Dojakh (jahunnum) ka bayan –
Dojakh (jahunnum) ka bayan – aaj ham sabse ahamtarin topic dojakh ke bare me ibrat hasil karenge jiska
janna ham sab musalman ke liye jaruri hai jisme dojakh ka darwaza , dojakh kya hai kise kehte hai , dojakh ka azab , jahunnum me aakhir hamare sath kya hoga aur bhi bahut kuch ham is article me padhe.
dojakh kya hai ?
Allah ajowazl ki banai hui ek jagah ka name dojakh (jahunnum) hai dojakh ko is liye banaya gaya hai ke iske
jariye se allah apne na-farmano se badla lega dojakh voh
jagah hai jiske khauf se hi logo ke ankhon se aansu
behne lagenge yahan tak ke logo ki ankhon me aansu ka koi katra baki na rahega jahunnum ek bahut bada
ajab ka ghar hai jisme sabhi gunahgar rahenge unka tikhana wahi hoga.
Introduction of dojakh –
Mustafa sallallahu tala alaihi wasallam ne faramaya us waqt dojakh allah tala se darkhawast (faryad) karegi ke
mujhe sajdah ki izajat di jaye , allah pak izajat de dega
voh sajdah karegi aur jab tak allah chahe ga sajdah me
pade rahegi roje mehshar me dojakh ka parda
uthaya jayega jisme se hawa aur sakht dhunwa nikal kar fail
jayega fasiq ( gunahgar) uski badbu mehsus karenge , jabki unke aur dojakh ke darmiyan 5 sau baras ki rah ka fasla hoga.
fir dojakh ko ek badi janjeer se khinch ( pull out) kar
laya jayega 19 farishte dojakh ke neegahban honge , har
neegahban farishte ke sath 70 hajar madadgar farishte honge isi tarah har neegahban farishta apne
madadgaro samet dojakh ko khinch kar la raha hoga. Gunah kya hai ?
Jab farishta dojakh ko aawaz dega to voh bhadak
uthegi niche-upar sans legi uski aawaz gadhe jaisi hogi , uska pet siyahaa ( black) jisme se dhunwa ke sath-sath shole bhi bhadkenge.
dojakh ka khauf –
Jab dojakh ko hashr ke maidan me laya jayega to voh logon ki taraf dekhegi aur aesa malum hoga jaise ahle –
mehshar pe hamla kar rahi hai aur unhen hadap kar lena chahti hai , neegahban use aesa karne se rokenge
aur uski janjeer khinch kar use kabu me rakhenge , kyunki
agar use khula chhod diya jaye to voh momin
and kafir sabko khka jayegi , jab dojakh dekhengi ki use aesa karne se roka ja raha to voh gusse se josh me
aayegi jisse voh shole ki tarah ublegi aur fir shor karegi
aur gusse me apne dant pisegi jiski awaz sunkar log
khauf ke mare kapne lagenge uske dil bekabu ho
jayenge aqal jati rahegi , aankhon ke samne
andhera ho jayega unke dil halaq tak aa jayenge.
Aaqa kareem sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya ke dojakh chingariyan ugalne lagegi aur chingariyon
ki tadad aasman ke sitaron ke barabar hogi har
chingari magrib ki janib se uthte huye badal
ke barabar hogi , logon ke saraon par un chingariyon ki bauchhar hogi.
Dojakh ka darwaza –
Farmane aaqa kareem sallallahu tala alaihi wasallam hai
ke dojakh ke 7 darwaze hai , har darwaze me 70
jungle ( bayaban) hai , har jungle ki lambai 70
saal ka rasta hai , har jugnle me 70 hajar shakhe hai har shakh
me 70 hajar gadhe hai , har gadhe me 70 hajar shagaaf hai ,
har shagaaf ki lambai 70 hajar baras ka rasta hai ,
har shagaaf me darare hai , har darare me 70 hajar
khoonkhar achdahe hai har achdaha ke munh me 70
hajar bichhu hai , har bichhu ke bith me 70 hajar muhar hai , har muhare me jehar bhara hai jo pahad ke b
arabar hai , har kafir aur munafiq ko us jehar ka maja chakhna hoga.
Insan ki halat (kefiyat) kaisi hogi ?
