Bismillah ki barkat jane –
Bismillah ki barkat jane – bismillah ki fazilat kya hai bismillah padhne se kya hota hai kab bismillah padhna makroo hai aur bhi bahut kuch about bismillah sharif aaiy jane –
Tarjuma – allah ke naam se jo niyat meherban aur gayab darja raham wala hai bismillah sharif 19 huruf se milkar bana hai aap sabhi se gujarish hai ki har kam me algarj har jayez kam ke shuru me bismillah
hirrahmanir rahim padhne ki aadat dale aur bismillah ki barkat se malamaal hoye.
Bismillah ki barkat agar aap nahi jante hai to deenitalim ke
is hisse me ham aapko bismillah ki bare me ibrat hasil kare..

Kya aap bismillah ki fazilat jante hai ?
Allah Ke rasul tajdar e kaynat sallallahu tala alaihi wasallam
farmate hai jo musalman pabandi ke sath har kam
karne se pahle bismillah sharif padhega to badle me jitne
harf voh padhte jaega uske liye utne hi jahannum
ke darvaje band hote jaenge aur allah azowazl use
jannat me dakhil farmaega har kam ke eptada me
bismillah padhne ki aadat banae.
Bismillah ke sath allah ka name juda hai –
Bismillahirrahmanirahim allah azowazl ka naam
chhupa hua hai maslan rahman aur raheem isliye jo
bismillah ke sath allah lak ko rahman aur raheem kahega
yani hirrah rahman nir rahim aur fir vah apne kam
kagaj karega to allah tala uske
kam ko jarur kamyabi ata farmaega.
Aaiye hum deen ki batein me bismillah ke chand aham
maslihat ka zikr kare.
10 aese aham waqt jisme bismillah padhna jaruri hai.
- Kapde utarte ya pehente waqt bismillah padh lene
- se jinnat ke sar se mahfuj ho jaate hai
- Gharon ke darvaje khidkiyan kholne ya band karte
- samay bismillah padhne se
- shaitan jinnat dakhil nahi ho paate hai
- Sar me oil dalne se kabl bismillah padhne se 70 shaitan
- sar me sharik nahi ho pate hai
- Raat ke khane peene ke bartan bismillah
- sharif padh kar dhakne se shaitan Ke
- Sar se mahfuj ho jaata hai
- Sone se kabl bismillah padh kar 3 martaba bistar
- saaf kar lene se nuksan hone se panaah hasil hogi
- Karobaar me jayej len-den
- ke waqt yani jab kisi se le
- to bismillah kahe inshallah khoob barkat hogi
- Agar bismillah sahi harf makharij ke sath ada na ho
- to fayde ke jagah nuksan ka andesha hai
- Kisi jalim ke samne jaane se pahle bismillah padh
- le inshallah uske dil me narmi paida ho jayegi
- Jo koi sone se Kabl bismillah 21 bar padh le to
- shaitan chor chakko achanak hone wali maut
- aur har tarah Ke aafat se mahfuj rahega
- Janwar ko jaba karne se pahle
- bismillah padhna behad jaruri hai
- Khane ke kabl bismillah padhna jaruri hai agar bhul
- jaaye to bich me hi bismillah avval hu aakhir padhe
- Isme azam ki bahut barkate hai isme azam ke sath har
- dua qubool hoti hai bad olamaye farmate hai ki
- bismillah bhi ek isme azam hai isliye dua karne
- se kabl bismillah sharif padhna lajmi hai.
