah yani “inam ki rat” ke name se pukara jata hai jab eid ki subah hoti hai to
allah azowazl apne masum farishto ko tamam shehro me bhejta hai
aur phir sare farishte sabhi shehro
,mohalle ki galiyo me nida dete hai ae ummate muhammad chalo us rab
ki taraf jo bahut jayada ata karne aur
bade se bade gunah maaf karne wala hai phir allah apne bando se
mukhatib hota hai “ae mere bando !
mango ! kya mangte ho” –
Qabuliyat ka din – Eidul fitr ki fazilat –
Is din khudawand kareem apne bando par bada meherban hota hai
aur farmata hai meri izzat aur jalal ki
kasam ! aaj ke roj (namaz eid ke ) is mouke par apni akhirat ke bare me jo sawal karoge woh pura hoga jo
kuch duniya ke bare me mangoge usme tumhari bhalai ke taraf
nazar farmaunga (yani is mamle me woh
karega jisme tumhari behtari ho ) mai tumhare sare khatao , gunaho ko maaf
farma dunga tumne mujhe razi
diya aur mai bhi tumse razi ho gaya namaze eid ke bad jo mangoge mai
tumhe woh ata karunga subhanallah !
Eid ul fitr ki raat ki fazilat –
29 vi ki raat ko eid ul fitr ki raat kehte hai is lailatul qadr ki aakhiri raat hoti hai ise 5th shabe qadr bhi kehte hai is banda jamke allah azowajal ki ibadat karta hai nafil namaze padhta hai apni magfirat talab karta hai is raat ki ibadat ka inam allah use eidul fitr ki shkal me ata karta hai is raat jo duayein mangenge voh puri hoti hai qabooliyat ki raat aur din hoti hai is raat jage aur apne allah ko razi kare specially is din 7 martaba sureh waqia padhne se rizk me tarakki ke liye behad faydemand hai is din ko total namaz ki rakat 12 hai jisme pehle 4 rakat ki namaz aur fir 8 rakat ki namaz hoti hai.
Eidi milne ki raat – why is eid ul fitr celebrated ?
Allah azowazl hum gunahgaro par kis qadar meherban hai ek to ramjanul mubarak me sara mahina woh hum
sabhi par apni rehmate nazil farmata hi rahta hai phir jaise hi ye mubarak mahina
ka ikhtetaam hota hai to
fauran hi eid jaisi azim khushiyo se hame malamal kar deta hai ye raat nek logo ko inam milne yani edi diye
jane ki raat hai allah hamari sari kotahiyo ko maf farma deta hai.

Eidul fitr kiske liye hai –
Asal bat to yahi hai ke eid un khushbakht musalmano ka hissa hai jinho ne mahe ramjanul mubarak ko rozo,
namazo ibadat wagerah me guzara to eid unke liye allah azowazl
ki taraf se majduri milne ka din hai isliye
allah pak eid ke din apne nek bando s khush hokar unki magfirat farma deta hai subhanallah
hame to allah Ramjan mubarak ki fazilat –
azowazl se darte rehna chahiye ke aah ! mohtaram yani
ramjanul mubarak ka haq ada hi na kar sake eid ham sabke liye hai chahe voh gareeb ho amir sabhi ke liye allah azowajal ne eid ki barkat ata ki hai.
Eidul fitr ki sunnate kya hai ?
Namaz eid se pehle ek sunnat yeh bhi hai ke is din namaze eid se pehle kuch kha-pikar hi padhi jaye ya ada ki
jaye jabki eidul azha ke din namaz ke bad kuch khan -pina chahiye
ajkal ke daur me to eid ke din sewaiya
pakai jati hai jise fateha kar ke khai jati hai aur tab namaz -e- eid ko jate hai.
Eidul fitr kese manana (how is it celebrated) chahiye ?
- Is din gusl karna jaruri hai
- Sath hi nakhun tarashna yani katna
- Miswak karna
- Achhe saf -suthre kapde pehne agar naye ho to wo pehne
- Is din khushboo lagaye
- Eidul fitar ki namaz se pehle kuch mitha jarur kha le maslan chand khajure
- ya phir sewai wagerah kha le
- Namaze eid eidgah me hi ada kre
- Namaz ke liye ek raste se jana aur dusre raste se wapas aana sunnat hai
- eidgah paidal jana bhi sunnat hai
- Eid ki namaz se pehle sadqa fitar ada karna chahiye
- Ho sake to is din khusi ko jahir karo
- Apas me mubarakbad dena -lena bhi sunnat hai
- Bad namaz musafa (yani hath milana ) aur munaka yani (gale milna ) chahiye
Eid ul fitr ki namaz ki niyat –
Eid ul fitr ki namaz ka tarika , sabse pehle to niyat kare “mai niyat karta hu do rakat namaz eidul fitar ki sath 6 jayed
takbiro ke waste allah
azowazl ke piche is imam ke” phir kano tak hath uthaye aur
allahu akbar kehte huye apne hath bandh le aur
phir apni namaz puri kare.