Aanh hazrat sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya ,
jab log zano ke bal gire honge aur dojakh mast unt
(camel) ki tarah betab hokar un par hamla karne ko
hogi to pukarne wala pukarega aur paigambar , sadiq ,
shahid aur saleh uth khade honge fir sari makhluq
hajir ki jayegi aur jis-jis ne muzalim kiye hoge unko unka badal diya jayega ,
dusri martaba fir logo ko paish kiya jayega is
dafa roohe aur jism apas me takrar karege , jism roohon par
galba palenge fir tisri martaba paish kiye jayenge ,
unke amaal naama unke hatho me pahunch jayenge kisi ko
left hand me to kisi ko right hand me milege kisi ke sar par to kisi ke pith par diya jayeaga.

Achhe log – Dojakh (jahunnum) ka bayan –
Jinhe right hand me milega unhe allah ke
taraf se noor ata hoga , farishte unhe buzurgi ki mubarak bad
denge aur is buzurgi ke ba-wasaf ye log pul-seerat
se khushi – khushi guzar jayenge , jab bahisht ke darwaze
par pahunchenge to darban tazim baza layenge .
Behashti libas unhe allah ke taraf se tej raftar
ghode (horse) aur mursaa jewran ko paish karenge fir juda hokar apne gharo me chale jayenge.
Bure log –
Jin logo ko left hand me aamal-naama ya pusht ki taraf se diye gaye ,
unke chehre black aur aankhen neeli
hogi aur sino par daag diye jayenge unke jism phul kar khal
parwaram ho jayenge voh halaqat chahenge jab
apne aamal naamo aur
unme likhe huye gunaho ko
dekhenge , to jaan lenge ke jis qadar kabira aur saghira
gunah unhone kiye hai voh sab ke sab isme darz hai koi
aesa gunah nahi jo darz hone se rah gaya ho unke dil
black ho jayenge unka khauf aur gham badh jayega , gardane
nichi hogi aur dajdeedah nazron se dojakh ki
taraf dekhenge aag ki taraf se aankhe
hatayenge nahi isliye ke voh khaufnak hadsa se do-char hone wale
honge , aag ki taraf unki taktaki bandhi hogi ye hadsa
in logo ke dam ko rokne wala
darane aur khawar karne
wala hoga voh behad gham karenge , khoon
ke aansu royenge us waqt allah tala ke bande hone ka iqrar
karenge apne gunahon ka bhi iqrar
karenge , voh badbakhti , gham ,azab aur aag me giraftaar honge.
Azab ki kefiyat jane –
Aanh hazrat sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya ,
us waqt ye log allah tala ke huzur zano ke bal khade
hokar apne gunaho ka khayal karenge , khauf ke maare
zaban band ho jayegi aapas ke taluqaat bhi munqata
ho chuke honge , koi rishtedaar kisi ki parwah
na karega , na kisi se kuch puchhega , musibat aur andhera me
mubtila honge , us waqt voh duniya jahan me fir wapis
lautne ki khawahish karenge magar koi jawab na
payenge jis baat ko duniya me jhut aur galat jante
the us par ab yaqeen aa jayega payas aesi lagegi ki ser na
ho sakenge aur bhook bhi aesi hogi ki na pet bharega aur
na hi badan par kapde honge sab kuch badhal hoga.
Jab logo par ye kefiyat tari
ho jayegi to allah tala
dojakh ek neegahban farishto ko huqm dega ke dojakh se
bahir aao aur sath me apne hathiyar (weapon)
yani tauk , janjeer , aur kode
le aao , farishte pehle se hi dojakh
ke kinare par allah ke huqm ke muntazir khade honge ,
Aur jab ye badbakht log un farishton , u njanjeeron aur
un kabdon ko dekhenge to paishmani aur hasrat ke
Dojakh (jahunnum) ka bayan –
bayes danton tale apni ungliyan katenge , aansu jari rahenge ,
hath paaw larazte rahenge unhe kisi bhalai ki
ummeed nahi rahegi tab allah ajowazl apne farishto
se farmayega ki inki gardan ne tauk dalkar janjeeron se
bandh do aur jahunnum me dhakel diya jaye. aanh hazrat
sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya ki is ajab
se unki aankhen paththra
jayegi , gardan me warm
aa jayenge , gardan ka gosht jal jayega logo ka gosht kat-
kat kar girega gardan me aag ke jo tauk pade honge ,
unki garmi se unke dimag pighalne lagegi , magaz pighal
kar fut niklega aur beh kar paw tak
pahunch jayega , unka chmda jal kar gal kar gir jayega , badan par se peep
jari ho jayega isi tarah kaan bhi jal jayenge , hont kat
jayenge aur log is qadr shor machayenge ki unki daant
munh se bahir aa jayegi garmi se unki halat kharab ho jayegi awaz band ho jayegi.