Bismillah padhna kab jaruri hai ? Bismillah ki barkat jane –
- Sawari ( vehicle ) fisle , ya usko
- jhatka lage to bismillah kahe
- Bukhar me mubtila shakhs kasrat
- se bismillah sharif ka wird kare
- Jisse use fayda pahunchega
- Bukhar me subah sham thande
- pani ki chhinte maare
- Jisse bukhar kam ho jayega
- Hadees sharif me aaya hai
- Bismillah sharif thodi jor se padhe
- Munh me bismillah padhna thik nahi hai
- Dawa khate waqt bismillah na padhe
- Balki iski jagah allah
- saafi voh allah kafi padhe
- Baitul khula me iska zikr na kare
- Jhute munh bismillah na padhe
- Koi bhi kam bismillah ke bagair adhura hai
- Bismillah ki fazilat quran pak me aaya hai
- Baccho ko bismillah sharif
- padhne ki aadat dalwaye
- Har ek jayez kam me iski barkate lute.
Bismillah ki barakt se gharelu (domestic) ka ilaaj –
Bismillah se gharelu jhagdo ka bhi ilaaj mumkin hai
mufti ahmad yar khan alaihi rehmatul mannan farmate
hai ghar me dakhil hote waqt bismillah hirrah
manirahim padh kar pehle sidha kadam darwaja me dakhil
karna chahiye , aur sabhi ko salam karte hue aage badhe.
Sureh tauba ke alawa baki har surat bismillah hirrah manir rahim
se shuru kijiye agar sureh tauba se hi
tilawat shuru karni ho tab bismillah padh lijiye –
Bismillah bhi ek isme azam hai – Bismillah ki barkat jane –
Isme azam ki bahut barkate hai kahte hai isme azam ke sath
jo dua mangi jaye voh jarur qubool hoti hai aala
hazrat rehmatullahe alihe ke walid majid hazrat maulana
naki ali khan alaihe rehmatullah alaihe farmate hai
“bad olmaye ne bismillah hirrah manirahim ko ism-azam kaha “|
Bismillah sharif par aitmad (bharosa) –
Jab tak ham bismillah sharif par aitmad nahi karenge
tab tak hame fayda nahi hoga agar ham bismillah sharif
par aitmad kare har na-mumkin kam me bhi allah
rabbul izzat hame kamyabi ata farmayega inshallah
bismillah sharif ki barkate itni azim hai ke ki banda is par
pure akidat se amal kare aur agar jehar ka pyala bhi
pi le to voh bhi us par asar na kare.
Click here- Kya motapa achcha hai?
6 aese waqt jisme bismillah padhna mamnu (mana) hai ?
- Istinja khana me pahunch kar bismillah padhna mana hai
- Hukka pite waqt aur badboodar
- chize (kacchi pyaj voh lehsun vagirah)
- khate waqt bismillah na padhna behtar hai
- Nikah vagirah ka khutba alhamdullilah se shuru kare
- Zina karte waqt bismillah na padhe
- Haram voh na-jayez kam karte
- waqt bismillah padhna mana hai.
Bismillah kijiye kehna kab mamnoo hai ?
Kuch log is tarah keh dete hai bismillah kijiye aao ji bismillah ,
maine bismillah kar dali , kai log to jo karobar
karte hai woh boni ko is tarah keh dete hai ki aaj to bismillah
hi nhi hui is tarah ki jumle kabhi bhi istemal nhi
karna chahiye isi tarah khane ke waqt agar koi aa jaye to
log kahte hai aaiye bismillah kijiye jabki aesa kahna
shakht mamnu hai balke ye kahe aaye bismillah pad kar kha lijiye.
Conclusion:-
Sarkare makka Muharram sardare mdina manuwra sallallahu alihe wasallam ne farmaya jo bhi aham kam bismillah hirrahmanir rahim ke sath shuru nahi kiya jata to voh adhura rah jata hai karam hai us pak parwar
digar ka jisne hame bismillah sharif jaisa behtarin tohfe se nawaja ya rabbe mustafa sallallahu tala alihi
wasallam hame bismillah hirrah manirrahim ki barkato se malamal farma aur har nek voh jayez kam ke shuru
me bismillah hirrah manirrahim padhne ki taufiq ata farma aamin.www.meraislam.xyz