Eid ke din gareeb ko na bhule –
Yad rakhiye sirf apne pariwar tak hi mehdud na rakhe balki apne aur apno ke sath -sath gareeb aur mashkin
ko bhi jarur puchhe jayada se jayada unke jarurat ko pura
kare yateem bchho aur bachhiyon ke sar par hath
phere aur unki jayez jarurato ko pura kare unke liye naye-naye
kapde aur unki jayez hazato ko pura karne ki
koshish kare is tarah unhe puchhna hargiz na bhule taki gareeb
bebas us khuda se shikayat na lagaye k imera
is duniya me koi nah agar allah azowazl ne apko rizk ki barkat ata
farmayi hai to usse app in gareebo aur
mashkeno k ihar hazate pura karne ki koshish kare.
Kya sadqa fitar dena wazib hai ?
Sarkar mustafa sallallahu tala alaihe wasallam ne ek shakhs ko hukm
diya ke jakar makka muazzama ke gali
kucho me elan kar do “sadqa fitar wazib ” hai ise ada karna har
momin bando ke liye jaruri hai.
Sadqa fitr ke mutalliq jaruri bate –
Kya apko malum hai sadqa fitar un tamam musalman mard aurat par
wazib hai jo saahbe nesab ho aur unka
jaruriyat jindagi se farig ho.
Sadqa fitr ada karne ka sahi tarika kya hai ?
Aaiye jane ki fitra ada karne ka sahi tarika ,sahi waqt kya hai
eid ke din subah sadiq ke bad eid ki namaz ada
karne se pehle -pehle hi ada kar diya jaye agar chand rat ya
ramjan sharif ke shuru hone se pehle ya ramjan
sharif me hi fitra ada kar diya jaye to koi harz nahi aesa karna jayez hai.
Sahbe nesab kya hai ?
Jiske pas sadhe 7 tole sona ya sadhe bawan 52 tola chandi ya sadhe 52 tola
chandi ki raqm ya itni malliyat ka
mal mauzod ho to usko sahbe nesab kaha jata hai.
Sadqa fitr –
Sadqa fitar wazib hone ke liye aaqil aur balig hona shart nahi balki bachha ya maznoon (pagal) bhi agar sahbe
nesab ho to unke bado ko chahiye ki ada kare sadqa fitar
ke liye nesab to wahi hai jo zakat ka hai magar fark
ye hai ke sadqa fitar ke liye saal ke gujarne ki koi shart nahi hai
aur is tarah jo chizein jarurat se jayada apke
pas mauzod ho to unka sadqa fitar wazib hai zakat aur fitra me yahi farq hai.
Fitra ke mutalliq bate –
- Admi sahbe nesab par apni biwi , maa-bap ya chhote bhai – bahen
- aur rishtedaro ka sadqa fitr wazib
- Agar walid na ho to dada walid ke jagah par apne yateem pote aur
- Potiyo ke taraf se un par sadqa fitr dena wazib hai
- Ma par apne chhote baccho ke taraf sadqa fitr dena wazib nahi
- Isi tarah bap par apni aaqil aur balig aulad ka fitra wazib nahi hai
- Agar banda kisi majburi ke tahat ramjanul mubarak ke
- roze na rakh sake to badle me ya phir bina kisi majburi ke
- Tahat agar khuda na khawsta roze na rakhe to us par bhi
- Sahbe nesab hone ke halat me sadqa fitr wazib hai biwi
- agar bagair shohar ya khawind ke
- Izazat ke shohar ka fitra ada kar diya to ada na hoga
- Eidul fitar ki subah suraj ugne tak jo
- Sahbe nesab tha usi par sadqa fitar wazib hai agar subah suraj
- Nikalne ke bad sahbe nesab huwa to ab wazib nahi
- Jinko hum zakat dete hai unhi ko fitra bhi de sakte hai aur
- Jinko zakat nahi de sakte unhe fitra bhi nahi de sakte
- Agar eid ka din guzar gaya aur apne fitra ada na kiya tab bhi apka
- Fitra nahi gaya ise kabhi bhi
- ada kar sakte hai wiki/Eid_al-Fitr
Conclusion :
Aaj humne eid ek mutalliq kai sari bate malum ki maslan fitra kise kehte hai ? namaz eid ki ada karne ka sahi
tarika aur sunnat eid ke din hame kya karna chahiye aur allah azowazl ne eid kiske liye banai hai wagerah
wagerah mazeed malumat hasil kare aur ise sirf apne atak hi mehdud na rakhe balki share yani dusro tak bhi pahunchaye allah hafiz.