Jab ye halat hogi to dojakh ke farishton ko huqm
duya jayega ki inko dojakh ke kabde pehnaya jaye , farishte
dojakhi kabde lekar hazir nazir ho jayenge aur
unhe pehna denge , in kapdon ka rang black aur badbu dar
hoga bahut sakht kapde honge un
kabdo me darza ki garmi hogi itni ki agar pahad rakh diya jaye to voh bhi pighal kar bah jaye.
Dojakh ke darwaze ka azab kesa hoga ?
Aaiye jane jab farishte ke jahunnum ke darwaze par le jayenge , waha pahunch kar unhe khada karke kahenge
ye wahi aag hai jise duniya me tum jhutlate the ab batao ke kya
ye jadu hai ? ise dekhte ho ya nahi ? ab iske
andar jakr apne kiye ki saza pao khawan is
musibat me sabr karo ya na karo , behar haal apne kiye ki saza
bhugatni hogi un logo ko dojakh ke darwaze par
khada karne ke bad darwaze khol diye jayenge , pardah utha
diya jayega , dojakh josh me aa jayegi
uske shole buland ho jayenge , sakht dhunwa uthega sholo me
chingariyan niklegi , jinki tadad aasman ke sitaron
ke barabar hogi ye shole aag barsate aasman par itna
uncha uthenge jis qadar
saal ki raah ka fasla
hota hai fir waha se laut kar un badbakhtiyon ke saron par
bauchhad ki surat me aa padege jisse unke ke bal jal
kar khopadiyan nikal aayegi unke sadma se unke sar tut jayenge.
Dojakh (jahunnum) ka bayan –
Aanh hazrat sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya
fir dojakh un logo ko buland aawaz se pukaregi…..ae
ahle dojakh ! ab tum meri taraf aao ae ahle
dojakh ! ab tum meri taraf aao mai allah tala ki izzat ki qasam kha
kar kehti hun ke tumse badla
jarur lungi , fir kahegi
mai parwar digar ki hamd sana karti hun jisne mujhe is
qadar gazabnaak banaya aur apne dushmano
se badla lene ka jariya tehraya , ae mere allah meri garmi jyada
kar de aur garmi badah de ,
meri tapish aur quwat me aur jyada izafa kar de
Fir us dojakh se farishte niklenge aur unhe pakad kar munh
ke bal dojakh me fenkenge aur voh sar ke bal
Aur dojakh ki gehrai me ja
girenge is dauran unme 70
hajar martaba unka posht badal jayega ( taki bar bar azab mehsus kare ).
Dojakh ka khana – Dojakh (jahunnum) ka bayan –
dojakh ke pahado par unko khane ke liye jo pehla luqma milega
voh kaantedar sakht kadwi aur nihayat garm
thohar hogi , ye us luqma ko chabate hi honge ki
jin se voh aate hi unhe marne lagegi unki darab se unki
haddiyan tut jayegi fir unhe
paaw se pakad kar ghasit te huye
sar ke bal dojakh me fenk denge aur 70 saal ke
rasta ke barabar fasla tak dojakh ki gehrai me chale jayenge ,
aur jate-jate fir un pahadon ke daro me ja
pahunchenge isi dauran me fir 70 martaba unka
posht badal jayega , zakum ka
luqma abhi tak unke munh me
hi hoga , use nigal na sakenge , luqma aur dil dono unke gale
me jama ho jayenge , jisse unka dam bhi band
ho jayega voh shor kareneg pani mangenge , pani mangenge , pahado ke daron me nadiya aur nehre jari hai
unka pani dojakh me girta hai is halat me ye sab log
nadiyon ki taraf jayenge , payas ke sabab nadiyon me
munh ke bal gir jayenge unse pani piyenge magar voh is
qadar garm hoga ki unka munh posht pighal kar pani
me gir jayega voh us pani ko pi na sakenge voh waha
se bhagna chahenge magar farishte unhe jane nahi denge.
Khaufnaak manjar –
Khana mangne par farishte unhe lohe tambe dete
hai jinhe voh chaba tak nahi sakte fir voh bhook ki shiddat
me apne hath ki unglil kaat kar kahane lagte hai isi tarah
voh apni hatheli chat kar jate
hai aur aage khate
khate apni kohniyon tak pahunch jate hai fir kandhotak
safaya kar jate hai sirf sar aur kandhe baki reh jate hai
aur bak ika hissa jahan tak unka
munh pahunchta hai voh use kha chuke hote hai.
Pani dojakh me milega ?
Aanh hazrat sallallahu tala alaihi wasallam ne farmaya , dojakh ki nadiya chashmo me ja milti hai , unse pine
ke liye pani milega jo is qadr garm hoga ke
pine se pet chal jal jayega , allah pak 7 martaba dojakhiyon ke
chamde badlega , jab ye pani dojakhioyn
ki antadiyon me jayega to unhe kaat dalega voh uski garmi se jal kar
pakhana ke makam se bah kar bahir aa jayenge jo pani
andar reh jayega voh unki ragon me sarayat kar jayega
unka gosht jala dega , haddiyon ko
tod kar pighla dega farishte aa jayenge dojakh me aur unhe mar-mar kar
unki khopadiyan tod denge , pith tut jayegi unke kano aur
nathon se bhi aag ke shole niklenge unka badan
zakhmi ho jayega unke zakhmo
se peep behti hogi aankhe beh kar rukhsaron par latakti hogi.
Dojakh ka gota – Dojakh (jahunnum) ka bayan –
Duniya ka dariya dojakh ke dariya ke samne ek chhote chasme ke barabar hai jo aksar dariyaon ke kinare jari
rehta hai jab dojakhi us dariya me dale jayenge , us azab ko
chakhenge to bad dojakhi dusron se kahenge ke
isse kabl jo ham ne azab chakha tha voh us azab ke muqabla
me koi haqiquat nahi rakhta , dariya me un logo
ko ek martaba gota diya jayega fir nikal kar jalte
huye 70 kalah ki dori par fenk diya jayega har kalah suraj ke
nikalne aur guroob hone ke rasta ki duri ke barabar hai fir farishte
use kamchiyan marte huye dariya me fenk
dete hai is qadar niche tak gota khayega , jis qadar 70 saal ke raste ki duri hoti hai voh isi aatishi dariya se
khayenge 140 saal ke bad pani ke upar ubhrenge.
Allah pak jab tak chahega unhe us dariya me rakhega
dariya me unki sari gosht khatm ho jayegi aur sirf baki
rooh reh jayegi jo kai baras tak lehron par
mauz marti hui lehron par behti rahegi isi tarah dariya se nikal kar
gaar me rooh chali jati hai jo 70 hajar saal ki raah ka fasla
Dojakh (jahunnum) ka bayan –
hota hai lambai bhi 70 gaz ki hoti hai.
fir dojakh ke farishte unhe pakad lete hai aur pasliyon ki taraf
se zakoom ke darakht (tree) ke aahni kanton me
latka dete hai aanh hazrat sallallahu tala alaihi wasallam
ne farmaya is darakht ki har shakh me 70 hajar
dojakhi latkaye jayenge jab is tarah sar ke bal
latke honge unke niche dojakh ki aag bhadkai jayegi aur dojakh
ki aag ki garmi unke munh me 70 saal tak pahunchti rahegi
jisse unka sara jism gal jayega aur niche aag ke
shole bhadkaye jayenge aag unke pakhane ke rasta
gujar kar dilon tak pahunchegi unke nose ke surakh ,
munh aur kaano se 70 saal tak aag ke shole nikalte rahenge
unki haddiyan aur gosht sab kuch jal jayega har jod me maut aayegi magar voh na marenge fir unhr aur sakht azab diya jayega.
Jahaunnum ki aag – Dojakh (jahunnum) ka bayan –
Ahle dojakh par azab ki shiddat se unke sab ghar tang ho jate hai aur neje ke nok se jyada tej hote hai bad
takhno ki rano aur bad ki kamar tak aag hogi , bad ki
naaf tak pahunchi hogi bad gale ki hansli tak aag me
doobe honge bad aag me bilkul gark hi ho gaye honge , jab
ye aag josh me aayegi aur unhe chakkar degi to
apni teh me ek maah ki musafat ke barabar
niche chale jayenge dojakhi log apne gharo me pahunch kar
azizon se bhi milte hai , zaron zar rote hai ,yahan
tak ki aankhon me aansu khushk ho jate hai , unki jagah
khoon nikalne lagta hai aur itna nikalta hai ke unme kashtiyan ter sakti hai.
Dojakhiyon ki faryadein –
Sabhi log aapas me milkar ye faisla karenge ki chale ham allah tabarak tala se faryad kare ki voh kam se kam
hamare liye ek din ka hi azab khatm kar de dojakhi log
apne nazdiki shaitano se mukhatib honge , unhe
malamat karenge ke tumne hame gumrah
karke is azab me dala shaitan buland aawaz se kahenge ae ahle
dojakh khuda ne tumse saccha wada kiya tha tumhe apni
taraf bulaya tha , magar tumne uske wade ko jhut
samjha aur uski taraf rujoo na huye maine jo wada kiya voh jhutha tha mere ikhtiyar me uske siwa kuch na
tha ke tumhe batil ki taraf bulaun , tum ne mera huqm maan liya ab mujhe malamat karne ke bajaye apne ap
ko malamat karo aaj mai tumhe kafir kahunga , tum ne
allah ko chhod kar meri ibadat ki. religion.pk/dozakh/
isi tarah voh ek-ek ke pas jayenge aur fariyad karenge kabhi dojakh ki khjanchi ke pas jayenge to kabhi dojakh
ke malik ke pas aur last me khuda se fariyad karenge ae allah hame dojakh se nikal le ! ham fir kabhi khata
na karenge , teri na-farmani nahi karenge allah pak
70 saal tak koi jawab nahi dega uske bad is tarah jawab
dega jaise kutto ko dhutkarte hai , dur ho jaao mere sath kalam na karo.
Zani aur zaniyah ki saja :
Ham allah pak se apne bure aamal ki maafi talab karte hai aanh hazrat sallallahu tala alaihi wasallam ne
ke jo log apne sharamgaho ki hifazat nahi karte hai , unhe dojakh me sharamgaho ke bal latka
diya jayega aur duniya ke qayam ke arse tak latke rahenge unke jism gal sad kar bah jayenge , rooh baki rahegi.
Chori ki saja – Dojakh (jahunnum) ka bayan –
Chori karne walo ka ek-ek jod kaat diya jayega jab voh takleef aur ajab utha kar sab jod katwa chukenge to
unhe fir se durust kar diya jayega fir katna shuru karenge ,
aur pehle ki tarah ajab payenge uske alawa har
chor ke pas 70 hajar farishte aayenge , unke hath me bade-bade chhure honge , jinse use ajab denge.
Jhuthi gawahi – Dojakh (jahunnum) ka bayan –
Jo log jhuthi gawahi dete hai to dojakh me jhuthi gawahi dene walo ko jaban ke bal latka diya jayega , har
shakhs ko 70 hajar farishte kodon se marenge yahan tak ke unke badan pighal jayenge , sirf rooh baki rahegi.
Mushriko ki saja –
jo log allah ka sharik thehrate hai unhe dojakh ke gaaron me band kar diya jayega un gaaron me bade-bade
snake aur bichhu honge , aur ye gaare aag ki chingariyon ,
sholon aur dhunwon se bhari hogi un sab chizon ka
ajab uthayenge har bar unka gosht 70 dafa badla jayega.
Zalimon ki saja – Dojakh (jahunnum) ka bayan –
Zabiron , zalimon aur magruron ko aag ki sanduqon me dal kar kufl laga diya jayega ye sanduq dojakh ki
sabse nichle darje me fenk diye jayenge har ek ko 99 kism ke naye-naye ajab diye jayenge unki munh ki nayi jilde rauajna hajar martaba tabdil hogi.
Jo log maale ganimat me se chori karte hai farishte
us chori ki gayi chiz ko dojakh ke dariya me daal denge fir
choron ko huqm hoga ke jo chiz tumne churai thi use
nikal laao huqm diya jayega ki dariya me gota lagao aur
use nikalo us dariya ki gehrai ka kisi ko olm nahi jisne us aag ke samandar ko paida kiya.
ya allah ! hame apne fazlo karam ke tafeel ahle dojakh me shamil na farma ameen…
Is tarah dojakh ek din hajar saal ke barabar hoga jo duniya me gunah karne se baaz nahi aate unhe aakhirat me har chiz ka hisab dena hoga.
Conclusion :
Dojakh ka bayan ! is article ke jariye ham aap musalmano tak ye baat iske tahat pahuncha rahe hai jise padh
kar banda andaza laga sakta hai ki dojakh kitni kaufnaak
thikana hai allah ham sabhi ko dojakh ke aag se
bachaye dojakh ka darwaza , dojakh ka bayan khana , peena vagvirah aur bhi bahut kuch ham apke liye le kar aaye hai padhe aur apne aamal durust kare allah hafiz !